Wo Mera Chahne Wala

by riyaz106 on February 18, 2010, 07:25:23 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2304 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: February 19, 2010, 01:42:48 PM »
Reply with quote
Pandey ji aapka dher saara shukriya. Bahut achhi lines likhi hain aapne.
Bahot khoob Riyaz Sahab, alfazon ki purkashish numayandgi ayaa.n hai..aik koshish apni bhi aapko nazar karta hun...

Unko jabse bhula ke aaye hain
Sar pe tohmat saja ke laye hain,
Haal puchho hamare chhalon se
Garm patthar pe chal ke aaye hain.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SIRF CHAHNE by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
****Main Tera Chahne Wala Hu**** by Paigam_A_Ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuda bhi tumarah chahne wala nikla by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Wala SMS ! by gammyind in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3 4 5 »
Doosron ka ahit chahne wala khud Nash ko praapt hota hai by @Kaash in Quotable Phrase and Quotes
malli
Guest
«Reply #16 on: February 19, 2010, 01:45:13 PM »
Reply with quote
Wo Mera Chahney Wala

Suna hai chahney wala mera paresha.n hai
Qareeb aana to chahey magar gureza.n hai

Wo pyar karta hai, zaahir magar nahi karta
Wo baat samjhe na ankhon ki kitna nadan.n hai

Abhi bahot se maraahil hamein sataayenge
Ye ishq to hai qayaamat na samjho aasa.n hai

Har ek haal pe uske nazar main rakhta hun
Wo mere gham ka sabab hai khushi ka saama.n hai

Wo chehra chaand sa, zulfein ghata, badan khushbu
Ye uska haq hai,agar husn par wo naaza.n hai


Riyaz 'Ashna'

Wah wonderful creation Riyaz ji  Applause Applause
Logged
malli
Guest
«Reply #17 on: February 19, 2010, 01:46:19 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI    RIYAZ106 JI.....

WO MERA CHAHNE WALA
DEKHO KITNA BOLA BALA
WO PYAR MUJHSE KARTA HAI
MAGAR KAHENE KO DARTA HAI
HAM ISHARON SE SAMJHATE HAI
NADAN HAI WO KAHAN SAMAJHTA HAI
ISHQ KI RAHA MEIN CHALNA ITNA AASAN NAHI HAI
AJEEB SA ISHQ HAI SHAYAD NADAN ISHQ YEH HI HAI....

bahut acche Thumbs UP....Cara ji aapka kya kehna  icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: February 19, 2010, 02:15:49 PM »
Reply with quote
Khwaish Ji aapka dher sara khoobsurat sa shukriya.
bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai..

Bahut Acha Likha Hai Aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #19 on: February 19, 2010, 03:06:46 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah Kya Baat hai Riyaaz ji.. Kya khoob Ghazal Likhi hai.. Bahoot hi Khoobsoorat ghazal pesh ki hai... Bahoot Khoob!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: February 19, 2010, 05:40:07 PM »
Reply with quote
Janaab Waqif Sahab aapka behad mashkoor hun
ke aapko ye ghazal itni achhi lagi. Jis qadar khubsurat
tareef aapne ki hai usse to meri qalam phir harkat mein aa
gayi hai. Behrhaal hausla afzai ka behad shukriya. Aainda
bhi aapki rehnumaai ki zaroorat rahegi
.
Wah wah wah! Riyaz Saheb!Kamaal ki taghazzul bhari ghazal kahi hai aapne. Masha Allah bahut haseen aur husn ke ramooz-o-nukaat se muzaiyan ye ghazal hai. Haseen ghazal kahne k liye haseen daad ka tohfa qubul kijiye aur isi tarah kamaal ki ghazleN kahte rahiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: February 20, 2010, 12:46:32 PM »
Reply with quote
Kaash ji aapka behad behad shukriya.
behad acha likha hai Riyaaz ji
bahut hi ache ehsaasaat  Applause Applause Applause Applause
wonderful ghazal  icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: February 20, 2010, 01:29:47 PM »
Reply with quote
Talat baaji ghazal pasand farmane ka behad shukriya. Aapne pehli baar mere kisi topic mein comment kiya, bahut achha laga. Iske liye bhi mashkoor hun. 
Waah Bohot Khoob Riyaz Ji...behad khoobsurat ghazal likhi hai aapne....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: February 21, 2010, 03:55:54 AM »
Reply with quote
Mall ji aapka bahut shukria ghazal pasand farmane ke liye.

Wah wonderful creation Riyaz ji  Applause Applause

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #24 on: February 21, 2010, 12:42:32 PM »
Reply with quote
Sophi ji ghazal aapko pasand aai, aapka bahooot shukria. 
Waah Waah Waah Kya Baat hai Riyaaz ji.. Kya khoob Ghazal Likhi hai.. Bahoot hi Khoobsoorat ghazal pesh ki hai... Bahoot Khoob!
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #25 on: February 22, 2010, 11:39:45 AM »
Reply with quote
Wo Mera Chahney Wala

Suna hai chahney wala mera paresha.n hai
Qareeb aana to chahey magar gureza.n hai

Wo pyar karta hai, zaahir magar nahi karta
Wo baat samjhe na ankhon ki kitna nadan.n hai

Abhi bahot se maraahil hamein sataayenge
Ye ishq to hai qayaamat na samjho aasa.n hai

Har ek haal pe uske nazar main rakhta hun
Wo mere gham ka sabab hai khushi ka saama.n hai

Wo chehra chaand sa, zulfein ghata, badan khushbu
Ye uska haq hai,agar husn par wo naaza.n hai


Riyaz 'Ashna'

Very nice bohat khoob
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #26 on: February 22, 2010, 04:25:04 PM »
Reply with quote
Ghazal aapko pasand aai, behad shukriya Khushi ji, .
Very nice bohat khoob
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:07:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer