----- /// Wo pehla sparsh ka ehsaas /// ------

by ~Hriday~ on October 04, 2010, 05:41:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4420 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote



aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar sharmaake mere haathon ko chhua tha,

us gulaab ke baag me mujhse wo gulaab tumne liya tha,
aur us gulaab ko lete huye mere haathon ko chhua tha,

wo sparsh jisne kai raaton ke liye meri neend uda di,
kaise main tumhe bataun kis tarha tumne mujhe chhua tha,

aankhon me hayaa ki laali, dil ki dhadkan me wo tezi,
jab kanpkapaate apne haathon se us gulaab ko chhua tha,

chhoote hi mere haathon ko maine kaske use thaama tha,
jab pehli baar us baag me tumhaare haathon ko chhua tha,

khol na paai tum sharm se apni aankhen kuch palon tak,
jaane kya asar tha wo jis ehsaas k saath tumne chhua tha,

mere kehne pe jab tumne badi mushkil se apni aankhen kholi,
tab maine pyaar se tumhaare un aankhon ko chhua tha,

chhuute hi tumhaare aankhon ko tum yun machal uthi us din,
kaske tumne pakad liya mera haath jab maine tumhe chhua tha,

aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar maine tumhare haathon ko chhua tha...



*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar ka pehla pehla kadam... by dhadkan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sparsh by DJ Goher in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehla ehsaas! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pehla ehsaas! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabat ka pehla ehsaas by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 04, 2010, 06:03:00 AM »
Reply with quote
oyeeeee hoyeeeeeeeeee kya baat hai kapil aajakl bade romantic ho gaye ho...
lagta hai koi bht pyari si mil gai hai tumhe jiske rang me nikharte jaa rahe ho tum....
mastam masttttttttttt poem re...fully mast romantic feel wali......

wait for my reply..abhi nahin kuch der me
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 04, 2010, 06:11:21 AM »
Reply with quote
oyeeeeeeee hoyeeeeeeee kya baat hai... kya mastammmm mast comment kiya hai aapne Kasak ji... dil khush ho gaya.. haan ye kuch halka halka sa suroor hai jo ye ulte pulte poems likhwa leta hai mujhse... kuch bhi likh deta hoon aur aap kuch bhi pasand kar leti hain... hehehehe....

waiting for ur reply reeeeeeeeeeee.....
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2010, 08:01:19 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI       KAPIL JI.....

"WO PEHLA SPARSH KA EHSAAS"
ZINDAGI BAR RAHEGA KHAAS
WO PEHLI BAR TERA MUJHKO CHHUNA
WO LAMHA HAMESHA RAHEGA YAAD...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: October 04, 2010, 08:18:21 AM »
Reply with quote
hmm...pehle pehle pyar ka nahi he ye khumaar kapil bhaaai....
khair pehla ho ya duja pyar to pyar heee..
ho gaya naaa...
chal wo to apki poem me jhalak raha he ..bahut mast likha he apne...
areee haan sare YO walon ko bata do yaar ki ab kapil roz romantic shayariyan sunaya karegaaa~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: October 04, 2010, 09:10:01 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Cara ji...!!!

WAH KYA BAAT HAI       KAPIL JI.....

"WO PEHLA SPARSH KA EHSAAS"
ZINDAGI BAR RAHEGA KHAAS
WO PEHLI BAR TERA MUJHKO CHHUNA
WO LAMHA HAMESHA RAHEGA YAAD...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 04, 2010, 09:12:08 AM »
Reply with quote
sirji ye feeling pehle pyaar ka hi hai.. maine likha jarur aaj hai par apne pehe pyaar k baare me soch k hi likha hai.. uske chehre ko apne aankhon ke saamne dekh k likha hai... aur bahut pyaari pyari si lag rahi thi wo...

aur mere poem ko pasand karne ke liye dher saara thanks hai ji... koshish karenge kuch na kuch romantic likhte rehne ki...!!!

hmm...pehle pehle pyar ka nahi he ye khumaar kapil bhaaai....
khair pehla ho ya duja pyar to pyar heee..
ho gaya naaa...
chal wo to apki poem me jhalak raha he ..bahut mast likha he apne...
areee haan sare YO walon ko bata do yaar ki ab kapil roz romantic shayariyan sunaya karegaaa~


Logged
neelgold
Guest
«Reply #7 on: October 04, 2010, 08:44:06 PM »
Reply with quote
Gud 1 KApil...........

Aaj se new name for Kapil

Romantic Kapil ...........

Keep going ,,,,,
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 05, 2010, 10:44:02 AM »
Reply with quote
thank you hai ji... but I am not satisfied.. jaisa banana chaaha tha waisa nahi bana ye poem... kuch kami reh gayi hai.. is theme pe fir ek baar try karunga...

Gud 1 KApil...........

Aaj se new name for Kapil

Romantic Kapil ...........

Keep going ,,,,,
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: October 05, 2010, 11:02:32 AM »
Reply with quote
thank you hai ji... but I am not satisfied.. jaisa banana chaaha tha waisa nahi bana ye poem... kuch kami reh gayi hai.. is theme pe fir ek baar try karunga...

sabhi likhne walon ko apne likhe me kami mehsoos hoti he kapil jiii ...ham sab sochte he yaar kuchh adhura chhoot gaya par asal ye to likhne ki lalak he jo kabhi satisfy nahi hone deti..eisa mera sochna he~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 05, 2010, 01:23:47 PM »
Reply with quote
Ji shayad aap sahi keh rahe hain... bahut bahut shkriya hamaara moral up karne k liye... thank you so much...!!!

sabhi likhne walon ko apne likhe me kami mehsoos hoti he kapil jiii ...ham sab sochte he yaar kuchh adhura chhoot gaya par asal ye to likhne ki lalak he jo kabhi satisfy nahi hone deti..eisa mera sochna he~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #11 on: October 05, 2010, 07:59:04 PM »
Reply with quote
lo tumhara reply ready hai kapil....tumne ise update nahin kiya to maine hi kar diya...

batao kaisi lagi meri pehli mulakaat....

Wo pehli mulakaat wo bheege se jazbaat
Nahin bhulte mujhse wo din wo haseen raat

Khoye rehte the jab tum me hum din rein
Ghabra jate jab na hoti kuch der hamari baat

Wo milna hamara achanak hi ek raah me
Aur fir karna waada k ho ek aur mulakaat

Sham 5 baje ghar se durr wale bagiche me
Aa jao tum to saj jaye ye hamari suhani raat

Darte ghabrate aai thi main milne tumse yaar
Kuch der idhar udhar ki karte rahe hum baat

Fir nikala tumne apne shirt se wo laal gulab
Dete hue mujhe hathon me chhu liya tumne mera hath

Ghabra si gai uss sihran se aur ho gai thi sharm se laal
Aur dekh meri ye haalat, hata liya tha tumne apna hath’

Lekin fir duje hi pal palkein jhuk gai thi meri
Palkein uthai nazrein mili to thaam liya tumne mera hath

Main sakuchai main sharmai keh nahin pai kuch bhi main baat
Tham k tum baithe rahe the ghanton yunhi mera hath

Aaj bhi jab chhuti hun khudko, leke apne hathon me hath
Yaad aa jati hai mujhe hamari wo sharmili si pehli mulakaat…..!!!




aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar sharmaake mere haathon ko chhua tha,

us gulaab ke baag me mujhse wo gulaab tumne liya tha,
aur us gulaab ko lete huye mere haathon ko chhua tha,

wo sparsh jisne kai raaton ke liye meri neend uda di,
kaise main tumhe bataun kis tarha tumne mujhe chhua tha,

aankhon me hayaa ki laali, dil ki dhadkan me wo tezi,
jab kanpkapaate apne haathon se us gulaab ko chhua tha,

chhoote hi mere haathon ko maine kaske use thaama tha,
jab pehli baar us baag me tumhaare haathon ko chhua tha,

khol na paai tum sharm se apni aankhen kuch palon tak,
jaane kya asar tha wo jis ehsaas k saath tumne chhua tha,

mere kehne pe jab tumne badi mushkil se apni aankhen kholi,
tab maine pyaar se tumhaare un aankhon ko chhua tha,

chhuute hi tumhaare aankhon ko tum yun machal uthi us din,
kaske tumne pakad liya mera haath jab maine tumhe chhua tha,

aaj wo pehla sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar maine tumhare haathon ko chhua tha...



*****HRIDAY*****
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 06, 2010, 08:49:04 AM »
Reply with quote
thank you so so so so much Kasak ji for this sweet sweet reply... ek dum mstammmmm likha hai aapne reeeeeeeeee..... bahut achchai lagi aapki ye kahaani humein... ek dum mast... wo pehli milaqaat aur saath me kuch pyaare pyaare ehsaas... uffffffffff.... sweet sweet se ehsaas....

 Applause Applause Applause Applause Applause


wo ehsaaas hi kuch alag tha pehli mohabbat ka,
wo ehsaas hi kuch alag tha pehli mulaaqaat ka,

chhoone ko bas haath tha, hothon se main duur tha,
par nazron se tumko cheda par kuch to majboor tha,

geele gulaabi hothon se chaha tha kuch kehna mujhe,
par kho ke meri aankhon me bas tum dekhti rahi mujhe,

wo pehli mulaaqaat apni, wo pehli pehli baat apni,
chaand ki chaandni se roshan wo pehli pehli raat apni,

zamaane ka humein darr bhi tha, pyaar ka awsar bhi tha,
rok liya khud ko tumne, main bhi kuch to majboor tha,

haath me tere wo gulaab deke, chhua tha tere haath ko,
aaj bhi khush hota hoon main soch us pehli mulaqaat ko,

aankhen teri jhukin si thi, saansen teri ruki si thi,
pehle pehle pyaar ki kuch bheeni bheeni mehek si thi,

sochta hoon main aaj bhi apne us pehli mulaaquat ko,
yaad karke khush hota hoon haathon me tere us haath ko...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:21:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.198 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer