<>*Wo pehli mulakaat*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 05, 2010, 08:00:20 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3535 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Wo pehli mulakaat*<>


Wo pehli mulakaat wo bheege se jazbaat
Nahin bhulte mujhse wo din wo haseen raat

Khoye rehte the jab tum me hum din rein
Ghabra jate jab na hoti kuch der hamari baat

Wo milna hamara achanak hi ek raah me
Aur fir karna waada k ho ek aur mulakaat

Sham 5 baje ghar se durr wale bagiche me
Aa jao tum to saj jaye ye hamari suhani raat

Darte ghabrate aai thi main milne tumse yaar
Kuch der idhar udhar ki karte rahe hum baat

Fir nikala tumne apne shirt se wo laal gulab
Dete hue mujhe hathon me chhu liya tumne mera hath

Ghabra si gai uss sihran se aur ho gai thi sharm se laal
Aur dekh meri ye haalat, hata liya tha tumne apna hath’

Lekin fir duje hi pal palkein jhuk gai thi meri
Palkein uthai nazrein mili to thaam liya tumne mera hath

Main sakuchai main sharmai keh nahin pai kuch bhi main baat
Tham k tum baithe rahe the ghanton yunhi mera hath

Aaj bhi jab chhuti hun khudko, leke apne hathon me hath
Yaad aa jati hai mujhe hamari wo sharmili si pehli mulakaat…..!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pehli MULAKAAT.... by sacccha_pyar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Woh Meri Pehli Mulakaat thi......!!!!!!! by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Woh Pehli Mulakaat .... by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
pehli mulakaat ... (Jasbir Singh) by jasbirsingh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehli Mulakaat by Tintin in Shayri for Khumar -e- Ishq
neelgold
Guest
«Reply #1 on: October 06, 2010, 12:28:01 AM »
Reply with quote
WAH KASAK JI one aftr othr

Ur going bak to bak

Yaar hum to tareef kar kar ke thaq gaye ........

Dear ur doing really gud work .........

Keep it up
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 06, 2010, 01:06:00 AM »
Reply with quote
waah ji bahut bahut khoob likha hai aapne.. bahut hi khoob surat andaaz me apne un mulaaqaaton ke baare me bataya hai aapne... mast mast hai ji...

un maasom se nigaahon ki maasoomiyat,
aankhon me sharam leke baithi thi tum,

wo aankhon ka paani, wo hothon ki narmi,
haathon me haaath leke baithi thi tum,

chhuke un haathon ko jab chuma tha maine,
haath apna mujhse chhuda le gayi thi tum,

dekha apne haathon ko tab gaur se tumne,
kuch palon ke liye chup si ho gayi thi tum,

mehsoos kiya tha tumne kuch par keh na saki tum,
haathon ko apne dekhe bina reh na saki tum,

hothon se chhua tha maine haath ko tumhaare,
kuch palon tak khayalon me kho gayi thi tum,

aankh thi jhuki hui, honth the geele se tab,
mandir ki seedhi pe saath baithi thi tum,

apni chunni me chupa liya haathon ko tumne,
dekh meri aankhon ko thodi ghabrai thi tum,

pyaar tha, izhaar tha, ishq ka iqraar tha,
mujhse jab milne wahaan aayi thi tum,

neele se ambar ke neeche neele kapde me,
meri aankho ke aage tab baithi thi tum,

un maasom se nigaahon ki maasoomiyat,
aankhon me sharam leke baithi thi tum...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2010, 03:26:38 PM »
Reply with quote
<>*Wo pehli mulakaat*<>


Wo pehli mulakaat wo bheege se jazbaat
Nahin bhulte mujhse wo din wo haseen raat

Khoye rehte the jab tum me hum din rein
Ghabra jate jab na hoti kuch der hamari baat

Wo milna hamara achanak hi ek raah me
Aur fir karna waada k ho ek aur mulakaat

Sham 5 baje ghar se durr wale bagiche me
Aa jao tum to saj jaye ye hamari suhani raat

Darte ghabrate aai thi main milne tumse yaar
Kuch der idhar udhar ki karte rahe hum baat

Fir nikala tumne apne shirt se wo laal gulab
Dete hue mujhe hathon me chhu liya tumne mera hath

Ghabra si gai uss sihran se aur ho gai thi sharm se laal
Aur dekh meri ye haalat, hata liya tha tumne apna hath’

Lekin fir duje hi pal palkein jhuk gai thi meri
Palkein uthai nazrein mili to thaam liya tumne mera hath

Main sakuchai main sharmai keh nahin pai kuch bhi main baat
Tham k tum baithe rahe the ghanton yunhi mera hath

Aaj bhi jab chhuti hun khudko, leke apne hathon me hath
Yaad aa jati hai mujhe hamari wo sharmili si pehli mulakaat…..!!!

Wah! Ji, wah
Behtreen peshkash
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: October 19, 2010, 03:59:28 AM »
Reply with quote
WAH KASAK JI one aftr othr

Ur going bak to bak

Yaar hum to tareef kar kar ke thaq gaye ........

Dear ur doing really gud work .........

Keep it up

Wah! Ji, wah
Behtreen peshkash

thnx neel ji and sir ji...meri koshish ko pasand karne k liye....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: October 19, 2010, 04:00:41 AM »
Reply with quote
waah ji bahut bahut khoob likha hai aapne.. bahut hi khoob surat andaaz me apne un mulaaqaaton ke baare me bataya hai aapne... mast mast hai ji...

un maasom se nigaahon ki maasoomiyat,
aankhon me sharam leke baithi thi tum,

wo aankhon ka paani, wo hothon ki narmi,
haathon me haaath leke baithi thi tum,

chhuke un haathon ko jab chuma tha maine,
haath apna mujhse chhuda le gayi thi tum,

dekha apne haathon ko tab gaur se tumne,
kuch palon ke liye chup si ho gayi thi tum,

mehsoos kiya tha tumne kuch par keh na saki tum,
haathon ko apne dekhe bina reh na saki tum,

hothon se chhua tha maine haath ko tumhaare,
kuch palon tak khayalon me kho gayi thi tum,

aankh thi jhuki hui, honth the geele se tab,
mandir ki seedhi pe saath baithi thi tum,

apni chunni me chupa liya haathon ko tumne,
dekh meri aankhon ko thodi ghabrai thi tum,

pyaar tha, izhaar tha, ishq ka iqraar tha,
mujhse jab milne wahaan aayi thi tum,

neele se ambar ke neeche neele kapde me,
meri aankho ke aage tab baithi thi tum,

un maasom se nigaahon ki maasoomiyat,
aankhon me sharam leke baithi thi tum...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: October 19, 2010, 06:03:37 AM »
Reply with quote
minnnd blowing anu jiii us par kapil ji ka reply sone par suhaga...maza aa gaya~

bas dheeeer saaari daaaadddd khaaaaj khujliiiii.........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: October 19, 2010, 06:11:25 AM »
Reply with quote
minnnd blowing anu jiii us par kapil ji ka reply sone par suhaga...maza aa gaya~

bas dheeeer saaari daaaadddd khaaaaj khujliiiii.........

uffffffff jaldi se B-Tex lotion laga lo abhi ji...warna sab taraf ho jayehi ye aapki daad khaajjj khujli
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: October 19, 2010, 06:12:02 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Clapping Smiley icon_king icon_queen

Yaad aati hai mujhko bhee aapse hui wo pehli mulaakaat......Kasak-di.......

<>*Wo pehli mulakaat*<>


Wo pehli mulakaat wo bheege se jazbaat
Nahin bhulte mujhse wo din wo haseen raat

Khoye rehte the jab tum me hum din rein
Ghabra jate jab na hoti kuch der hamari baat

Wo milna hamara achanak hi ek raah me
Aur fir karna waada k ho ek aur mulakaat

Sham 5 baje ghar se durr wale bagiche me
Aa jao tum to saj jaye ye hamari suhani raat

Darte ghabrate aai thi main milne tumse yaar
Kuch der idhar udhar ki karte rahe hum baat

Fir nikala tumne apne shirt se wo laal gulab
Dete hue mujhe hathon me chhu liya tumne mera hath

Ghabra si gai uss sihran se aur ho gai thi sharm se laal
Aur dekh meri ye haalat, hata liya tha tumne apna hath’

Lekin fir duje hi pal palkein jhuk gai thi meri
Palkein uthai nazrein mili to thaam liya tumne mera hath

Main sakuchai main sharmai keh nahin pai kuch bhi main baat
Tham k tum baithe rahe the ghanton yunhi mera hath

Aaj bhi jab chhuti hun khudko, leke apne hathon me hath
Yaad aa jati hai mujhe hamari wo sharmili si pehli mulakaat…..!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: October 19, 2010, 09:49:50 AM »
Reply with quote
Is khaali quote ka kya matlab hai ji?


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 19, 2010, 09:50:41 AM »
Reply with quote
khaaaj aur khujli mat dijiye... khaali daad se hi kaam chalaa lenge.... shukriya Abhi ji...!!!

minnnd blowing anu jiii us par kapil ji ka reply sone par suhaga...maza aa gaya~

bas dheeeer saaari daaaadddd khaaaaj khujliiiii.........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #11 on: October 19, 2010, 09:51:53 AM »
Reply with quote
Is khaali quote ka kya matlab hai ji?


matlab ye k kuch samjh nahin aaya k ab kya kahun.... tongue3
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 19, 2010, 09:53:43 AM »
Reply with quote
Usual Smile

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: November 03, 2010, 05:58:41 PM »
Reply with quote
Behad Khubsoorat aur Mohabbat Bhari Peshkash Hai aapki Anamika Ji.. Bahut Khooooooob.. Applause Applause



Pahali Us Mulaaqat Ka Manzar Jab-Jab Yaad Aata Hai,
Such Kahata Hoon Har Lamha Mera Mahak Sa Jata Hai....

Ehasaas Sa Hota Hai Phir Tere Bahut Qareeb Hone Ka,
Aur Khayalon Hi Khayalon Me Tu Bas Mera Ho Jata Hai....!!




**~** Mann **~**

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #14 on: November 03, 2010, 06:07:14 PM »
Reply with quote
wahhhhh bht khubb mann ji.......

wo pehli mulakaat wo hathon me hath
simte the jab hum dono ek duje k aas paas
wo bheeni si mahek tere badan ki kar gai madhosh
dilon ki betabi me kho gaye the dono k hosh

wo lamhe jab ek duje ki bahon me samaye the
aaj bhi wo lamhe meri yaadon me mehakte hain
le jate hain mujhe fir usi khumari me ishq ki
aur aaj bhi tan man me kai lehrein jaga dete hain.....!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:09:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer