Woh aaina ab toot gaya hai...

by -Kashish- on September 15, 2010, 02:37:12 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4308 times)
-Kashish-
Guest
Reply with quote
Ek pal tha woh jab hum saath the
Ek doosre ke haathon mein haath the
Kuch ehsaas kuch umeedein aur kuchkhwab paas the
Aaj tere jaane se mere armaano ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek din milne ki chaahat mein
Jaane kitni raatein aankhon hi aankhon mein guzaarte the
Kuch kahenge aur bohat kuch sunenge
Aaj teri khamoshi se meri baaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek hi jaise ehsaas mein jee rahe the
Ek jaise hi alfaaz keh rahe the
Kuch lamhe jo dono ko azeez the
Aaj teri ankahi sunkar mere jazbaaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tere saath tanha rehne ke liye
Jaane kitni mehfilein chod dete the
Kuch waqt tere saaye mein baith_te the
Aaj teri berukhi se meri nazron ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tujh mein bas rahi thi main
Aur ek tujhe hi dil mein basa rakha tha
Aaj tere anjaan hone se meri "kashish" ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rishta bhi toot gaya by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 8 9 »
Toot Gaya... by angel4u in Shayri-E-Dard
Mera Dil TooT Gaya........ by Ghulam Haider in Shayri-E-Dard
Aaina bhi sharma ke toot jata hai by Sunil Malhotra in Shayari -e- Husn
WAQT AAINA DIKHLA GAYA .......................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3 4  All »
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2010, 03:11:47 PM »
Reply with quote
Ek pal tha woh jab hum saath the
Ek doosre ke haathon mein haath the
Kuch ehsaas kuch umeedein aur kuchkhwab paas the
Aaj tere jaane se mere armaano ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek din milne ki chaahat mein
Jaane kitni raatein aankhon hi aankhon mein guzaarte the
Kuch kahenge aur bohat kuch sunenge
Aaj teri khamoshi se meri baaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek hi jaise ehsaas mein jee rahe the
k jaise hi alfaaz keh rahe the
Kuch lamhe jo dono ko azeez the
Aaj teri ankahi sunkar mere jazbaaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tere saath tanha rehne ke liye
Jaane kitni mehfilein chod dete the
Kuch waqt tere saaye mein baith_te the
Aaj teri berukhi se meri nazron ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tujh mein bas rahi thi main
Aur ek tujhe hi dil mein basa rakha tha
Aaj tere anjaan hone se meri "kashish" ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

 


Very Nice Poetry....Kashish Ji ! dil ko chhuute ehsaas ... bahut khoob rahi aapki peshkash ...dil se daad ...

aise hi likhte rahen ... aage bhi ...khush rahen...

duaaon ke saath...
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2010, 03:12:23 PM »
Reply with quote
kya baat hai bhut hi khoob ehsaasoN se piroya hai aapne apni is tehreer ko...............so touchy daad qubool keejiye



aslam
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2010, 03:15:57 PM »
Reply with quote
Very Nice Poetry....Kashish Ji ! dil ko chhuute ehsaas ... bahut khoob rahi aapki peshkash ...dil se daad ...

aise hi likhte rahen ... aage bhi ...khush rahen...

duaaon ke saath...

Bohat Bohat shukriya Anshumali ji
aapne apna waqt diya....aur dua'in woh to anmol hain
notworthy
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: September 15, 2010, 03:17:16 PM »
Reply with quote
kya baat hai bhut hi khoob ehsaasoN se piroya hai aapne apni is tehreer ko...............so touchy daad qubool keejiye



aslam

Bohat Bohat shukriya Aslam Sahab
jo aap aaye aur saraaha...
notworthy
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 15, 2010, 03:30:25 PM »
Reply with quote
Waah Kya kehne kashish ji bohat khoob,.

Dair aaye durust aaye, Bohat behtareen kalaam hai,.

May Allah bless you,.
Khush rahein
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #6 on: September 16, 2010, 02:01:29 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Mohtarma Kashish Sahiba
ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe Ameen.
Logged
pandit
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2010, 02:02:27 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Kashish jee..!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: September 16, 2010, 02:10:21 AM »
Reply with quote
Aadaab Kashish Jee

aapne dard bhare khayaaloN ko behad achchel lafzoN meiN qaid kiya hai... Aik achchi kalaam per daad kabool kijye...

Likhate rahiye...
khush rahiye.....
khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: September 17, 2010, 09:28:10 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Kashish ji... bahut pyaari poem hai... dil ko chhoo gayi aapki kavita... kuch likhe bina humse raha nahi gaya...



har aaina to kaanch ka hi hota hai,
mera dil bhi kisi kaanch se kam nahi,
jab tak tum the ye sheesh mahal lagta tha,
aaj tum nahi to ye kuch tukdon se kam nahi,
ek toofan ke aane se wo mahal dheh gaya,
aaj pyaar nahi aur koi sheeshmahal nahi,

kabhi tumse milne ko hum bhi betaab the,
aaj tumhaare jaane se wo betabi rahi nahi,
kal tak tumhse hi har kali mehekti thi,
aaj tum nahi to koi phool gulaabi rahi nahi,
aaj har phool murjhaa gaya hai,
kisi baag me aaj rahi bahaar nahi,

ehsaas to aaj bhi hamaare ek se hi hain,
alfaz bhi apne ab tak koi badle nahi,
fark bas itna hai kal pyaar tha aaj dard hai,
par aaj bhi tumhaari koi baat hum bhoole nahi,
har yaad seene me dard banke sama gaya hai,
aaj tum nahi to muskuraaane ki koi wajah nahi,

kal tumhaare saath tanha the, aaj akele hai tanha,
tanhaayi ka aalam kal bhi tha aur aaj bhi badla nahi,
kal tak har mehfil tumse hi sajti thi,
aaj mehfilon me waisi rounak nahi,
kal tak jeene ki ek umang thi dil me,
aaj tum nahi to koi umang bhi nahi,

dil me tum mere aaj bhi ho,
fark bas itna hai ki tum kareeb nahi,
chaaha tha tumko khud se badhke humne,
par shayad tumhaare dil me mere liye kuch nahi,
tumhaare jaane se tut chuka hai mera "Hriday",
aaj tum nahi paas to kuch bhi hum nahi...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 17, 2010, 09:31:37 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut bahut Khoob Kashish ji..

Bahut Hi Gehre Jazbaat!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapko Yahan Dekhkar Bahutttt Khushi Hui hai..Yuhi Likhte Rahiye.. icon_flower
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2010, 10:23:11 AM »
Reply with quote
Waah Kya kehne kashish ji bohat khoob,.

Dair aaye durust aaye, Bohat behtareen kalaam hai,.

May Allah bless you,.
Khush rahein

Bohat Bohat shukriya Azeem Sahab....
dua'on ke liye.......bohat zaroorat hai.....
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2010, 10:24:31 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Mohtarma Kashish Sahiba
ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe Ameen.


Bohat Bohat shukriya
Allah aapko bhi hamesha khush rakhe'in....Ameen!!!
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: September 17, 2010, 10:26:40 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Kashish jee..!!

Ji Shukriya...

Aadaab Kashish Jee

aapne dard bhare khayaaloN ko behad achchel lafzoN meiN qaid kiya hai... Aik achchi kalaam per daad kabool kijye...

Likhate rahiye...
khush rahiye.....
khuda Hafez.... Usual Smile         



Shukriya Janaab...
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: September 17, 2010, 10:28:01 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Behna.

ALLAH Pak Aapko Humesha Shad o Aabad Rakhe Aameen

Khush Rahiye...


~Shihab~


Bohat Bohat shukriya Majid Bhai.....
aapke aane ke liye
aur aapki dua'on ke liye...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:10:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer