Woh aana unka baam per khool ker zulfain.

by javedarshad on February 27, 2009, 07:05:22 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2540 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Woh aana unka baam per khool ker zulfain
Aur woh ithlana shane per dal ker zufain


Kabhi hain chilman kabhi ban gayein perda
Kabhi dikhana rana'yee pase pusht dalker zulfain


Sherma ke woh zalim ka pase deewar chup jana
Phir lahrana dheere se dareeche per dal ker zulfain


Her iak ada kafir ki qayamat se kam nahin
Woh dekhna uska apne chehre per dalker zulfain


Naaz-e-husn dekho mere junoN ka kuch khayal nahin
Muskuraye jaate hain aankhoon per dal ker zulfain


Kia manzer hai, na hat ti hai nazer na jhukti hai
Ithlana uska hawa ke doosh per dal ker zulfain


Hogaya chaak ghairate husn ka parda aye Javed
Kah de haale dil apna shane per dal ker zulfain






javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh zulfain hain tumhari by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
TERI ZULFAIN by mrasadkhan4u in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
darecha khool ke dekho tumhare dar pe aayaa hoon by khalidrawat in Ghazals
Muskaa uthhee hai baam, zaraa muskuraa to do! by abdbundeli in Shayari -e- Husn « 1 2 3  All »
Raat hotey hee, sarey baam roshnee hogee! by abdbundeli in Ghazals
mudassirali
Guest
«Reply #1 on: February 27, 2009, 04:27:47 PM »
Reply with quote
Assalamalaikum, aaj main kafi din baad yoindia par aaya, aatey hi pehli ghazal javed aapki parhney ko mili, tareef ke liyey lafz nahin hain,sirf itna hi kahoonga,
 AAyey they kehney ko yahan apney bhi dil ka haal
 aatey hi khumaari se haalaat badal gayey
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: February 27, 2009, 07:13:23 PM »
Reply with quote
Hi Kaash

aap ki muhabbat ke shukriya







javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #3 on: February 27, 2009, 07:25:32 PM »
Reply with quote

Assalamalaikum, aaj main kafi din baad yoindia par aaya, aatey hi pehli ghazal javed aapki parhney ko mili, tareef ke liyey lafz nahin hain,sirf itna hi kahoonga,
 AAyey they kehney ko yahan apney bhi dil ka haal
 aatey hi khumaari se haalaat badal gayey



nawazish hai Janab aap ki

bahut khushi huyee nacheez ki ghazal pasand aayee.
 Janabe mann
badi hi zahmatoon ka samna hai , zabaan ki samajh ka fuqdaan, nasamjhon mein aana ki taskeen,uljhe khayalon ka tana bana,main aur khudsataish ke tazyane, kia kia dekh raha hun ,adab ke bajaye shairzani ,woh bhi nishane se kooson door,

ab bas likhne ki himmat nahin hooti,

mager phir bhi, sabhi khamoosh baith jaigay to:-

Ehsaas apna  badloo jazbaat   mein na bahko
Mitadegee duniyan tumko khud ko sawarne mein


aate rahain hausla afzaiyee kerte rahain


wassalam


javed


Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: August 09, 2009, 05:44:59 PM »
Reply with quote
shukria dost



javed
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: August 09, 2009, 06:09:39 PM »
Reply with quote
wah wah javed ji.. bahut hi khoob

jasbir singh
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2009, 02:06:43 AM »
Reply with quote
tx
Bhai Jasbir ji





javed
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2009, 02:35:55 AM »
Reply with quote
Wah wah Bahut Khoob Arshad ji  Applause

Husne-fithrat ki haseen tasvir ho tum
Mere rangeen khwaab ki tabir ho tum

Yun to her shai mein khaliq hai jalwager
Subah ki kiran  ki tanveer ho tum

Logged
chitralsony
Guest
«Reply #8 on: August 10, 2009, 01:08:37 PM »
Reply with quote
wow kiya khumaar hay behtareen manzer bayan kiya hay javed je very touching
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2009, 01:16:07 PM »
Reply with quote
Wah Roza ji

kia baat hai

kia zaberdast shair likhain
Allah humko bhi uska naam bata dain

dad qubool ho

Yeh teri raanaayan, yeh tabbasum aur teri justuju
Kis ki machalti huyee aarzooN ki tasvir ho tum


javed
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: August 10, 2009, 04:19:40 PM »
Reply with quote
Woh aana unka baam per khool ker zulfain
Aur woh ithlana shane per dal ker zufain


Kabhi hain chilman kabhi ban gayein perda
Kabhi dikhana rana'yee pase pusht dalker zulfain


Sherma ke woh zalim ka pase deewar chup jana
Phir lahrana dheere se dareeche per dal ker zulfain


Her iak ada kafir ki qayamat se kam nahin
Woh dekhna uska apne chehre per dalker zulfain


Naaz-e-husn dekho mere junoN ka kuch khayal nahin
Muskuraye jaate hain aankhoon per dal ker zulfain


Kia manzer hai, na hat ti hai nazer na jhukti hai
Ithlana uska hawa ke doosh per dal ker zulfain


Hogaya chaak ghairate husn ka parda aye Javed
Kah de haale dil apna shane per dal ker zulfain


Beautiful Ghazal Javed Ji.. bahoot hi pyar bhara aur bahoot romantic likha hai .. Bahoot Bahoot Khoob!





javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2009, 06:35:58 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukria salony


kia bayan hai


javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: August 11, 2009, 12:24:43 AM »
Reply with quote
Tx
 sophi ji




javed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #13 on: August 11, 2009, 12:54:23 AM »
Reply with quote
Wow mindblowing creation Javed ji,bahut hi khoob. icon_thumleft Applause Applause :clap:excellent.
beautiful lines by Roja ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: August 11, 2009, 02:42:09 AM »
Reply with quote
Wow mindblowing creation Javed ji,bahut hi khoob. icon_thumleft Applause Applause :clap:excellent.
beautiful lines by Roja ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks Madhu dear
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:03:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer