Woh Choti see mulaqaat

by Ricky on December 05, 2004, 05:18:59 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 5099 times)
lovebites
Guest
«Reply #30 on: December 29, 2004, 04:50:53 PM »
Reply with quote
Thanks Kamal...............!Ur Welcome....................!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
**-----PHIR MULAQAAT HOGI-----** by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mulaqaat by faisal314 in Ghazals
Woh Mulaqaat Adoori thi by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
fir saawan se mulaqaat ho~ Abhi Tamrakar by AbhiTamrakar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #31 on: October 03, 2006, 01:52:02 PM »
Reply with quote
Mile the pehle bhi, par the kuch anjaan se hum
Chahatain theen dabi, aur kuch hairaan se hum

Dil ne dil ko tha pehchaana, aur di awaaz bhi thi
Sun na paaye the awaaz, the kitne nadaan hum !!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #32 on: October 03, 2006, 04:14:38 PM »
Reply with quote
Yuhin beet jaati hai sadiyaan beet jaate hain yeh pal !!
Murke dekho toh laga  yeh sab hua tha kal !!

Uthle paani mein hee hum doob gaye aise thae jazbaat !
Jazb hua sab mera kuch,chhoti see thiee woh baat !

Aaye woh nazdeeq mere, thee anjaan see pehel !!
Buniyaad dali thi humney waaste sapno ke mahel !!

Waqt jo beeta beet jaate hain yeh pal !!
Tassavur jo kiya toh laga yeh sab hua tha kal !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: October 04, 2006, 01:20:10 PM »
Reply with quote
Thats a good one Ricky !!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #34 on: October 11, 2006, 06:59:01 AM »
Reply with quote
wah wah bahut hi khoobsurat banadi aap sabne yeh mulakat......
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #35 on: October 15, 2006, 11:07:18 AM »
Reply with quote
very good Talat and Ricky...

bahut khoob


Tumse door rehkar ek bhi pal gujar na paaye, hum kya karein
Bin tumhare jee humara kahin lag na paaye, hum kyaa karein

Bada naaz karte the hum apne jis sabr par pehle,
Wahi sabr khota dekh dil ghabraaye, hum kya karein

Nikaale jo purane khat tumhare, jee ko behlane ke liye,
Jee na behla, par tum aur bhi yaad aaye, hum kya karein

Aise mein jab dekhne baithe, hum tumhari tasveer ko,
Dekhte hi rahe, saari raat so na paaye, hum kya karein
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #36 on: October 16, 2006, 09:11:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Mile the pehle bhi, par the kuch anjaan se hum
Chahatain theen dabi, aur kuch hairaan se hum

Dil ne dil ko tha pehchaana, aur di awaaz bhi thi
Sun na paaye the awaaz, the kitne nadaan hum !!


wah!!!!!!!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #37 on: October 16, 2006, 10:50:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Good One Ricky!!! never saw it b4!!  :oops:

Wo choti si mulaqaat mujhe yaad rahegi
Ta-umr mere zahan me wo baat rahegi
Kuch pal ka milna, kuch pal ka hansna
Ek umr jo beeti lamho me, yaad rahegi!!!!



Bahut Khub Talat Bahi...!
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: October 16, 2006, 11:14:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "KaMaL"
very good Talat and Ricky...

bahut khoob


Tumse door rehkar ek bhi pal gujar na paaye, hum kya karein
Bin tumhare jee humara kahin lag na paaye, hum kyaa karein

Bada naaz karte the hum apne jis sabr par pehle,
Wahi sabr khota dekh dil ghabraaye, hum kya karein

Nikaale jo purane khat tumhare, jee ko behlane ke liye,
Jee na behla, par tum aur bhi yaad aaye, hum kya karein

Aise mein jab dekhne baithe, hum tumhari tasveer ko,
Dekhte hi rahe, saari raat so na paaye, hum kya karein


Thanks Kamal....Welcome back !! Nice one from you !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: October 16, 2006, 11:15:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
Quote from: "Talat"
Mile the pehle bhi, par the kuch anjaan se hum
Chahatain theen dabi, aur kuch hairaan se hum

Dil ne dil ko tha pehchaana, aur di awaaz bhi thi
Sun na paaye the awaaz, the kitne nadaan hum !!


wah!!!!!!!!!


Shukriya Gesu Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: October 16, 2006, 11:16:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "paani"
Quote from: "Talat"
Good One Ricky!!! never saw it b4!!  :oops:

Wo choti si mulaqaat mujhe yaad rahegi
Ta-umr mere zahan me wo baat rahegi
Kuch pal ka milna, kuch pal ka hansna
Ek umr jo beeti lamho me, yaad rahegi!!!!



Bahut Khub Talat Bahi...!


Thanks Paani....Agar aap "bhai" kehna chahte the to sorry main ladki hoon !! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: October 16, 2006, 11:25:56 AM »
Reply with quote
Dekha nahin tujhko, bas ehsaas hai tera,
Ehsaas ko wujood mile, ho koi aisi mulaqaat
Mohabbat bhi ki hai ibaadat ki tarah humne,
Mil jaaye sila iska, ho jaaye tujhse mulaqaat
Dil se tadap kar ek aah uthti hai aksar,
Jeevan ka sath ban jaaye meri teri mulaqaat....!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #42 on: October 16, 2006, 11:35:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Dekha nahin tujhko, bas ehsaas hai tera,
Ehsaas ko wujood mile, ho koi aisi mulaqaat
Mohabbat bhi ki hai ibaadat ki tarah humne,
Mil jaaye sila iska, ho jaaye tujhse mulaqaat
Dil se tadap kar ek aah uthti hai aksar,
Jeevan ka sath ban jaaye meri teri mulaqaat....!!


wah talat ji bahut khoob!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: October 17, 2006, 11:38:57 AM »
Reply with quote
Shukriya Gesu !!!
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #44 on: October 25, 2006, 05:00:37 AM »
Reply with quote
Ye lijiye Ricky ji,
ye bilkul nayee peshkash..padhiye



Yaad rakhna nahin chahte hum tumhein

Yaad rakhna nahin chahte hum tumhein,
Par tumko bhulaya nahin jata
Mann pe to ikhtiyaar hai apne,
Dil ko samjhaya nahin jata

Na dekhenge tumhari tasveer, So aankhein band kar li humne
Tum hue aur kareeb, Najar aane lage, band palkon mein
Seene mein jo tasveer basi hai
Us ko mitaya nahin jata

Laga di aag, aur jala diye, Jab tumhare khat humne
Tum najar aane lage, Jalte khaton ke dhooyein mein
Tumhara khayal ek pal bhi
Is dil se, hataya nahin jata
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:42:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer