woh jo simat kar.........

by ranjana on June 14, 2006, 02:37:09 AM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 20536 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #180 on: August 01, 2006, 01:09:33 PM »
Reply with quote
shukriya aur bahut bahut khoob likha hai aapne RANJANA.....

Naaz-andaaz teri ada is kadar ghayal kar jati hai mujhko,
ki khwabon aur khayalon me bhi katl kar jati hai mujhko......

khwaab me bhi bas kuch aise mujhe bulaati rahati hai tu,
ki aankhon ki haya, laobon ki masti bahaka jati hai mujhko......

in aankhon me rahata hai, har pal bas nazaara tera,
jo dekh le tu door se mujhe, bas maar hi jati hai mujhko.......

tanhaai me bhi yaaden teri, bahalati rahati hain mujhe,
aur mahakti raat ka manjar sath tere nazar aata hai mujhko......

charche rahate hain tere-mere, is shayaron ki mehfil me,
karta hai jo koi zikra, humdam tera bata deta hoon mujhko.....

naaz-andaaz har ada is kadar ghayal kar jati hai mujhko,
ki khwabon aur khayalon me bhi katl kar jati hai mujhko.......!!!!!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khud mai simat jati hu by Pooja in Miscellaneous Shayri
Jis Simat Bhi Dekhoon Nazar by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
{Be-Simat Tha Safar} by angel4u in Shayri-E-Dard
simat ja mere wajood me by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar simat aaya hai....... by yati_om in Ghazals
ranjana
Guest
«Reply #181 on: August 01, 2006, 06:37:42 PM »
Reply with quote
bahut khoob vicky ......

mere hotho ki nami bas dastaan tumahri hi kehti hai
mere seene mein har dharkan bas tumhari hi rehti hai

shaam hote hi bojhil si ho jaati hai saanse meri
jhuk jaati hai haya se aankhe aur ek tasveer bas teri hi rehti hai

kabhi kar ke koi nayi shararat apne pyaar ki
teri muskarhate ab toh jaan meri le leti hain

bad jaati hai betaabi si ek mere dil mein
tujhse milne ki ek hasrat bas ab har pal mere dil mein rehti hai

jaane kitne sawal ulajh ke rah jaate hain tere faasane mein
tere pyaar ki aadaae mujhe in sawalo aur jawabo mein milti hai

chum lu lab tere aaj kahi chupke se main
ek tabiyat meri tujhe saatane ki hat pal mere khayalo mein rehti hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #182 on: August 02, 2006, 12:02:18 PM »
Reply with quote
nice one RANJANA........ bahut khoob...

Teri aawaz hi aati hai sanam, bas har aawaz me mujhko,
meri aawaz bhi mujh tak badi mushkil se pahunch pati hai....

shayad tere khawaab-o-khayaal hain jimmedar iske liye,
ki jati hai jahan bhi nazar, bas tu hi tu sirf nazar aati hai........

dhundhla sa noor chehre pe tere laharata aata hai nazar,
jaise tu bhi meri tarah raaton ko, tadap ke raha jati hai......

betabi dil ki badh jati us pal, muskurati hai jab tu dekh kar,
tera to muskurana hota hai, zakhmi is dil ko kar jati hai.......

kabhi is dil ka mukaam tha, mandir-mazjid se kahin door,
par tujhe pane ki chah, dua karne par majboor kar jati hai.......

teri aawaz hi aati hai sanam, bas har aawaz me mujhko,
meri aawaz bhi mujh tak badi mushkil se pahunch pati hai.........!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #183 on: August 02, 2006, 12:07:15 PM »
Reply with quote
Gar Simat jaate baahon me teri.....
Toh bhala hum kaise Gulzaar kehlate.....

Na hoti behki yeh Fizayein.....
Toh bhala kaise aaj Badnaam kehlate......

Naam nahi humne Zindagi mitai hai......
Gar hote Dilnasheen toh kaise Dildaar kehlate........!!!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #184 on: August 03, 2006, 12:21:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Gar Simat jaate baahon me teri.....
Toh bhala hum kaise Gulzaar kehlate.....

Na hoti behki yeh Fizayein.....
Toh bhala kaise aaj Badnaam kehlate......

Naam nahi humne Zindagi mitai hai......
Gar hote Dilnasheen toh kaise Dildaar kehlate........!!!!!!!!!!


aghar simat jaate bahoin mein mera
tu sanam isse aag ko thora shaant kar jaate

aghar fizayein itni behki na hoti
tu mera dil ki awaaz kaise sun lete

aghar appne apni zindagi mithayi hai
tu hum kaise zinda tera bina jeete :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #185 on: August 03, 2006, 04:05:09 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai Vicky .Gaurav and Aanjani .....


mehekti hai jab yaade unki toh dil mehek jaata hai
mere jism ka har kona unki khusbu se lehek sa jaata hai

tere pyaar ka jaadu jab sirr per chad ke bolta hai
phool se khil jaate hain zindagi mein aur sama sara muskarta hai

jab bhi yaad aayi hai mujhe teri woh behki si nazar
mere dil mein ek tufaan sa machal jaata hai

jab bhi chhera hai saazo ne geeto ka sur kahi per
meri nazmo mein tere pyaar ka lafaz dhal jaata hai

sunte hi teri awaz kahi per ek hi khayal dil mein aata hai
jaise koi dur se ek jaan mere bejaan jism mein phoonk jaata hai

milti hai jab bhi khabar tere aane ki kahi se kabhi bhi
toh mere khawabo aur khayalo ka mehel bas tere naam se saj jaata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #186 on: August 03, 2006, 01:52:16 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA..... NICE ONE

mohabbat ek naadaini hai, yeh jahan kahata hai,
phir yeh aashiq, tujh par dil-o-jaan se marta hai.....

yeh teri chahat hai, jo is duniya se ladh gaya main,
kyunki yeh dil sanam, tera hi naam rata karta hai.....

dil pareshan, aankh viraan, lab khamosh hai rahate,
jab teri yaadon ka silsila, is dil me machal uth-ta hai........

ab bhi saazon pe taar hilte hain, par geet hain udaas,
nazmo ko meri aaj bhi, teri nazron intzaar rahata hai......

saajish kaam kar gai shayad is beraham zamaane ki,
ki mohabbat teri paane ko, yeh dil tarasta rahata hai.....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #187 on: August 03, 2006, 05:27:20 PM »
Reply with quote
Na Simat Sake bahon me woh Khushi ho tum.....
Raat ho Chandani or ek Badnaam ki Ghazal ho tum......

Pyar karta hu tumse kitna yeh kaise hum batayein.....
Zindagi judi ho jisse aye Sanam use yeh kaise jatayein.....

MOrni ke Naach see Sundarta......
Toh Koyal ki meethi awaaz ho tum.....!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #188 on: August 03, 2006, 07:46:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Na Simat Sake bahon me woh Khushi ho tum.....
Raat ho Chandani or ek Badnaam ki Ghazal ho tum......

Pyar karta hu tumse kitna yeh kaise hum batayein.....
Zindagi judi ho jisse aye Sanam use yeh kaise jatayein.....

MOrni ke Naach see Sundarta......
Toh Koyal ki meethi awaaz ho tum.....!!!!!!!!


appke jism mein simat gayi hoon
appki ghazal ban gayi hoon

kuch kehne ki zaroorat nahi isse badnaam ko
dil ki awaz dhoorh se sun sakhti hoon
Logged
ranjana
Guest
«Reply #189 on: August 04, 2006, 02:47:17 AM »
Reply with quote
too good vicky anjani and gaurav....

shaam dhalte hi ek aqs meri nazaro mein utar aaya
simat gaaya meri bahaon mein koi anjaan sa saaya

uthne lagi jab dil  mein pyaar ki lehare
hamne apni ishq ki kishti ko usmein utaara

they ek kinaare per tum aur ek taraf main thee
bas nazaro se hota raha yeh ishq hamaara

fir bhi jaise chhoo rahe they lab ek dusre ko
mere jism per chhaaya raha bas vajood tumhara
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #190 on: August 04, 2006, 09:34:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
GOOD JOB RANJU JI
 
AND VICKY BHAI AND ANJANI JI


Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!


excellent!!!!!!!!!! :D
Logged
natural
Guest
«Reply #191 on: August 04, 2006, 11:30:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good vicky anjani and gaurav....

shaam dhalte hi ek aqs meri nazaro mein utar aaya
simat gaaya meri bahaon mein koi anjaan sa saaya

uthne lagi jab dil  mein pyaar ki lehare
hamne apni ishq ki kishti ko usmein utaara

they ek kinaare per tum aur ek taraf main thee
bas nazaro se hota raha yeh ishq hamaara

fir bhi jaise chhoo rahe they lab ek dusre ko
mere jism per chhaaya raha bas vajood tumhara


Bahut khoob Ranjana ji.... Usual Smile  Vicky & BS you too wrote wonderful.... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #192 on: August 04, 2006, 12:30:05 PM »
Reply with quote
shukriya majid ...bahut khoob .... Usual Smile

shukriya Natural ...... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #193 on: August 04, 2006, 01:02:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
GOOD JOB RANJU JI
 
AND VICKY BHAI AND ANJANI JI


Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!


badala pura le liya aapne .. :D  :lol: lo ji likh diya .. :D

har mehfil mein talash karti hai unko nazare
ki dil ki umange bhi  jaawan hai
pal raha hai dil mein hasrato ka ek carwaan
a sanam tu bata de ki tu ab kaha hai

hai nahi mujhe shikva koi apni kismat se
yadi tu saath hai toh har rasta hum per meherbaan hai
chale bhi aao ab ek baar meri bahaom mein sanam
ki meheka beheka sa aaj sara saama hai .... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #194 on: August 04, 2006, 01:12:38 PM »
Reply with quote
Puzzled ! maine kab kaha ki aap nagin hai... :D

kaise karega unse  pyaar koi
unko  ko toh khud per etabaar nahi hai

dekhte nahi hai woh bhari mehfil mein ek nazar bhi
aur kehte hain ki unki nazaro mein hamara intzaar wahi hai!!!!
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:35:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer