woh jo simat kar.........

by ranjana on June 14, 2006, 02:37:09 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Author  (Read 20441 times)
ranjana
Guest
«Reply #240 on: September 06, 2006, 12:37:54 PM »
Reply with quote
so sweet vicky ........are main kahi nahi gayi yahi hun  :D

shukriya waheed .... Usual Smile


aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka jeene ki ab baat kare

ek roohani si koi dil ki kahaani
fir se dil ke jazbaato mein bhare

chhoo le dur tak faille is aasmaan ko
aur aankho mein pyaar ka rang bhare

fir bethe tere khyaalo mein hum
aur dil per hoti teri dharkano ki dastak ko sune

aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka ab jeene ki baat kare!!! :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khud mai simat jati hu by Pooja in Miscellaneous Shayri
Jis Simat Bhi Dekhoon Nazar by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
{Be-Simat Tha Safar} by angel4u in Shayri-E-Dard
simat ja mere wajood me by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar simat aaya hai....... by yati_om in Ghazals
waheed_rose2004
Guest
«Reply #241 on: September 06, 2006, 01:03:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
so sweet vicky ........are main kahi nahi gayi yahi hun  :D

shukriya waheed .... Usual Smile


aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka jeene ki ab baat kare

ek roohani si koi dil ki kahaani
fir se dil ke jazbaato mein bhare

chhoo le dur tak faille is aasmaan ko
aur aankho mein pyaar ka rang bhare

fir bethe tere khyaalo mein hum
aur dil per hoti teri dharkano ki dastak ko sune

aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka ab jeene ki baat kare!!! :D


ur welcome  Ranjana  jee...   wonderful  Again

rukh pe aanso baha rahi ho tum
kya mujhey aazma rahi ho tum

aaj sharmain nam per uske
kya hameen choor ja rahi ho tum

mere zano pe sar hey or phir bhi
hijr ka geet ga rahi ho tum

guzreen yuoon pas se ke ruk na sakeen
door kyuon hum se ja rahi ho tum

aankh main dosri saja ke shabih
kon sa gum chupa rahi ho tum

kuch to bolo ke yuuon hi chup reh ker
kyuuon sitam hum pe dha rahi jo tum

yad ker mujh ko, meri jan dil ko
roog kaisa laga rahi ho tum

umar guzri hey aik, per ab bhi
dil ka dar khatkhata rahi ho tum

meri aankhoon ka pani pi pi ker
or mujh ko rula rahi ho tum

is shajar per jo nam like hain
kyuoon inhain ab mita rahi ho tum

jis ko tanha kiya tha, us jan per
aaj kyuuon haq jata rahi ho tum

khoon de de ke jo banaya tha
wo makan kyuuon jala rahi ho tum

raah se main tumhari hat to gaya
ab mujhey kyuuon sata rahi ho tum

aankh main, main hoon lab pe or koi
ye mujhey kya bata rahi ho tum

hijr ki subha sar pe aa pohnchi
seej ab kyuoon saja rahi ho tum

sare mosam to Rast dekh chuka
ab use kyuuon bula rahi ho tum........nm
Logged
ranjana
Guest
«Reply #242 on: September 07, 2006, 03:45:24 AM »
Reply with quote
bahut khoob waheed ji ....thanks for sharing ... Usual Smile


tere pyaar mein yeh ajab si kashish hai
tu baate bana ke karata jaadugiri hai

band kar liya hai apni palko ki seepi mein tujhe
ab mera har khawabo ki duniya tere hi pyaar ke rango se saji hai!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #243 on: September 07, 2006, 04:11:03 AM »
Reply with quote
Gud joB Ranju and thnx for Sharing Big B

Tere Khule Gesu.....
Aur Dil me Chubhti Nazron ki Talwaar......

Woh Sharmana tera Adaaon se.....
Aur khaali jata mera harr Waar.......

Woh khankhana apne Kangana pehene Suit aur Salwaar.......
Woh kehna mera aaj hai Mahobbat Ka Aalaam aar ya paar.......

Woh gunjti Awaaz teri Mandiron ki Darr-O-Deewaron se......
Woh karna teri Baatein unn Wadion ke Parwat pahado se.....

Aa Sanam aaj yeh Dooori mita de......
Lab chooke tere mujhe Amrit Paan kara de.....

Na lagta ab hume yeh Zindagi Parayi hai.......
Na jaane tere Aane se yeh kaisi Zindagi Khushi me laut aayi hai........!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #244 on: September 07, 2006, 06:14:45 AM »
Reply with quote
meri har baat per muskara dete hain woh
kar ke baat ishaaro mein dil ko beheka dete hain

dikhaate hain woh ishq ki jaadugiri
aur hum sharm se apni nazaro ko jhuka dete hain

rakhate hain woh apni nazar meri har baat per
mujhe apni baato se ek aaeina dikha dete hain

karte hain intezaar hum bhi ab us pal ka
jis pal ko apne mehekate pyaar se woh  saaja lete hain !!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #245 on: September 08, 2006, 10:49:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
so sweet vicky ........are main kahi nahi gayi yahi hun  :D

shukriya waheed .... Usual Smile


aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka jeene ki ab baat kare

ek roohani si koi dil ki kahaani
fir se dil ke jazbaato mein bhare

chhoo le dur tak faille is aasmaan ko
aur aankho mein pyaar ka rang bhare

fir bethe tere khyaalo mein hum
aur dil per hoti teri dharkano ki dastak ko sune

aao fir se ek pyaar ka khawab bune
waqt kam hai zindagi ka ab jeene ki baat kare!!! :D


shukra hai bhagwaan ka.. ki aap yahin hain...
bahut khooob............ RANJANA......

Mere is dil ko bahalana, tum khoob janti ho sanam,
aur dil bhi yeh mera, tere bahalane se bahal jata hai......

par itna yakin hai mujhko, tujh par e-mere dilbar,
dil ke kisi kone me tumhare, naam mera bhi aata hai......

yaad karta hoon jab-jab, mohabbat bhari baaton ko,
dil tujhe paane ko sanam, aaj bhi machal jata hai..........

aaj bhi jab-jab karta hoon, main band apni aankhon ko,
khwabon me sirf tera hi chehra, mujhe nazar aata hai.........

yeh kaise meri mohabbat, khud uljha hoon is sawal me,
aur jawaab is sawal ka, tu bhi to nahi de pata hai.........!!!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #246 on: September 09, 2006, 05:51:58 AM »
Reply with quote
Waah...Vicky bhai....

Fakat ISHQ aur Sang Dil mera hai.....
Dunia hai jaise ek Jung aur Dil me Junoon tera hai......

Armaan ab Khawabon ki Shakl le raha hai......
Ajuman hai teri aur ab dard se hume gila hai.......

Haan Gumaan karte hai Mahobbat pe apni hum.....
Kyunki Zindagi ki Raahon Saath jo tera hai......!!!!!!!!!!!
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #247 on: September 09, 2006, 09:33:54 AM »
Reply with quote
youn to koi tanha nahi hota,
chaah kar bhi koi juda nahi hota,
mohabbat ko to majbooriyaN hi le doobti hai,
warna khushi se koi bewafa nahi hota!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #248 on: September 09, 2006, 10:15:58 AM »
Reply with quote
zindagi bas tujhe pyaar se ek baar hum chhoo le
ek baar tere daaman se lipat ke tere labo ko chum le

ab toh khatam ho meri tanhaai ka yeh safar
ab toh khushi ke kuch rango mein saanso  ko kho  le

khil jaaye ab toh mere rasate mein bhi phool
chupke se kisi ke shabad kaano mein mishari sa ghole

chehare ki udaasi halki si muskaan ban jaaye
in nazaro ko kabhi hum bhi unki aankho ki maye mein dobo le!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #249 on: September 16, 2006, 08:45:55 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA aur GAURAV BHAI..........


WO JO SIMAT KAR aaye, meri machalti baahon me,
yun laga ho gaye armaan poore, ishq ki raahon me....

khatam ho gai tanhaai meri, nazaren jab takra gain,
jo maza hai deedar me unke, kahan wo bahaaron me......

kaliyan bhi sharma gain, gulon ka to bura haal hai,
na dekha shayad husn aisa, unhone in fizaaon me........

us pal jal utha badan mera, sirf chhooa jab labon ko,
kamal khil uthe dil me tab, jab lipte wo tanhaai me.......!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #250 on: September 16, 2006, 10:09:28 AM »
Reply with quote
Aaj phir unki aur se hawa aayi
mere sanam ki ek khabar laayi

kyu nashe mein hai aaj yeh saara alam
kahi yeh sanam ke labo ko nahi chhoo aayi

beheki si hai yah aaj aur kuch hai pagali si
meheki hui si yeh unke badan ki khushboo toh nahi hai chura laayi

chalak raha hai nasha aaj kuch fizaao se
kahi yeh rut pyaar ki mere jeevan mein toh fir se nahi aayi!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #251 on: September 18, 2006, 12:09:07 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA..........

Dil dooba hai dilbar, mohabbat bhari teri yaadon me,
aane lage ho jab se tum, dulhan ban ke khwabon me...........

subah-shaam naam tera leke, kuch aise jeete hain hum,
aati hai jab-jab yaad teri, guzaarata hoon wo waqt peene me......

rahana kahin tum sanam, bas paigam yeh yaad rakhna,
mujhe na sahi par naam mera, basaye rakhna apne dil me......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #252 on: September 19, 2006, 10:29:08 AM »
Reply with quote
GOOD ONE VICKY......


EK NAAM TERA MERE DIL KI DHARKAN MEIN BAS GAAY HAI
EK TU HI TU AB MERE DIL MEIN UTAR GAYA HAI

GAANE LAGI HAI DIL KI HAR DHARKAN BAS TERA HI TARAANA
TERE KHAWABO SE MERA JAHAAN RANG GAYA HAI

PEETE HO TUM KYU MAYE KE PYAALE YUN IS QADER
KYA MERI NAZARO KA NASHA TERE DIL SE UATAR GAYA HAI!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #253 on: September 19, 2006, 11:03:21 AM »
Reply with quote
Gud One Vicky Bhai and Ranju

Jahan ko Rangeen or Mausam ko Aanchal me baha do.....
Phir raha hu me Darbadar mujhe Ankhon me apni Panaah do.....

Yoon toh Baadlo ka Garajna aur Suraj ka Tadapna......
Hona Munasib hee hai......

phir ab jaise lagg raha hai darr hume......
Bas tum aaj iss Dil ko Mahobbat ka Raaz bata do......!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #254 on: September 20, 2006, 04:35:21 AM »
Reply with quote
yeh dil ab kuch nahi paata
sajan tum bin hamko chain nahi aata

udd gayi hai yeh beran nindiya
mere tasvur mein har pal hai tu muskarata

dhoondati hai ab meri nazare bhi tujhko
yeh dil hai ab tere pyaar ka payaasa!!
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:32:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer