WOH MAIN HOON...

by diya786 on November 14, 2008, 01:47:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5754 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Hatheli saamne rakhna
Ki sab aanson gire usmein
jo ruk jaayega hothon par
samajh jaana ki woh main hoon

Kabhi jo chand ko dekho
To tum yun muskura dena
Jo chal jaaye hawa thandi
To aankhein band kar lena
Jo jhonka tez ho sabse
samajh jaana ki woh main hoon

Jo jyaada yaad aaon mein
Tum ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aaye
samjh jaana ki woh main hoon

Agar tum bhoolna chaho mujhe
Shayad bhula bhi do mujhe
magar jab saans tum lena
samajh jaana ki woh main hoon {nm}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main nashay main hoon by Syed Imran in Ghazals
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Main woh hi hoon............! by lovebites in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Main Hoon Na... by punam in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
..hoon main... by dead heart in Ghazals
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2008, 02:21:52 PM »
Reply with quote
diya786 ji!
Hatheli mein saamne rakhna
Ki sab aanson gire usmein
jo ruk jaayega hothon par
samajh jaana ki woh main hoon
Pyaaree nazm hai, kisee kee bhi ho, sunder hai!! Meyrey khyaal sey pahlee laain mein 'mein' naheen hogaa! Deykhiyegaa! 
                             - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: November 14, 2008, 02:40:29 PM »
Reply with quote
Very Beautiful sharing Diya .... Badi pyaari poem hai.......!  Applause

Abd Ji ne theek kaha, pehli line main "Mein" nahin hai  Winking
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2008, 06:35:15 PM »
Reply with quote

Nice sharing Diya Ji

Hoton se hai muskurana
Jhoke se baalon ka uljhana
Hichkiyon ka yaad dilaana
Saason ka garmi pahuchana
Kitna achcha lagta hai
Jab in sab mein woh hoti hai
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: November 15, 2008, 04:29:44 AM »
Reply with quote
Hatheli mein saamne rakhna
Ki sab aanson gire usmein
jo ruk jaayega hothon par
samajh jaana ki woh main hoon

Kabhi jo chand ko dekho
To tum yun muskura dena
Jo chal jaaye hawa thandi
To aankhein band kar lena
Jo jhonka tez ho sabse
samajh jaana ki woh main hoon

Jo jyaada yaad aaon mein
Tum ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aaye
samjh jaana ki woh main hoon

Agar tum bhoolna chaho mujhe
Shayad bhula bhi do mujhe
magar jab saans tum lena
samajh jaana ki woh main hoon {nm}


Itni Pyaari Nahi..bahot hi achhi Hai Ye Nazm.
Diya Ne sharing kiya hai To Usme Kashish To hogi na'
Beautiful sharing..!!!

Aub Itni To Maine Shayri padhi nahi To Kaise KhamiyaaN Nikal sakuN....
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #5 on: November 15, 2008, 04:31:57 AM »
Reply with quote
wo main hu
Hatheli mein saamne rakhna
Ki sab aanson gire usmein
jo ruk jaayega hothon par
samajh jaana ki woh main hoon

Kabhi jo chand ko dekho
To tum yun muskura dena
Jo chal jaaye hawa thandi
To aankhein band kar lena
Jo jhonka tez ho sabse
samajh jaana ki woh main hoon

Jo jyaada yaad aaon mein
Tum ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aaye
samjh jaana ki woh main hoon

Agar tum bhoolna chaho mujhe
Shayad bhula bhi do mujhe
magar jab saans tum lena
samajh jaana ki woh main hoon {nm}

wao bahut acha likha ha  aapna
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: November 15, 2008, 04:10:29 PM »
Reply with quote
Very nice sharing diya dear... Applause

Abd ji bohat khoob.. Thumbs UP

Rajesh ji bohat khoob... Thumbs UP
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: November 16, 2008, 10:49:27 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Abd sahab
aapne sahi farmaya
shukriya Talat ji, Ashraf, Jaya di
aur Rajesh ji aapne bahut accha likha hai...
Applause
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #8 on: November 16, 2008, 11:42:05 AM »
Reply with quote
nice sharing Diya ji....

Saj
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 18, 2008, 05:42:24 PM »
Reply with quote
nice sharing Diya
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: November 19, 2008, 02:24:30 PM »
Reply with quote
honeyrose ji / diya786 ji!
You're welcome! Thanks!
                 - abd bundeli
Logged
Kushagra
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2016, 07:05:53 PM »
Reply with quote
koun ho tum jo hothon par ruk jaati ho,
hawa ke jhoke main mehsus ho jaati ho..

jeena to kab ka chhod diya hai maine,
pr q phir bhi tum saanso main sama jaati ho.......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:23:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer