Woh Mausam Yaad Aaya Muje

by Bhupinder Kaur on January 10, 2014, 05:31:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 881 times)
Bhupinder Kaur
Guest
Reply with quote
Ek saath bike par baithna
Kisi azad panchi ki tarah
Tere sang roz roz ghoomna,
Khuli baahein kar ke,
Gehri saans lena
Hawa ki hulchul ko shan shan mehsoos karna
Teri ungliyo ka.. mere baalo mei kangi karna,
Kaano mei haulse fusfuss karna,
Jhoot moot ki chimati karna
Woh Khushnuma Mausam Yaad Aaya Muje

Kabhi sau bahane karna mujse Milne ke liye,
Phir  Milne par kehna “jaldi jaana hai muje”
Aur kabhi kehna  “bus ab kabhi milna nahi”
Baat baat par tera rooth jana
Aur khud hi tera maan bhi jana
Kabhi golegappe
Kabhi jalebi kulfi ki farmishey
Haaye Woh Khatta Meetha  Mausam Yaad Aaya Muje

Ek hi raftaar mei
Woh teri dhero baatein karna
Aur kabhi teri chubti khamoshi ka bechain karna
Phir  eka ek
Woh teri  jhilmilti ankho ka shararat karna
Woh khil khilati hassi ka gunj na
Haaye Meri Jaan
Woh Mastana Mausam Yaad Aaya Muje

Bacho ki tarah woh tera muje gale lagna
Woh mere hatho ko pakkad
Apne galo par rakhna
Phir ekdam paas aake woh tera,
Mere pairo par pair maar ke daud jana
Haan Woh gudgudta hua Mausam Yaad Aaya Muje

Tera woh khud ki tareef karna,
Aur mujse hi meri shikayat bhi karna
Kabhi sabhi shikve/gile bhul jana
Kabhi unhe yunhi bewajah dohrana
Khud hi uljhana aur suljhana bhi,
Woh  Pyar bhari Takrar ka Mausam Yaad Aaya Muje

Tere rang bharte nazaare
Woh  ghazb dhaate ishaare
Woh tere naamkeen tevar
Mujse lipte woh
Tere Saadagi ke zevar
Cham cham karte tere surk libaaz
Woh chandi si khanak teri awaaz
Haaye Woh Gungunata Mausam Yaad Aaya Muje

Tera na ho kar bhi,
Mere sang hona,
Woh tuta reshmi sa mulayam dhaaga,
Woh adhura sa pura rishta
Woh mehakta khusboo sa aaghaaz,
Woh makhmali sa ehsaas
Jaise abhi woh mausam ke lahme ne
Saans li ho muje mei
Haaye meri dhadkane bhi kahe  
Yeh mere Dil
Woh Mausam Yaad Aaya Muje


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaya Mausam dosti ka by precious_girl in Chit - Chat & General Discussion
Aaya Barsaat ka Mausam..... by dolly in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Voting ka mausam aaya hai by Rajbir in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
Fir aaya mausam rone ka.... by bhambra in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ye mausam aaya hai by @Kaash in Share Video
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 10, 2014, 05:59:21 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: January 10, 2014, 06:56:24 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 10, 2014, 07:20:08 PM »
Reply with quote
Ek saath bike par baithna
Kisi azad panchi ki tarah
Tere sang roz roz ghoomna,
Khuli baahein kar ke,
Gehri saans lena
Hawa ki hulchul ko shan shan mehsoos karna
Teri ungliyo ka.. mere baalo mei kangi karna,
Kaano mei haulse fusfuss karna,
Jhoot moot ki chimati karna
Woh Khushnuma Mausam Yaad Aaya Muje

Kabhi sau bahane karna mujse Milne ke liye,
Phir  Milne par kehna “jaldi jaana hai muje”
Aur kabhi kehna  “bus ab kabhi milna nahi”
Baat baat par tera rooth jana
Aur khud hi tera maan bhi jana
Kabhi golegappe
Kabhi jalebi kulfi ki farmishey
Haaye Woh Khatta Meetha  Mausam Yaad Aaya Muje

Ek hi raftaar mei
Woh teri dhero baatein karna
Aur kabhi teri chubti khamoshi ka bechain karna
Phir  eka ek
Woh teri  jhilmilti ankho ka shararat karna
Woh khil khilati hassi ka gunj na
Haaye Meri Jaan
Woh Mastana Mausam Yaad Aaya Muje

Bacho ki tarah woh tera muje gale lagna
Woh mere hatho ko pakkad
Apne galo par rakhna
Phir ekdam paas aake woh tera,
Mere pairo par pair maar ke daud jana
Haan Woh gudgudta hua Mausam Yaad Aaya Muje

Tera woh khud ki tareef karna,
Aur mujse hi meri shikayat bhi karna
Kabhi sabhi shikve/gile bhul jana
Kabhi unhe yunhi bewajah dohrana
Khud hi uljhana aur suljhana bhi,
Woh  Pyar bhari Takrar ka Mausam Yaad Aaya Muje

Tere rang bharte nazaare
Woh  ghazb dhaate ishaare
Woh tere naamkeen tevar
Mujse lipte woh
Tere Saadagi ke zevar
Cham cham karte tere surk libaaz
Woh chandi si khanak teri awaaz
Haaye Woh Gungunata Mausam Yaad Aaya Muje

Tera na ho kar bhi,
Mere sang hona,
Woh tuta reshmi sa mulayam dhaaga,
Woh adhura sa pura rishta
Woh mehakta khusboo sa aaghaaz,
Woh makhmali sa ehsaas
Jaise abhi woh mausam ke lahme ne
Saans li ho muje mei
Haaye meri dhadkane bhi kahe 
Yeh mere Dil
Woh Mausam Yaad Aaya Muje






Sooooooooooooooooooooo Beautiful.....

Bahutttttttttttttttt Hi Khoooooooobsurat Jazbaat... Aapne Lafz Ba Lafz Jaise Apne Dil Ka Haal Bayaan Kiya Ho...


"Tera na ho kar bhi,
Mere sang hona,

Woh adhura sa pura rishta

Kabhi sabhi shikve/gile bhul jana
Kabhi unhe yunhi bewajah dohrana
Khud hi uljhana aur suljhana bhi,


Mujhe Aapke Yeh Poetic Expressions Bahuttttttt Pasand Aaye Bhupinderjee..

Bahut Bahut Khooooooooooooob..


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #4 on: January 22, 2014, 04:00:12 AM »
Reply with quote
Tera na ho kar bhi,
Mere sang hona,
Woh tuta reshmi sa mulayam dhaaga,
Woh adhura sa pura rishta
Woh mehakta khusboo sa aaghaaz,
Woh makhmali sa ehsaas
Jaise abhi woh mausam ke lahme ne
Saans li ho muje mei
Haaye meri dhadkane bhi kahe 
Yeh mere Dil
Woh Mausam Yaad Aaya Muje



Nice one.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:34:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer