WOH SHAKS

by free_clouds on July 27, 2006, 12:57:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 922 times)
free_clouds
Guest
Reply with quote
Zindagi ki rahon mein chalte-chalte,
apni manzil ko taalashte taalashte.
nazar aaya ek shaks mere saamne,

jise dekhte hi chehre pe muskaan si aa jaati hai,
jiske kareeb aane se hi nazar sharma jaati hai,
jiski awaaz dil ki dhadkane bada jaati hai,
jisse baat karne ko zuban bhahana dhundti hai,
jisko pane ko kadam badna chahte hai,

socha mang lun usko main ussi se,
par inkaar ke darr se seham gayi,
kadam badane se phele pucha maine khuda se,
kya mera humsafar hai shaks yahin,
ab har pal bitata hai mera intzaar mein,
waqt bitata gaya aur chahat bad gayi
meri hazaaron duaon mein ek dua aur bad gayi,
maanga maine us shaks ko apni har dua mein...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Shaks, Jo Apna Tha Kabhi,. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HO HAR SHAKS......... by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
Ik Shaks by Kashifib in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 27, 2006, 03:19:51 PM »
Reply with quote
good one hai ji...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #2 on: July 28, 2006, 11:33:17 AM »
Reply with quote
Quote from: "free_clouds"
Zindagi ki rahon mein chalte-chalte,
apni manzil ko taalashte taalashte.
nazar aaya ek shaks mere saamne,

jise dekhte hi chehre pe muskaan si aa jaati hai,
jiske kareeb aane se hi nazar sharma jaati hai,
jiski awaaz dil ki dhadkane bada jaati hai,
jisse baat karne ko zuban bhahana dhundti hai,
jisko pane ko kadam badna chahte hai,

socha mang lun usko main ussi se,
par inkaar ke darr se seham gayi,
kadam badane se phele pucha maine khuda se,
kya mera humsafar hai shaks yahin,
ab har pal bitata hai mera intzaar mein,
waqt bitata gaya aur chahat bad gayi
meri hazaaron duaon mein ek dua aur bad gayi,
maanga maine us shaks ko apni har dua mein...


wah bahut khoob...........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2006, 01:23:25 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
free_clouds
Guest
«Reply #4 on: July 29, 2006, 12:39:51 AM »
Reply with quote
shukriya Gesu, Ranjana & tabbassum shakeel Usual Smile
Logged
free_clouds
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2006, 12:47:51 AM »
Reply with quote
Aaj yeh kaisi bedardi shaam aayi hai,

Aaj phir tumhari yaad se dil tadap utha hai,
Aaj phir tumhare kareeb aane ki chahat hai,
Aaj phir aankhon se anmol moti chalka hai,

Suna hai pyaar ki gehraiyaan
Takdeer badal deti hai…..
Kaash mere is banjar virane dil mein
tumahre pyaar ki barsaat ho jaye
manga hai tumhe hi toh duaon mein
meri dua ab toh kabool ho jaye
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 30, 2006, 01:25:52 AM »
Reply with quote
good one ...

maine maang li ha dua ab toh tum bhi sajda karo
mere haatho ki lakeero mein nahi ho toh koi rasta paida karo

jo bhi rasata tumhe mujh tak aane se roke
us rasate per ab apni manzilo ke nishaan daal do

dekh li hain maine bhi ek chingari ishq ki tum mein
ab yeh aag aur sulagne do .isko na dheema karo!!!!!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:45:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer