Wohi Shakhs!!!

by Talat on December 15, 2004, 01:36:54 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 20
ReplyPrint
Author  (Read 16637 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #105 on: December 23, 2004, 05:31:32 PM »
Reply with quote
Shukriya Talat ji!!! N Very Nice written!

Roz Tujhko ek naye Roop mein dekh kar chakraa jaata hai,
Magar Phir Tujhko Pahachaan jaataa hai wohi shakhs!
Tere Roop pe Nisaar deta hai Yoon hi apni Khudi ko,
Kabhi teri Jawaani ke paimaane chhalkataa hai wohi shakhs!
Tere Dil ka Darwazaa Khatkhatata hai Jehan mein Ghus kar,
Kabhi door jaa kar Tujhe Apne paas Bulata hai wohi shakhs!
Logged
dolly
Guest
«Reply #106 on: December 24, 2004, 05:16:45 AM »
Reply with quote
waheedji...kyon pooch liya aaap ne yeh sawaal.....

humaari zubaan na keh paayegi yeh alfaaz,
humare liye aap hain kuch khaas,
darte hain kahin ho na jaayen aap naaraz....

gar karen yeh vaada ki yaheen rahenge aas-paas,
tabhi niklenge humaare dilse yeh alfaaz...

MERRY CHRISTMAS!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #107 on: December 24, 2004, 05:50:15 AM »
Reply with quote
very nice ...heart ....talat......arun bhai........dolly ji...  aap ne bataya nahin ........ sare-aam aap ne aisa kah diya......aap mujhe batayen yeh baat......

repeat kar raha hoon .........sorry........

jis shaksh ne humharee dosti ko rond dala
jis shaksh ne humharay sapnoon ko toor dala
usi shaksh ki aaj dil main bohat izzat hai
ki abhi humharee dosti ka eik jazba baqi hai.......
Logged
khirbar
Guest
«Reply #108 on: December 24, 2004, 08:03:00 AM »
Reply with quote
hi  Usual Smile

"Yeh shab yeh khiyal-o-khuab teyray
Kiya phool khilay hain moon undhayray
Sholay main hay aik rang teyra
Baqi hain tamam rang meyray
Ankhoon main chupayeh phir raha hoon
Yaadoon kay bhojhay huay sayvray
Daytay hain suragh fasl-e-gull ka
Shakhoon pay jalay huay basayray
Manzeal na milli to qafloon nay
Rastay main jama liyeh hain dayray
Jungal main hui hay shaam hum ko
Basti say challay thay moon undhayray
Rudad-e-safer na chayrana Nasir
Phir ashq na tham na sakain gay meyray"

bye take care
Logged
dolly
Guest
«Reply #109 on: December 24, 2004, 08:43:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob!!!!!!bahut khoob!!!!!!!waheedji......khirbarji!!!!

aayehai waheedji....

mana ki khata hui hai unse kahin,
par jaante hain woh bewafa nahin...

par baniye na itne nadaan,
aapne aur aapke doston ne kar rakha hain ladkiyon ko badnaam....
gar ho gayee hai unse koi galti,maaf kar deejiye
aakhir maafi hai dosti ka doosra naam....

humein to badi pasand hai yahaan ke ladkon ki ada
maafi badi jaldi maang lete hain yeh sada
chate to the inko pehle se hi,ab kar rahein hain yeh vaada,
chahenge aap sabko aur bhi zyaada.....lolzzzzzzzzzzzzzzz!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #110 on: December 24, 2004, 09:30:21 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!khirbar.............dolly...........aap ki baaton se lagta ki aap phoolon ki dolly hain...  :lol:
aap ke ada ke kya kahne...........

ur welcome dolly...........

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai...........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #111 on: December 24, 2004, 02:25:55 PM »
Reply with quote
Very Nice Arunji!!! Waheed..Dolly n Khirbar!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: December 24, 2004, 02:30:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Shukriya Talat ji!!! N Very Nice written!

Roz Tujhko ek naye Roop mein dekh kar chakraa jaata hai,
Magar Phir Tujhko Pahachaan jaataa hai wohi shakhs!
Tere Roop pe Nisaar deta hai Yoon hi apni Khudi ko,
Kabhi teri Jawaani ke paimaane chhalkataa hai wohi shakhs!
Tere Dil ka Darwazaa Khatkhatata hai Jehan mein Ghus kar,
Kabhi door jaa kar Tujhe Apne paas Bulata hai wohi shakhs!

Thanks Arunji!!! Wowow Bohot achche!! :D

Hai roop wahi aur rang wahi, andaz badal gaye
Dekhne waale dekho phir bhi pehchan gaye
Ek teer-e-nazar ne hosh udaaten hain
hume ab lagta hai wo kaam se gaye!!
;-) :lol:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #113 on: December 24, 2004, 03:55:54 PM »
Reply with quote
Good wrk allz..............!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #114 on: December 24, 2004, 07:42:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Quote from: "sharmaarunkumar"
Shukriya Talat ji!!! N Very Nice written!

Roz Tujhko ek naye Roop mein dekh kar chakraa jaata hai,
Magar Phir Tujhko Pahachaan jaataa hai wohi shakhs!
Tere Roop pe Nisaar deta hai Yoon hi apni Khudi ko,
Kabhi teri Jawaani ke paimaane chhalkataa hai wohi shakhs!
Tere Dil ka Darwazaa Khatkhatata hai Jehan mein Ghus kar,
Kabhi door jaa kar Tujhe Apne paas Bulata hai wohi shakhs!

Thanks Arunji!!! Wowow Bohot achche!! :D

Hai roop wahi aur rang wahi, andaz badal gaye
Dekhne waale dekho phir bhi pehchan gaye
Ek teer-e-nazar ne hosh udaaten hain
hume ab lagta hai wo kaam se gaye!!
;-) :lol:

Waah ji Wah Talat ji!!!

Jo tera yeh Roop Rang aaj Nikhar ke aayaa hai!
Teri Jalti Hui Jawaani ne Humen aur Tapayaa hai!

Na apna Humein Hosh na Duniya ki khabar hai!
Yeh Nahin Kuchh aur Jaanam, tere Husn ki Mayaa Hai!

Rasm-e-Ulfat Nibhani thi Hamesha ki tarah isko,
Jal jaane ko yeh parwaana paas Shama ke aayaa hai!

Aagosh mein le ke shama ko Mita lega Khud hi ko,
Koi Shikwa na karega ki use low ne jalaayaa hai!

Koi Nayi Baat nahin yeh is be raham Zamaane mein,
Duniya ne Humesha Yahan Mohabbat ko Mitaya hai!

Ho gaye jo fanaa Yahan anpni Mohabbat ki Khaatir,
Duniya ne Naam unka Sunahare harfon mein sajaaya hai!
Logged
Talat
Guest
«Reply #115 on: December 25, 2004, 02:31:13 PM »

Wah!! Kya baat hai Arunji!!!! Thanks!!!  :D

Main tumhe masoom likhoon..lekin nahin!!!
ki masoom badal jate hain!!!
aur main janti hoon tum aise nahin ho!!!
sochti hoon chand likhoon..lekin chand daghdar hai!!
aur tumhara sarapa kirdar bedagh hai!!
phool likhna bhi chahoon to na likh paoongi!
ki murjhati hui kaliyaan
aur shadab phoolon ki bikhri hui pattiyaan maine dekhi hain!!!
sochti hoon ki tumhe dekh kar sirf itna likhoon....
tum bohat ache ho ya mujh ko ache lagte ho!!!!!
 
(NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #116 on: December 25, 2004, 03:45:55 PM »

excellent work........talat................arun bhai...................

Mere husn o Jamaal may tere chehre ka noor hai
Meri har ada may be misaal tera hi zahoor hai

Yeh ishqh ka safar hai manzil ki talaash may
Gar Aghaaz tu hi tu, to anjaam bhi zaroor hai

Ab agahi kay aur na jane kitne dar khulenge
Khud say juda ho kar maine paaya shaoor hai

Teri yaad may bade gham kay maze hain loote
Mohabbat ka yeh tohfa sab say mashoor hai

Ek tere tabassum may pinhaan hai khudaai
Khadmon may jhuk raha dil yeh huzoor hai

Rishte saare ab lagte hain kyoon paraaaye
Raha koi nahi shanasa ye kis ka khusoor hai

Yeh veeraniyon may kaun kaliyaan khila gaya hai
Baharon ney un say mera pata poocha zaroor hai

Tujh saa na koi dekha , tujh saa na koi paaya
Chaand ab paas hai tere , zamane say door hai/....................
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #117 on: December 25, 2004, 06:07:25 PM »

Beautiful Expressions!!!!wonderfully written!!! Just Superb!!!Talat ji!!! :thumb:
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #118 on: December 25, 2004, 06:08:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Talat"
Quote from: "sharmaarunkumar"

Waah ji Wah Talat ji!!!

Jo tera yeh Roop Rang aaj Nikhar ke aayaa hai!
Teri Jalti Hui Jawaani ne Humen aur Tapayaa hai!

Na apna Humein Hosh na Duniya ki khabar hai!
Yeh Nahin Kuchh aur Jaanam, tere Husn ki Mayaa Hai!

Rasm-e-Ulfat Nibhani thi Hamesha ki tarah isko,
Jal jaane ko yeh parwaana paas Shama ke aayaa hai!

Aagosh mein le ke shama ko Mita lega Khud hi ko,
Koi Shikwa na karega ki use low ne jalaayaa hai!

Koi Nayi Baat nahin yeh is be raham Zamaane mein,
Duniya ne Humesha Yahan Mohabbat ko Mitaya hai!

Ho gaye jo fanaa Yahan anpni Mohabbat ki Khaatir,
Duniya ne Naam unka Sunahare harfon mein sajaaya hai!

Wah!! Kya baat hai Arunji!!!! Thanks!!!  :D

Main tumhe masoom likhoon..lekin nahin!!!
ki masoom badal jate hain!!!
aur main janti hoon tum aise nahin ho!!!
sochti hoon chand likhoon..lekin chand daghdar hai!!
aur tumhara sarapa kirdar bedagh hai!!
phool likhna bhi chahoon to na likh paoongi!
ki murjhati hui kaliyaan
aur shadab phoolon ki bikhri hui pattiyaan maine dekhi hain!!!
sochti hoon ki tumhe dekh kar sirf itna likhoon....
tum bohat ache ho ya mujh ko ache lagte ho!!!!!
 
(NM)

excellent work........talat................arun bhai...................

Mere husn o Jamaal may tere chehre ka noor hai
Meri har ada may be misaal tera hi zahoor hai

Yeh ishqh ka safar hai manzil ki talaash may
Gar Aghaaz tu hi tu, to anjaam bhi zaroor hai

Ab agahi kay aur na jane kitne dar khulenge
Khud say juda ho kar maine paaya shaoor hai

Teri yaad may bade gham kay maze hain loote
Mohabbat ka yeh tohfa sab say mashoor hai

Ek tere tabassum may pinhaan hai khudaai
Khadmon may jhuk raha dil yeh huzoor hai

Rishte saare ab lagte hain kyoon paraaaye
Raha koi nahi shanasa ye kis ka khusoor hai

Yeh veeraniyon may kaun kaliyaan khila gaya hai
Baharon ney un say mera pata poocha zaroor hai

Tujh saa na koi dekha , tujh saa na koi paaya
Chaand ab paas hai tere , zamane say door hai/....................

Shukriya N Excellent written!!!! Zabardast!!!! Waheed Bhai!!! Waaah!!! :lol:
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #119 on: December 26, 2004, 01:11:38 AM »
Reply with quote
Teri Doli Uthi Meraa Janazaa Uthha Tu Bhi KandHoon Par Thi Mien Bhi Kandhoon Par Tha Charchy Teray Bhi Thae Charchye Mere Bhi Thy Roye Tere Bhi Thye Aur Roye Meray Bhi Thay Phool Tujhe Per Bhi Bersay Phool Mujhe Per Bhi Bersay Chader Tujhe Pey Bhi Thi Aur Chader Mujhe Pey Bhi Thi FARQ Sirf itna Thaa Tu Apni Duniya Mein Jaa Rahi Thi Aur Mein Teri Duniyaa Sey Jaa raha tha
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 20
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 02:04:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer