Yaad aata hai

by thycreator on June 08, 2007, 03:36:40 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4288 times)
thycreator
Guest
Reply with quote
Tera har bat par wo muskurana yaad aata hai,
Nigahein pher kar dil ko jalana yaad aata hai.

Jubaan se baat jo keh na sake humdono ab talak,
Nazaron se nazar ko wo sunana yaad aata hai.

Jis anjaam ko pane ki tammanna dono ne ki hai,
Muhabbat ka wo haseen fasana yaad aata hai.

Larazte hothon ki wo kampkapana mere chune se,
Dilon ke taron ka wo jhanjhanana yaad aata hai.

Kabhi ladna jhagadna phir ek duje mein kho jana,
Teri chahat bhara  rangeen zamana yaad aata hai.

Iqrar tujhko bhi hai muhabbat ka, mujhe bhi hai,
Magar phir bhi jubaan se na sunana yaad aata hai.

Chandani raaton mein aagosh mein bharne ki wo lalak,
Man hi man do jismon ka pighalna yaad aata hai.

Aag jitni idhar hai utni tadap hai tujko milne ki,
Phir bhi thandi aah bharte jana yaad aata hai.

Milan ke uss ghadi ki chah tujhmein bhi hai mujhmein bhi,
Magar har bar dil ko samjhana yaad aata hai.

Kyu rahe ab ye doori jab rooh ek ho chuke,
Yuhi kavitaon mein dil behlana yaad aata hai….
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2007, 03:43:59 PM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai,... too good... Full of Emotions and Love!!
bahoot hi dil se likhi hai apne yah kavita... good jon Creator ji!!
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2007, 06:21:06 PM »
Reply with quote
bahut acche thycreator jiiiii

bahut accha likha hai aapne
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2007, 06:30:01 PM »
Reply with quote
Thanks a lot pooja aur ankur ji.....khushi hogi agar aap dono bhi kuch likhen.....

Barasti raaton mein tera yuhi mujhse lipat jana,
Bijali ki chamak ka wo nazrana yaad aata hai.

Mere haathon ko thame tera bacchon sa machal jana,
Behti hawa mein wo aanchal udana yaad aata hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2007, 06:55:01 PM »
Reply with quote
Khoon-e-dil chahiye ke khoon-e-jigar de du,
Sab kuch hai apka nahi kuch baat darne ki,
Ye jan bhi kurbaan hai gar jaan chahiye,
Ek bar kariye khwahish aap mere marne ki,
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2007, 07:34:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Tera har bat par wo muskurana yaad aata hai,
Nigahein pher kar dil ko jalana yaad aata hai.

Jubaan se baat jo keh na sake humdono ab talak,
Nazaron se nazar ko wo sunana yaad aata hai.

Jis anjaam ko pane ki tammanna dono ne ki hai,
Muhabbat ka wo haseen fasana yaad aata hai.

Larazte hothon ki wo kampkapana mere chune se,
Dilon ke taron ka wo jhanjhanana yaad aata hai.

Kabhi ladna jhagadna phir ek duje mein kho jana,
Teri chahat bhara  rangeen zamana yaad aata hai.

Iqrar tujhko bhi hai muhabbat ka, mujhe bhi hai,
Magar phir bhi jubaan se na sunana yaad aata hai.

Chandani raaton mein aagosh mein bharne ki wo lalak,
Man hi man do jismon ka pighalna yaad aata hai.

Aag jitni idhar hai utni tadap hai tujko milne ki,
Phir bhi thandi aah bharte jana yaad aata hai.

Milan ke uss ghadi ki chah tujhmein bhi hai mujhmein bhi,
Magar har bar dil ko samjhana yaad aata hai.

Kyu rahe ab ye doori jab rooh ek ho chuke,
Yuhi kavitaon mein dil behlana yaad aata hai….


Wah Wah Kya Baat Hai Amit bhai.. Behad Khubsoorat Aur mohabbat Bhara
Kalaam Pesh Kiya hai aapne.. Ek ek Lafz Mohabbat Bikher raha Hai.. Maza aa gaya Padh kar.. !!! Usual Smile Usual Smile

Bahut Bahut khoooob.. Daad Kubool kare is dost ki..!! Usual Smile Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2007, 09:29:29 AM »
Reply with quote
Amit... Another Dhamakedaar Entry by you.. Usual Smile
Really Nice... =D>

Ek chhoti si koshish humari taraf se...


POETRY DELETED BY SHIKHA.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2007, 09:34:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Amit... Another Dhamakedaar Entry by you.. Usual Smile
Really Nice... =D>

Ek chhoti si koshish humari taraf se...


POETRY DELETED BY SHIKHA..


Thanks vicky....n this is shikha ji at her best........this is awesome lady...

Mere ek dost ne ki thi kabhi tareef aap ki,
Ab jana hai ki aap kaabil-e-tareef ho huzur,
Suni batein yahan aksar jhoothi dekhi hai maine,
Ab ke bad har bat ko hum parkehnge jarur....Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: June 10, 2007, 09:40:15 AM »
Reply with quote
Usual Smile Shukriya Amit..


POST EDITED BY SHIKHA... Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2007, 09:48:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Usual Smile Shukriya Amit..


Kaabil nahin nacheez yeh,
Sharm-o-saar hai ab talak,
Yun taareef kariya na aap,
Ki jhukk jaaye humari palak... Usual Smile


Ur welcome dear....lekin jhooth toh nahi kaha humne....

Bewajah hum tareef kabhi kissi ki karte nahi,
Karte hai toh uss sach se hum mukarte nahi,
Kuch toh bat hai tere andaaz-e-bayan mein dost,
Warna hum wo musafir hain jo kahin theherte nahi...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2007, 11:08:07 AM »
Reply with quote
POETRY DELETED BY SHIKHA... :oops:
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: June 10, 2007, 11:08:44 AM »
Reply with quote
Back to the topic Now.... :: :D


POETRY DELETED BY SHIKHA...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: June 10, 2007, 11:45:27 AM »
Reply with quote
Wah Shikha ji.....bahut acche...

Bat yaadon ki chali ho toh dil machal jata hai,
Uski masoom nigahon ka teer chal jata hai,
Kya batayein haal-e-dil ka uski ulfat mein,
Uske khayal se fizan ka mausam badal jata hai.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #13 on: June 10, 2007, 04:44:16 PM »
Reply with quote
Shikha, Amit

Behtareen !

Bahut he acha laga aap dono ka likha padh kar !

Amit --> Shikha is definitely a very good poetess :D

Amit aap itni din kahan gayab rahe Puzzled !

Yoindia par phir se raunak aa gayi =D>
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: June 10, 2007, 06:19:34 PM »
Reply with quote
Thanks a lot once again Raj......jindagi ki ulajhano mein fans gaya tha.....ab waqt mila hai khud ke liye toh wapis chala aaya..........

Mere mehboob pooche hai dekho haal iss dil ka,
Kaise batao main usko kya hai sawal iss dil ka,
Tujhe aagosh mein bharne ko ab tak tadapta hai ye,
Khayal-o-jehen mein tu hai ye kamal iss dil ka....Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:39:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer