yaadein jawani aur mohabat kii ~~ SAAHIL

by salil2002 on August 04, 2009, 02:18:43 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3084 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
bahut dino baad ishq main likh raha hoon ek kahaani jo shayad aane wale kal main hum sabki ho...kyunki mero najar main pyaar aur yaadein kabhi nahin mitti..yeh ek boode insaan kii apne jawani k dino kii yaadein hain

ooske hothon par qatl kar aaya main jawani apni
labon k nishaan se aaj bhi ooski mehak aati hai
jab dil kehta hai toh gungunaata hoon woh nazm apni
jiske har lafz ko woh madhoshi se sajati hai

woh meri mohabbat ka ek aisa aadhoora nagma hai
jise jab bhi gaata hoon toh ek rawani si chha jaati hai
aur jab dhalti hai shaam aur shab deti hai dastak toh
ummra k is daur main bhi mujhko apni jawani yaad aa jaati hai

woh aana uska baahon main meri ,woh mere gaalon ko choomna
woh pila dena maye aankhon ka,woh baahon mein le le ke jhoomna
ummra ke is padaav par jab botal haath aati hai
toh oon nasheeli raaton kii madhoshi,mujhe taaza kar jaati hai

na jaane kyun aaj yeh baat har shaam yaad aa jaati hai
dil ko kucch khush ,kucch tanha,kucch mayoos kar jaati hai
vaada tha oos dilnasheen se kii taa ummra saath rahenge
lekin yeh zindgi chand lamhon main tanha kar jaati hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Husn-o-jawani by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aai jawani ... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
.'.'.'.'.Kaisi hai yeh jawani.'.'.'.'. by Saba_Saba in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
jawani ko.... by thelostworld in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BE- RAHAM JAWANI by poem143s in Shayri for Khumar -e- Ishq
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: August 04, 2009, 02:30:59 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah.. Kya baat Hai Salil Bhai.. Behad Umda soch ke Sath Likha Hai.. Ek Insaan ke Guzre Kal ki Yaadon Ko.. uske Jazzbaaton ko Mehasoos Kar.. Bahut Hi Lajawab Alfaaz Likhe hain aaapne.. Applause Applause

Lafz kam Padh gaye hain aapki is Rachna Ki Taareef Me.. Bahut Bahut Khoooooooob..!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2009, 02:32:31 PM »
Reply with quote

ooske hothon par qatl kar aaya main jawani apni
labon k nishaan se aaj bhi ooski mehak aati hai
jab dil kehta hai toh gungunaata hoon woh nazm apni
jiske har lafz ko woh madhoshi se sajati hai

woh meri mohabbat ka ek aisa aadhoora nagma hai
jise jab bhi gaata hoon toh ek rawani si chha jaati hai
aur jab dhalti hai shaam aur shab deti hai dastak toh
ummra k is daur main bhi mujhko apni jawani yaad aa jaati hai

woh aana uska baahon main meri ,woh mere gaalon ko choomna
woh pila dena maye aankhon ka,woh baahon mein le le ke jhoomna
ummra ke is padaav par jab botal haath aati hai
toh oon nasheeli raaton kii madhoshi,mujhe taaza kar jaati hai

na jaane kyun aaj yeh baat har shaam yaad aa jaati hai
dil ko kucch khush ,kucch tanha,kucch mayoos kar jaati hai
vaada tha oos dilnasheen se kii taa ummra saath rahenge
lekin yeh zindgi chand lamhon main tanha kar jaati hai
Saahil! Its really very lovely! Bahut achchhey!
                               - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: August 04, 2009, 02:44:28 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Dear Saahil, bahut bahut accha likha hai. Full of emotions....Wonderful  Thumbs UP
Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: August 04, 2009, 05:17:07 PM »
Reply with quote
Saahil bro bahut khoooob tareef karne lafz nahi mil rahe...bahut hi acha likha hai...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: August 04, 2009, 10:54:24 PM »
Reply with quote
Wah wah Sahil ji,bahut khoob,mindblowing creation,beautiful lines by Kaash ji,excellent icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: August 06, 2009, 07:51:53 AM »
Reply with quote
kya baat hai    saahil ji......BAHUT BADIYA LIKHA HAI....

MERE LIYE WOH AAJ BHI, PAHELE JAISI GUDDI HAI,
HAM USKE LIYE AAJ BHI ,PAHELE JAISA GUDDA HAI.......

KUCH ROZ PAHELE KI BAAT HAI...
HAM BUDDHA-BUDDHI BAAG MAIN GOOM RAHE THEY,
USKA HAATH HAMARE HATH MEIN THA.
HAMARE PEECHE KUCH MAWAALI AA RAHE THEY,
HAMARI MAZAAK KUCH ISTARHA UDDA RAHEY THEY.

MAWAALI...
          DEKH BUDDHI KA TOH HAAL BEHAAL HAI,
          FIKHA PADA,SUKHA USKA GAAL HAI.
          AUR BUDDHA ISPE AAJ BHI MARTA HAI,
          KYA RAKHA HAI,JO IS SEY PYAAR KARTA HAI.

BUDDHA....
           TERI NAZAR MAIN TOH YEH FIKHA PADA,SUKHA GAAL HAI,
            MERE LIYE TOH, YEH AAJ BHI WAHI SWAAD WALLI- MAKHNI DAAL HAI.

           {TU KYA SAMJHE GAA,MAN KA PYAAR KYA HOTA HAI,
           CHAMDHI PE MARNE WAALEY,TU KYA JAANE YAAR KYA HATA HAI}.

MAWAALI....CHEHERA DEKH BUDDHI KA JAISE MARI HUI JAAN HAI,
           DEKHTI AISI HAI JAISE BHUTNEE HAI.

BUDDHA.....MERE LIYE ISKA CHEHERA,KABHI NA MARNE WALLA CHAAND HAI,
           AAJ BHI PYAAR ISKA, JAISE- KHATI-MITHI THIKHI CHATNI HAI.

         {LANGOOR KYA JAANE ANGOOR......MAWAALI}.


MAWAALI....DEKH BUDDHA KAISE DIKHTA,JAISE KABAAD HAI,
           NAJAANE BUDDHI KAISE KARTI, US SEY PYAAR HAI.

BUDDHI......YEH TOH MERE LIYE, SADA BAHAAR HAI,
            MERI ROOH HAI,MERI JAAN HAI,NA KHATAM HONE WALLA MERA PYAAR HAI.

             {LAGTA HAI TU APNE MAA-BAAP KO KABAAD SAMAJHTA HAI}.


MAWAALI......JARA BUDDHE KO TOH DEKHO,
             PAIR KABER MAIN LATKEY HUE HAI,
             AUR BUDDHI KA SAATH BHI NA CHOD TA HAIN.

BUDDHI.......EK KADAM KHUDA KE SAATH,JANNAT BHI JAANA JARURI HAI,
             MARTE DAM TAK ,EK KADAM, SAATHI KA SAATH NA CHODNA BHI JARURI HAI.

              {NA SAMAJH..YEHI TOH AAKHRI WAQAT TAK CHALNE WALLA SACHHA PYAAR,JO AAKHRI DINO MEIN, KHUDA BHI APNI AANKHON SE DEKHTA HAI}.
             
           




Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: August 06, 2009, 08:00:41 AM »
Reply with quote
Wah Wah Wah.. Kya baat Hai Salil Bhai.. Behad Umda soch ke Sath Likha Hai.. Ek Insaan ke Guzre Kal ki Yaadon Ko.. uske Jazzbaaton ko Mehasoos Kar.. Bahut Hi Lajawab Alfaaz Likhe hain aaapne.. Applause Applause

Lafz kam Padh gaye hain aapki is Rachna Ki Taareef Me.. Bahut Bahut Khoooooooob..!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Saahil! Its really very lovely! Bahut achchhey!
                               - abd bundeli

Applause Applause Applause
Dear Saahil, bahut bahut accha likha hai. Full of emotions....Wonderful  Thumbs UP

Saahil bro bahut khoooob tareef karne lafz nahi mil rahe...bahut hi acha likha hai...
Wah wah Sahil ji,bahut khoob,mindblowing creation,beautiful lines by Kaash ji,excellent icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut bahut shukriya mann bhai, abd sir, roja dear ,punam sis and laila dear
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2009, 08:01:44 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
bahot bahot khoob behatreen likha hai Saahil dear

ye ishq vo shay hai jo zehen me itni nazukkhyali bharti hai
gair ho dost ho raqeeb ho har taraf rafaqat ki aandhi chalti hai
aur husn yun mohabbat ke jalwe gungunata hai
jaise dua poori hone ke lie khud betaab rahti hai


bahut achche yash bhai bada pyaara reply hai dost
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2009, 08:02:54 AM »
Reply with quote
kya baat hai    saahil ji......BAHUT BADIYA LIKHA HAI....

MERE LIYE WOH AAJ BHI, PAHELE JAISI GUDDI HAI,
HAM USKE LIYE AAJ BHI ,PAHELE JAISA GUDDA HAI.......

KUCH ROZ PAHELE KI BAAT HAI...
HAM BUDDHA-BUDDHI BAAG MAIN GOOM RAHE THEY,
USKA HAATH HAMARE HATH MEIN THA.
HAMARE PEECHE KUCH MAWAALI AA RAHE THEY,
HAMARI MAZAAK KUCH ISTARHA UDDA RAHEY THEY.

MAWAALI...
          DEKH BUDDHI KA TOH HAAL BEHAAL HAI,
          FIKHA PADA,SUKHA USKA GAAL HAI.
          AUR BUDDHA ISPE AAJ BHI MARTA HAI,
          KYA RAKHA HAI,JO IS SEY PYAAR KARTA HAI.

BUDDHA....
           TERI NAZAR MAIN TOH YEH FIKHA PADA,SUKHA GAAL HAI,
            MERE LIYE TOH, YEH AAJ BHI WAHI SWAAD WALLI- MAKHNI DAAL HAI.

           {TU KYA SAMJHE GAA,MAN KA PYAAR KYA HOTA HAI,
           CHAMDHI PE MARNE WAALEY,TU KYA JAANE YAAR KYA HATA HAI}.

MAWAALI....CHEHERA DEKH BUDDHI KA JAISE MARI HUI JAAN HAI,
           DEKHTI AISI HAI JAISE BHUTNEE HAI.

BUDDHA.....MERE LIYE ISKA CHEHERA,KABHI NA MARNE WALLA CHAAND HAI,
           AAJ BHI PYAAR ISKA, JAISE- KHATI-MITHI THIKHI CHATNI HAI.

         {LANGOOR KYA JAANE ANGOOR......MAWAALI}.


MAWAALI....DEKH BUDDHA KAISE DIKHTA,JAISE KABAAD HAI,
           NAJAANE BUDDHI KAISE KARTI, US SEY PYAAR HAI.

BUDDHI......YEH TOH MERE LIYE, SADA BAHAAR HAI,
            MERI ROOH HAI,MERI JAAN HAI,NA KHATAM HONE WALLA MERA PYAAR HAI.

             {LAGTA HAI TU APNE MAA-BAAP KO KABAAD SAMAJHTA HAI}.


MAWAALI......JARA BUDDHE KO TOH DEKHO,
             PAIR KABER MAIN LATKEY HUE HAI,
             AUR BUDDHI KA SAATH BHI NA CHOD TA HAIN.

BUDDHI.......EK KADAM KHUDA KE SAATH,JANNAT BHI JAANA JARURI HAI,
             MARTE DAM TAK ,EK KADAM, SAATHI KA SAATH NA CHODNA BHI JARURI HAI.

              {NA SAMAJH..YEHI TOH AAKHRI WAQAT TAK CHALNE WALLA SACHHA PYAAR,JO AAKHRI DINO MEIN, KHUDA BHI APNI AANKHON SE DEKHTA HAI}.
             
          





cara dear behad khoobsurat reply diya hai aapne sach main kitna pyaar hai aapki is chhoti si kahaani main bata paana mushkil hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: August 06, 2009, 08:42:03 AM »
Reply with quote
Wah! Saahil Ji bahut achchhi peshkash hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: August 07, 2009, 04:59:14 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya rajesh bhai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:25:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer