Yaadon pe chal ke Aa……”Sahal”.

by sahal on October 10, 2013, 06:11:15 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2288 times)
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
Reply with quote

        
         Yaadon pe chal ke Aa……”Sahal”.

Raaton mein tu meri yaadon pe chal ke Aa.
Tootey na khuawaab koi aise sambhal ke Aa.

Armaan phir koi jage jeene ko sang tere,
Baahon mein tu mere aise machal ke aa.

Raahon mein hai teri dushwariyaan kitni,
Milne ko mujhse phir tu rastey badal ke Aa.

boo E gesu ki tere mehek baaton mein ho mere,
Saanon mein tu meri khushboo mein dhal ke Aa.

Hone de kuch khataa aye husn-E-beparwaah,
Sharm-O-haya ke tu pardoN se nikal ke Aa.

Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Sahal”,
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chal aa---------------------->kb by killbill in Shayri-E-Dard
tum to chal by saahill in Ghazals
Ae dil ,sambhal ke chal….sahal by sahal in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chal Ghar Laut Chal Pardesia Maa Roti Hogi by sunildehgawani in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Qurban hain 'sahal’ tujh per………..Sahal. by sahal in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
laaiba
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2013, 06:23:22 PM »
Reply with quote

        
         Yaadon pe chal ke Aa……”Sahal”.
khoob sahal ji badal pe nahin yaadon pe chalna bhi kia khoob rasta banaya hai Usual Smile

Raaton mein tu meri yaadon pe chal ke Aa.
Tootey na khuawaab koi aise sambhal ke Aa.

waah kia baat hai ,...daad ,...

Armaan phir koi jage jeene ko sang tere,
Baahon mein tu mere aise machal ke aa.

bohat khoob Usual Smile

Raahon mein hai teri dushwariyaan kitni,
Milne ko mujhse phir tu rastey badal ke Aa.

not bad achi raahein dikha rahe ho apni gf ko aap Usual Smile

boo E gesu ki tere mehek baaton ho mein mere,
Saanon mein tu meri khushboo mein dhal ke Aa.

waah waah kia kehne daad,...

Hone de kuch khataa aye husn-E-beparwaah,
Sharm-O-haya ke tu pardoN se nikal ke Aa.

khoob

Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Sahal”,
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.

aey lo sahal jee ab gaye kaam se Usual Smile




bohat achee ghazal hai sahal jee ,..........bohat c daad aik rau ke sath,....
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 10, 2013, 06:30:37 PM »
Reply with quote
bohat achee ghazal hai sahal jee ,..........bohat c daad aik rau ke sath,....



BOHUT BOHUT SHUKRIYA Laaiba ji,

waqt nikaal ker padhne ka shukriya ,

jee raaste apne khud banane chahiye
seedhe raaston se to sabhi chal ker aate hain,,

kuch bhatak jate hai , to behter hain ke pehle hi se
bhatakte raaston se aayein,  usse gumrahi ka khauf kam
hojayega,,,

waise meri koi gf nahi hai ab tak ...
dil ka kamra khali hai..

hahaha Laughing hard Laughing hard
array apne to mujhe kaam se hi bhej diya ..


aur aur finally RAU dene ke liye alag se shukriya

Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2013, 06:33:12 PM »
Reply with quote
 Thumbs UP
bohat achee baat hai sahal jee study mein dil lagayie
yehee kaam bohat zarooree hai
khush rahen acha achaa likhte rahen Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2013, 06:37:07 PM »
Reply with quote

Sahal Sahaab Aadaab...!


Wallaah janab ... Kia kahne aapke bahut khoob badi hi khoobsurat aur umdaa kalaam huyi hai...

Har sher bakamaal umdaa aur pur asar raha janab...
Is khoobsurat aur umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: October 10, 2013, 06:38:15 PM »
Reply with quote
Thumbs UP
bohat achee baat hai sahal jee study mein dil lagayie
yehee kaam bohat zarooree hai
khush rahen acha achaa likhte rahen Usual Smile

jee laaiba ji main apni studies bhi complete kar chuka hun,
main 3D arch and interior designer hoon, middle east mein hoon.
jee haan waise to seekhne ka scope hamesha rakhta hoon.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #6 on: October 10, 2013, 06:39:20 PM »
Reply with quote
bahot khooooob bhai...
Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Sahal”,
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.

pighla ke bulate aap??? main to bulake pighlaton Laughing hard Laughing hard Laughing hard

bhai bahot achi ghazal rahi - dili daaaaad  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #7 on: October 10, 2013, 06:41:33 PM »
Reply with quote

jee laaiba ji main apni studies bhi complete kar chuka hun,
main 3D arch and interior designer hoon, middle east mein hoon.
jee haan waise to seekhne ka scope hamesha rakhta hoon.

hmmm bohat khushee kee baat hai
great going
keep smiling Usual Smile
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 10, 2013, 06:42:37 PM »
Reply with quote
bahot khooooob bhai...
Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Sahal”,
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.

pighla ke bulate aap??? main to bulake pighlaton Laughing hard Laughing hard Laughing hard

bhai bahot achi ghazal rahi - dili daaaaad  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Laughing hard Laughing hard Laughing hard
HAHAHAA IQTEDAR BHAI BOHUT SHUKRIYA
APKE JAWAAB PE HASI AA RAHI HAI ,,

APNA APNA ANDAAZ HAI BHAI

WAISE WAISE IS BAAT MEIN HIKMAT YE HAI KE
MOMM PHIGHALNE KE BAAD PHIR JAM KAATI HAI ,
PHIR JAISE CHAHE USE AKAAR DE SAKTE HAI ,,

BOHUT BOHUT SHUKRIYA
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #9 on: October 10, 2013, 06:43:38 PM »
Reply with quote
hmmm bohat khushee kee baat hai
great going
keep smiling Usual Smile
JEE BOHUT SHUKRIYA


WAISE PUCCH SAKTA HUN KE AAP KYA KARTE HAIN
SHYERI KE ALAWA ??
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 10, 2013, 06:47:29 PM »
Reply with quote

Sahal Sahaab Aadaab...!


Wallaah janab ... Kia kahne aapke bahut khoob badi hi khoobsurat aur umdaa kalaam huyi hai...

Har sher bakamaal umdaa aur pur asar raha janab...
Is khoobsurat aur umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...


PARWAAZ SAHAB ADAAB .
 
APKE COMMENT KE BAAD MUJHE KUCH JAWAB DENE KE LIYE
ALFAAZ HI NAHI MILTE SHUKRIYA KEHNE KE LIYE IS ANDAAZ SE AAP
TAREEF KARTE HAIN .. BOHUT BOHUT SHUKRIYA JANAB

AAPKI DUAON KA TAALIB RAHUNGA
.


Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #11 on: October 10, 2013, 06:54:15 PM »
Reply with quote

         
         Yaadon pe chal ke Aa……”Sahal”.

Raaton mein tu meri yaadon pe chal ke Aa.
Tootey na khuawaab koi aise sambhal ke Aa.

Armaan phir koi jage jeene ko sang tere,
Baahon mein tu mere aise machal ke aa.

Raahon mein hai teri dushwariyaan kitni,
Milne ko mujhse phir tu rastey badal ke Aa.

boo E gesu ki tere mehek baaton ho mein mere,
Saanon mein tu meri khushboo mein dhal ke Aa.

Hone de kuch khataa aye husn-E-beparwaah,
Sharm-O-haya ke tu pardoN se nikal ke Aa.

Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Sahal”,
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.



with rau,nicesir
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #12 on: October 10, 2013, 06:58:56 PM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard
HAHAHAA IQTEDAR BHAI BOHUT SHUKRIYA
APKE JAWAAB PE HASI AA RAHI HAI ,,

APNA APNA ANDAAZ HAI BHAI

WAISE WAISE IS BAAT MEIN HIKMAT YE HAI KE
MOMM PHIGHALNE KE BAAD PHIR JAM KAATI HAI ,
PHIR JAISE CHAHE USE AKAAR DE SAKTE HAI ,,

BOHUT BOHUT SHUKRIYA

haan bhai meri baton pe hansi to aayegi hi, kyonke deewanon ki baten hi hansne ke layeqh hoti hain  Shocked Even More waese meri maa mujhe ulthi khopdi ka kaheti hain ke har baat ka ultha matlab nikalta hoon...
ab dekho aapne kaha (MOMM PHIGHALNE KE BAAD PHIR JAM JAATI HAI ,
PHIR JAISE CHAHE USE AKAAR DE SAKTE HAI ,,) par main yahan bhi ultha hi hoon, ke unko apne aakar may nahi balke khud ko unke aakar may dhalna chahta hoon  Shocked Even More

khush rahiye aur isi tarha se achi achi ghazlon sunate rahiye ke hamare chehre khile rahen Usual Smile
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: October 10, 2013, 07:00:52 PM »
Reply with quote
waah waah beautiful
Logged
sidra04
Guest
«Reply #14 on: October 10, 2013, 07:04:53 PM »
Reply with quote
bahot acchaa likha hai aapne sahal ji. aapki poetry hamebahot pasand aayee... likhte rahiyega

sidra
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 05:21:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer