Yaar sey dil lagaa key deikh liyaa!

by abdbundeli on July 27, 2008, 07:46:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1951 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Dosto!
Aaj akhbaar kuchh deir sey aayaa, aur dahshatgardoun ki eik aur beydard khoonreiz  kaarguzaaree ki tasweereyn 'Dainik Bhaskar' key pahley panney par moujood mileen, to dil-o-dimaag dobaaraa dard-o-afsos sey tilmilaa uthey! Gayee raat usee khoonreizee ka dardnaak manzar tv par bhi deykhaa thaa! Yah sab kyaa ho rahaa hai! Kyaa beygunaahoun kaa khoon bahaanaa insaaniyat hai? Mein naheen samajhtaa ki is duniyaa mein, ya, kisee baaharee duniyaa mein bhi aisaa koyee majhab yaa majhab parast hogaa jo is insaanee khoonrezee ki mazammat naheen karegaa? Khair, zamaaney sey is duniyaa mein hazaaroun Yazeed huye hain; aur ham yah bhi jaantey hain, ki, farishtey bhi shaitaan ban jaatey hain! Isliye, ab, aagey ki baat kahoongaa!
Pooraa akhbaar padhney key baad, uskey itwaaree 'rasrang' par nazar daalee, to doosrey panney par 'aapkee mahfil' mein, Daag Deyhalbee sahib (Kal hee to, janaab Muhammed sa'b sey unkee charchaa ki thee) ki eik gazal par nazar parhee, ki, tabiyat ko kuchh raahat milee! Teen ashaar aap bhi mulaahizaa farmaayen:

 "Gair ko munh lagaa key deikh liyaa!
  Jhooth-sach aazmaa key deikh liyaa!

  Unkey ghar,'daag', jaa key deikh liyaa!
  Dil key kahney mein aa key deikh liyaa!

  Jaaou bhi, kyaa karogey mehar-o-wafaa?
  Baarhaa aazmaa key deikh liyaa!"

Daag sahib ki taksaalee jubaan, aur usmein samaayee bey-intihaa moosiiqee ko gungunaatey-gungunaatey mujhsey, isee akhbaar key pahley panney par, eik aur gazal likhee gayee hai, jo ab aapkee haaziree mein peish hai:


 Yaar ko ghar bulaa key deikh liyaa!
 Yaar sey dil lagaa key deikh liyaa!

 Eik din, tab bhi muskuraayaa thaa;
 Aaj bhi, muskuraa key deikh liyaa!

 Chashm hain raah-e-yaar par, yaa Rab!
 Un ko fir-fir manaa key deikh liyaa!!

 Na gayee nishf shab ki taareekee:
 Khoob shamaa jalaa key deikh liyaa!

 Yeh sahee hai, ki, beyqaraaree hai:
 Marhamoun sey sulaa key deikh liyaa!

 Un kee aankhoun mein jubaan thee mouzoon:
 Baarhaa un ko gaa key deikh liyaa!

 Un ko aanaa na thaa! naheen aayey!
 Ham ney waa'daa nibhaa key deikh liyaa!

 Azal sey un key saath hoon, yoon to;
 Door sey, paas aa key deikh liyaa!

 Roo-b-roo jab bhi huye ham un sey:
 Farz thaa; sir jhukaa key deikh liyaa!

 Ab,'abd', tujh sey kyaa kahoon, naaseh!
 Un kee pee key, pilaa key deikh liyaa!!

                      - abd bundeli


  



 
  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere nasiib ne jab mujh se intaqaam liyaa by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Butoun ko aazmaa key deikh liyaa! by abdbundeli in Ghazals
Diyaa priya ney, paraakaashthaa torh, jee bhar liyaa mainey! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Har ta'alluq nibhaa liyaa humne..............Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Aaj unkaa naam na liyaa jaaye by livingbytheday in Ghazals « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 27, 2008, 02:08:02 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
sab padha aur jo aapne likha sab se mai purntaya sahamat hun....
aur "daag" sahab ki khubsurat ghazal se rubaru karane ka shukriya...

aur jo bhi aapne likha hai wo bhi bahoot behtreen ban ppada hai..... Applause Applause
wah abd ji sahab aap likhte rahen aur hum padhte rahen Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 27, 2008, 02:28:13 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob Abd ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: July 27, 2008, 02:46:05 PM »
Reply with quote
bekarar ji,
Shukriyaa bekarar ji, qaraar mujhko naheen!
Beygunaahoun ka khoon bahtaa hai: jee jaltaa hai!!
Kyaa kahoon; kis sey kahoon; koun suneygaa meyree?
Ab to, har roz, kisee dil mein kouf paltaa hai!
Deykhiye, ho rahaa hai kyaa yahaan har roz? 'abd',
Kab sunaayee naheen deytey hain gamoun key naaley?
Mujh ko aataa naheen samajh mein, kyaa karoon? yaa Rab!
Kyaa sukoon paayengey, yeh ghar ujaarhney waaley?

                                    - abd bundeli
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2008, 05:01:04 AM »
Reply with quote
Abd Saab...So-Fi-Sadi Durust Baat Kahi aapne..Daag Sahib K Ash'ar Bhi Bahot Khoob Hai..aapki Nazm Ko Bhi Padha...Wo Bhi Taarif Ke kaabil Hai..saaf saaf alfaaz Hai..Akhbaar waali baat ko bhi padha..Main Bhi Ahmedabad Ka Hun..
Bahot Kuch Kehne Ko Dil Chaah raha Hai..Par Ajeeb si Khamoshi..Lab Pe Hai
Aur..abd Ke Ash'aar Ko Palko Se Uthaya
     Nazro Me Utaraa Dil Se Deikh Liya.....!!!!
       
     
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: July 28, 2008, 06:57:23 AM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
To, wallaah, aap Ahmedabad key hain! Tabhi itnee nafasat-e-gulafssaanee aapki jubaan mein zeyrey harkat nazar aatee hai! Bhai, mein to samajhtaa tha ki aap Lucknow key hain; par, kyonki kbhi-kabhi Bareilly kaa tableegee josh-o-kharosh  bhi aap ki shakhsiyat mein khushaamdeedee kartaa nazar aataa tha, to mujhey lagtaa thaa ki aap magrabee hindustaan sey hi hongey!
Janaab! hazrat Daag ki wah gazal abhi bhi meyrey dil-o-dimaag par chhayee huyee hai, tabhi to, eik aur gazal kaa matlaa mein kuchh deir pahiley tak gungnaa rahaa thaa, ki, meyrey eik mareez kaa foun aa gayaa, aur dil-o-dimaag us taraf mukhaatib ho gaye. Matlaa arz hai:
"Aap key paas aa key deikh liyaa!
 Aa ney ghar bulaa key deikh liyaa!!"
                                - abd bundeli

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: July 28, 2008, 07:34:13 AM »
Reply with quote
abd Babu...Baat chali Hai To Bataa Du aapko bhi aap sahih sochte ho..Ki,,

Main A'ala Hazrat Imam Ahmed Raza Bareilvi Radi-allahu Ta'barq Va T'ala Anhu Ke Maslaq-e-haqq Par Chalne waala Hun..
Ye Mere Pir-o-Murshad Hai
Yaane Sunnie,Hanafi,qaadri,bareilvi,barkaati.................Ye Mera Shjara-e-Tariqat Hai..
Jiska Mazaar-e-poor Anwaar Bareily Shareef Me waaqe'a Hai..
Aur Marehara Shareef Khaanqaah-e-Barkaat Se Bhi Muje Nisbat Hai..Jilaa ETA lagta Hai Up Ka.

Aur Jab Ki Nisbat Waala Hun..To,,Wali-allah Ki Boli Sufi o Ka Andaaz Bhi Bahot Pasand Karta hun..Wo Bhi Khaalis Mazhabi..

abd babu...baqi Guftagu PM ke Jariye Karoonga..   
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: July 31, 2008, 07:31:31 AM »
Reply with quote
abd sahab hume apki aur ghazlon ka intzar hai.....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: July 31, 2008, 08:19:15 AM »
Reply with quote
bekarar ji,
Shukriyaa! Saawan kaa maheenaa hai, gazleyn to hongeen hee, birahey bhi hongey! Mulaahizaa farmaaieygaa!
                                 - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:40:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer