riyaz106
Guest
|
GHAZAL Ye andaaz tere hain pyaarey bahut Talabgaar hain hum tumhaarey bahut Nahin ek tanha hami ghamzada Yahan hain muhabbat ke maarey bahut Judaai ke gham se bachha ae Khuda Giney humney raaton mein taarey bahut Haqeeqat chhupaaney se kya fayeda Qareeb aa gaye tum hamaarey bahut Jo kehna hai aakar zuban se kaho Baney jaanlewa ishaarey bahut Ye aghaaze-ulfat haseen hai magar Nazar aayenge din mein taarey bahut Kisey haale-dil hum kahen "Ashna" Sabhi hain mukhalif hamaarey bahut
Riyaz "Ashna"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
cara
Guest
|
|
«Reply #1 on: February 05, 2010, 06:16:41 AM » |
|
WAH KYA BAAT HAI RIYAZ106 JI.....
HAM TUMKO CHAHATEY HAI BAHUT MILNA TUMSE CHAHATEY HAI BAHUT RAHE NAHIN PATEY JUDA TUMSEY AUR TUM HAMKO TARDFATE HO BAHUT ISHARON HI ISHARON ME JO KAHETE HO "YE ANDAAZ TERE HAIN PYAREY BAHUT"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #2 on: February 05, 2010, 06:35:38 AM » |
|
Mindblowing RIyaz ji.. Bahoot Bahoot Khoob ! Kya Kahe.. Bahoot Khoob!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #4 on: February 05, 2010, 06:46:10 AM » |
|
Riyaz-bhai "Subhaanalla" very nice thought and wordings..... Ek request aap aapke es kalaam ko agar laghu-guru meter k hisaab se analyse karke bataayen tou hum kuchh achhi tarah se samajh sakte hain...if its not very inconvinient for you.... awaiting...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
S.hashmi
Guest
|
|
«Reply #6 on: February 05, 2010, 09:08:35 AM » |
|
Superb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #7 on: February 05, 2010, 09:40:19 AM » |
|
Cara ji aapka bahut bahut shukriya ghazal pasand farmane ke liye aur reply poetry mein dene ke liye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #8 on: February 05, 2010, 10:17:44 AM » |
|
Thank you very much Sophi ji ke aapko meri ghazal achhi lagi. Mindblowing RIyaz ji.. Bahoot Bahoot Khoob ! Kya Kahe.. Bahoot Khoob!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #9 on: February 05, 2010, 10:29:26 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #10 on: February 05, 2010, 10:32:01 AM » |
|
khwaish Ji aapka behad shukriya jo aapko meri ye ghazal pasand aai. Aainda bhi hausla afazaai ki ummeed rakhunga jisse kuchh behtar likh sakun.
Zaroor Riyaz Bhai!! Shayad Maine Pehli baar aapki likhi Hui Koi ghazal padhi hai,aage zaroor aapke Likhi Hui poetries Ka Intezaar Hoga..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #11 on: February 05, 2010, 10:35:31 AM » |
|
khwaish ji aapka phir se shukriya.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #12 on: February 05, 2010, 10:59:43 AM » |
|
Nice
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #13 on: February 05, 2010, 11:54:08 AM » |
|
Koyal ji aapka behad shukriya ghazal pasand farmaane ka. Aapki farmaaish mere dhyan mein hai. Riyaz-bhai "Subhaanalla" very nice thought and wordings..... Ek request aap aapke es kalaam ko agar laghu-guru meter k hisaab se analyse karke bataayen tou hum kuchh achhi tarah se samajh sakte hain...if its not very inconvinient for you.... awaiting...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
|
«Reply #14 on: February 05, 2010, 12:58:53 PM » |
|
Riyaz ji.....behad umda....kya hi khoob tarannum hai janab..bahoot khoob dad kabool ho
muflisi me hue hum bhi ek ajnabi kahne ko the jamane me sahare bahoot
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|