Ye dil fidaae yaar hai

by Ghulam Haider on May 07, 2012, 05:02:07 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 701 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab!
Apni aik naa cheez si ghazal le kar aap ki khidmat meN Haazir hoN.
Ummeed kartaa hooN ke aap log apni qeemati aaraa se zaroor navaazeNge.

Ye dil fidaae yaar hai ye jaaN fidaae yaar.
Jo bhi hai mere paas wo sab hai baraae yaar.

Naazuk badan hai gul se ziyaadah wo naazneeN,
KyoNkar na dil ko farsh karooN zere paae yaar.

MaiN husne be naqaab ke jalvoN meN gum huwaa,
Or dil churaa ke le gaie meraa adaae yaar.

Jazbaat shokh hote haiN us ke khayaal se,
Roke hai aur kehne se mujh ko Hayaae yaar.

Shaayad pukaartaa hai mujhe dil hi dil wo aaj,
Aati hai dheemi dheemi si mujh ko Sadaae yaar.

Dil ki nigaah chaahiye deedaare yaar ko,
Hote nahiN jahaan meN sab aashnaae yaar.

Laayaa hai ishqe yaar mujhe is muqaam par,
Apni rez’aa se pyaari hai mujh ko rez’aae yaar.

Mere har ek suaal ka bas hai wohi jawaab,
Kuchh dil ka mudda’a hi nahiN ma sivaae yaar.

Kar dooN maiN apni jaan bhi qubaan yaar par,
Hai be bahaa mere liye Haider wafaae yaar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaar Ko Maine, Mujhe Yaar Ne Sone Na Diya,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
yaar tuj pe by sunilmsn in SMS , mobile & JOKES
Yaar by faisal314 in Ghazals
yaar by ANAMAKA777 in SMS , mobile & JOKES
DAR E YAAR by UDASS.1 in Shayri-E-Dard
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 07, 2012, 05:04:38 PM »
Reply with quote
bahut khoob haider saheb ek rau aapkee nazr
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: May 07, 2012, 06:10:48 PM »
Reply with quote
Ghulam Haider saheb.Iss khubsurat ghazal  ke liye  bahut bahut mubarakbaad . HASAN
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #3 on: May 07, 2012, 06:59:25 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut khoob Ghulam Haider saheb. Meri taraf se bhi ek Rau.
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2012, 07:40:38 PM »
Reply with quote
Bahot achchi lagi aapki ghazal! Mubarakbad ke saath ek rau qubool karein.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: May 07, 2012, 08:47:23 PM »
Reply with quote
bahut khoob haider saheb ek rau aapkee nazr
MoHtaram sasaini4 SaHeb zarrah nawaazi ke liye be Hadd shukriyaa.
"rau" ke baare meN mujhe i'lm nahiN lekin itnaa andaazah ho rahaa hai ke ye ina'am ki aik Soorat hai. Is ke liye bhi aap ka bohot bohot shukriyah.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: May 07, 2012, 08:57:45 PM »
Reply with quote
Ghulam Haider saheb.Iss khubsurat ghazal  ke liye  bahut bahut mubarakbaad . HASAN
F. H. SIDDIQUI SaaHeb, tahe dil se aap ka mamnoon hooN ke aap ne meri kaavish ko pasand kiyaa. Baarak Allaho feek.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: May 07, 2012, 09:05:17 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut khoob Ghulam Haider saheb. Meri taraf se bhi ek Rau.
Iftakhar Ahmad SaaHeb, ghazal ki pazeeraaie aur rau ke liye intihaaie mamnoon o mashkoor hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: May 07, 2012, 09:09:06 PM »
Reply with quote
Bahot achchi lagi aapki ghazal! Mubarakbad ke saath ek rau qubool karein.
Quateel Ahmad SaaHeb, Aap ki MoHabbat aur khulooS hai ke aap ne adnaa si kaavish ko pasand farmaayaa. Be Hadd shukriyah.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: May 08, 2012, 03:44:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Anahita
Guest
«Reply #10 on: May 08, 2012, 12:08:05 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: May 09, 2012, 11:30:45 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Anahita ji aap ka bohot bohot shukrya ghazal pasand karne ke liye
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #12 on: May 10, 2012, 03:17:32 AM »
Reply with quote
bout khub janab kya ghajal kahi hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:13:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer