"ye kaisa nafa kar baithay"

by aaina on April 18, 2009, 10:48:52 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1641 times)
aaina
Guest
Reply with quote
apne haatho hi muqaddar ko fana kar baithay
hum jise chahte thay usii ko khafa kar baithay

baat ye aaj ki nahi ek umar ka pachtawa hai
jab usne kaha haan, tab hum mana kar baithay

socha to ye tha ke bewafa sirf wo hi nhi ho skta
jaane kiya yaad, aur phir se wafa kar baithay

ye kaisi sitamzareefi dikhaaii hai mere saath
mere hi zakhm, aur muskurane ki dua kar baithay

wo to ab bhi reshmi nashtar chubhota jaata hai
jabke baqaya karz hum kabke ada kar baithay

khud hi chod diya apna watan chand sikko ke liyn
koi poochay to zara, aslam ye kaisa nafa kar baithay
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
"KAISA YE GAJAB KAMAAL KR BAITHI",,,,,,,,,,,,,,K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard
Kaisa Shiwa Kaisi Shiqayat…!!-------------------"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2009, 11:21:06 AM »
Reply with quote

 iss mohabbat main   nafaa kyaa nuksaan kyaa

 jitey to saari duniya, warnaa wajood kyaa jaan kyaa.

  waah bhai bahaut khoob..

   K_A
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #2 on: April 18, 2009, 01:13:24 PM »
Reply with quote
aainaji achha likha hai aapne..... Applause Applause Applause

Khud apne paav pe kulhadi maar baithee
Ay aaina ye tum pyaar main kya kar baithee
Karna tha ikraar per inkaar kar baithee
Kismat k saath ye kaisa khel kar baithee

apne haatho hi muqaddar ko fana kar baithay
hum jise chahte thay usii ko khafa kar baithay

baat ye aaj ki nahi ek umar ka pachtawa hai
jab usne kaha haan, tab hum mana kar baithay

socha to ye tha ke bewafa sirf wo hi nhi ho skta
jaane kiya yaad, aur phir se wafa kar baithay

ye kaisi sitamzareefi dikhaaii hai mere saath
mere hi zakhm, aur mukurane ki dua kar baithay

wo to ab bhi reshmi nashtar chubhota jaata hai
jabke baqaya karz hum kabke ada kar baithay

khud hi chod diya apna watan chand sikko ke liyn
koi poochay to zara, aslam ye kaisa nafa kar baithay
[/color]

Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2009, 02:42:09 PM »

bohat bohat khoob aslam ji... Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bohat hi umda aur lajawaab kalam aapki taraf se..... har ek sher behtareen Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: April 18, 2009, 09:44:13 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Aslam Saheb...Kamal ka likha hai apne...
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #5 on: April 19, 2009, 10:32:00 AM »
Reply with quote
Bahut khub Aaina ji Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: April 19, 2009, 11:02:37 AM »
Reply with quote
apne haatho hi muqaddar ko fana kar baithay
hum jise chahte thay usii ko khafa kar baithay

baat ye aaj ki nahi ek umar ka pachtawa hai
jab usne kaha haan, tab hum mana kar baithay

socha to ye tha ke bewafa sirf wo hi nhi ho skta
jaane kiya yaad, aur phir se wafa kar baithay

ye kaisi sitamzareefi dikhaaii hai mere saath
mere hi zakhm, aur mukurane ki dua kar baithay

wo to ab bhi reshmi nashtar chubhota jaata hai
jabke baqaya karz hum kabke ada kar baithay

khud hi chod diya apna watan chand sikko ke liyn
koi poochay to zara, aslam ye kaisa nafa kar baithay
[/color]

Dil main utar gayi aapki ye ghazal Aslam Ji..Bohot Khoob.
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2009, 07:28:17 AM »
Reply with quote
iss mohabbat main   nafaa kyaa nuksaan kyaa

 jitey to saari duniya, warnaa wajood kyaa jaan kyaa.

  waah bhai bahaut khoob..

   K_A

bhut skukriya k_A aur sahi kaha aapne bhi..................
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2009, 07:31:14 AM »
Reply with quote
aainaji achha likha hai aapne..... Applause Applause Applause

Khud apne paav pe kulhadi maar baithee
Ay aaina ye tum pyaar main kya kar baithee
Karna tha ikraar per inkaar kar baithee
Kismat k saath ye kaisa khel kar baithee

ha ha ha.....ab kya kiya jaye anaam ji.............thnxx
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: April 20, 2009, 07:33:19 AM »
Reply with quote

bohat bohat khoob aslam ji... Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bohat hi umda aur lajawaab kalam aapki taraf se..... har ek sher behtareen Clapping Smiley

bhut bhut shukriya tanha ji...............thnxxx for ur appriciation
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2009, 07:35:08 AM »
Reply with quote
Bahaut khoob Aslam Saheb...Kamal ka likha hai apne...

thnxxxxxxx dead heart...........apko pasnd isse ziyada khushi ki aur kya baat ho skti hai
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2009, 07:36:32 AM »
Reply with quote
Bahut khub Aaina ji Applause Applause Applause

thnxxxx so much jannatjahan ji........................
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2009, 07:39:21 AM »
Reply with quote
Dil main utar gayi aapki ye ghazal Aslam Ji..Bohot Khoob.

shukriya celmira ji.........ghazal ki tareef isse behtar aur kya ho skti hai.........bhut bhut shukriya
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: April 23, 2009, 11:15:40 AM »
Reply with quote
Matla aur Makhta jab dono hi mazboot ho to use kehte hain ek kamyaab peshkash......Bohat khoob Aslam...
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: May 02, 2009, 09:49:50 AM »
Reply with quote
Matla aur Makhta jab dono hi mazboot ho to use kehte hain ek kamyaab peshkash......Bohat khoob Aslam...

sajid sahab aapki zarra nawaazi hai.............thnxxx so much
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:09:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer