Ye zaroori to nahi...

by sanya310 on February 08, 2005, 09:00:48 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
ReplyPrint
Author  (Read 11391 times)
aryan_297
Guest
«Reply #105 on: October 27, 2005, 10:05:06 PM »
Reply with quote
Pagal to log kehtey hey dewana bhi kahengey,
usski mohabbat mein sarre gum muskura kar sahengey,
kya mettha dard hai jo humne paya hai,
log hamari mohabbat ko aashiqi nahi pagalpan kahengey
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Zaroori to nahi...(NM) by maya01 in Shayri-E-Dard
zaroori to nahi by maazkazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
aryan_297
Guest
«Reply #106 on: October 27, 2005, 10:10:05 PM »
Reply with quote
log kehtey hai ke nasha karna buri baat hai ,
to kyu nahi roktey unhey jo log mohabatt kartey hai,
kehna to aasan hey chodh do issey ,
kar ke to dekho chodna kitna mushkil hai.
Logged
aryan_297
Guest
«Reply #107 on: October 27, 2005, 10:12:52 PM »
Reply with quote
Zindagi ke iss maikhaney mein ,
gummo ke in paimano mein ,
ek jam meiney piya jis par kar di har cheez apni kurban,
Mohabbat tha usska naam...........
Mohabbat tha usska naam...........
Mohabbat tha usska naam............
Logged
aryan_297
Guest
«Reply #108 on: October 27, 2005, 10:14:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice shayara_neelam......badnam........

Aaj hum zara bhi zamane ki parwah nahin karainge
jo bhi kehna hai aaj saaray mehfil hi kahainge.....



nice one

har cheez ka anjam hota hai,
mohabbat mein aashiq badnaam hota hai,
kyu ki humne aisi galti,
iiska ilzam bhi aapke naam hota hai
Logged
aryan_297
Guest
«Reply #109 on: October 27, 2005, 10:18:46 PM »
Reply with quote
zamaney se to hame koi ummed na thi
aap mil jaye hame bas yahi to ek khwahish thi
marney ke bahoot tarikhey aati the hame
par jeeney ki aap hi to ek justagu thi
hum bhi  dey saktey the jaan aap ke khatir
par ko to hamarey marney par bhi koi khushi na thi
Logged
aryan_297
Guest
«Reply #110 on: October 27, 2005, 10:24:04 PM »
Reply with quote
har dard se bada dard mohabbat ka dard hota hai
iss dard mein bhi ajjeb sa ek nasha hota hai
kya maul kyu kartey hai log mohabbat
iss pagalpan ka bhi alag hi ek mazaa hota hai
Logged
sanya310
Guest
«Reply #111 on: October 28, 2005, 11:11:50 AM »
Reply with quote
wah wah aryan, bohot achhe !! keep writing! welcometo yoindia.
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #112 on: October 28, 2005, 11:32:02 AM »
Reply with quote
Ye zaroori to nahi....
aankhon ko jiska intezaar hai wo khareeb aajaaye..
dil e naadan ki kashmakash muskuraahat se door ho jaaye....
zaroori to ye hai ke dil mein jab khalish ho to muskuraaya karein...
kyaa pata aapki muskuraahat se kisi ka patthar dil pighal jaaye....!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #113 on: October 28, 2005, 11:55:44 AM »
Reply with quote
wow thats great, friend!!!! really meaningful!!!

dil ki kashmakash mein hum najaane kabtak uljhe rahenge pata nahi
aapki ek jhalak ke liye betaab hain aankhen aap kab aayenge pata nahi!!
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #114 on: October 28, 2005, 01:00:07 PM »
Reply with quote
wonderful Sanyaa................wonderful...!!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #115 on: October 28, 2005, 01:17:51 PM »
Reply with quote
thnxx!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #116 on: October 28, 2005, 03:19:23 PM »
Reply with quote
Quote from: "sanya310"
wow thats great, friend!!!! really meaningful!!!

dil ki kashmakash mein hum najaane kabtak uljhe rahenge pata nahi
aapki ek jhalak ke liye betaab hain aankhen aap kab aayenge pata nahi!!


nice  Aryan......Friend..........Sanya...........

Na Chairr Uzr E Muhabbat Ki Dastaan Ae Dost
K Bazm E Ishq Mein Hoti Hey Khamshi Awaaz
Mein Nagar Hoon,kisi Morr Pe Na Thehroon Ga
Azal Se Deti Rahi Mujh Ko Zindagi Awaaz..................
Logged
sanya310
Guest
«Reply #117 on: October 28, 2005, 03:29:53 PM »
Reply with quote
very nice waheed, thanx
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #118 on: October 28, 2005, 03:47:04 PM »
Reply with quote
Thanxxx  u  too  Sanya..........:oops:  ur  welcome
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #119 on: October 28, 2005, 04:33:04 PM »
Reply with quote
kabhi to baat meri maan jaaya kijiye
gairon ke saath is gali na aaya kijiye

phir dil ki umeeden sar utthane lagti hain
mujhko youn dekh kar na muskuraaya kijiye

na dil mein dard ho na aakhon mein intezaar
mitaane waalon ko aise mitaaya kijiye

shayar ka naam poochenge to kya bataaoge
logon ko meri ghazlen mat sunaaya kijiye
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:18:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer