~*~ YeH hUsN tErA yEh IsHq MeRa ~*~

by Naya_Daur on October 30, 2006, 04:44:06 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2317 times)
Naya_Daur
Guest
Reply with quote
ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad_naam sahii
mujh par to ka_ii ilzaam lage
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii

is raat kii nikharii rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zaraa
nazaro.n ko bahak jaane de zaraa
zulfo.n ko bikhar jaane de zaraa
kuchh der kii hii taskiin sahii
kuchh der kaa hii aaraam sahii

jazbaat kii kaliyaa.N chunanaa hai
aur pyaar kaa tohfaa denaa hai
logo.n kii nigaahe.n kuchh bhii kahe.n
logo.n se hame.n kyaa lenaa hai
ye Khaas ta'alluq aapas kaa
duniyaa kii nazar me.n aam sahii

rusavaa_ii ke Dar se ghabaraa kar
ham tark-e-vafaa kab karate hai.n
jis dil ko basaa le.n pahaluu me.n
us dil ko judaa kab karate hai.n
jo hashr huaa hai laakho.n kaa
apanaa bhii vahii anjaam sahii


ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad_naam sahii
mujh par to ka_ii ilzaam lage
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii
nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tera husn by jochahohojayein in Shayri for Khumar -e- Ishq
TERA HUSN by jochahohojayein in Shayari -e- Husn
*@*Tera ye husn ye shabab kya kahiye*@* by Paigam_A_Ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq
tera ishq ho mera ishq ho..... by prateekagarwal in Shairi - E - Zindagi
ishq ishq ho shaayad husn me.n fanaa ho kar by Rekhta in Share: Poetry of Pain
Aarzuu
Guest
«Reply #1 on: October 30, 2006, 04:48:05 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: October 30, 2006, 05:35:44 AM »
Reply with quote
bahut khoob jeet .....

gujaarni hai ek raat ek subeh sirf mujhe tere tasvur mein
teri bahaon mein mere badan jab yeh mehek mehek jaaye
chhoo ke apni nazaro se tu pyaar kare mujhe tut kar
aur dil ki har kali khil khil sharma jaaye

aa ke bethu tere pehlu mein jo ek baar sanam
toh fir us raat ki subeh na hone paaye
ek jaadu sa hai tere pyaar ka jehan per mere
aaj  teri bahaon mein mera dum bas yun nikal jaaye

yeh husan mera tere ishq ka diwaana hai
aaj is dil ki baqarari ko aur badaaya jaaye
ab aaye ilzaam tujh per mujh per toh dar kya
bas aaj har lamha pyaar mein gujara jaaye !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #3 on: October 30, 2006, 10:21:46 AM »
Reply with quote
waah Burniing Desires ...  aaj to wakie hi on fire ho ! bahut achi Gazal hai .... yha lane ke liye Shukriya !!

Tere husn pe hai fida rangen yeh ishq mera
Chalta rhe yun hi yeh chahtooN ka silsila

Tere gesu, yeh chahra tera lagta hai aseey
Amaawas ki raat mein jaseey chand ho khila

Aa ke ab yeh durriyaaN mitta de DarmiyaaN
Kabhi tu mil mujh se aur kabhi dil se dil mila!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: October 30, 2006, 10:47:25 AM »
Reply with quote
Very nice sharing Jeet... Thanks a lot...

Ranju di, Humtum... Too good both of You....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: October 30, 2006, 10:50:03 AM »
Reply with quote

Naaz hume hai dil par apne,
Dukh ka saathi, dard ka saathi..
Yeh hai mera humraaz bhi,
Aur Humdum bhi dil yeh mera….

Shikwa nahin zubaan par iski,
Fariyaad nahin hai khuda se koi..
Jaan gaya yeh, maan gaya yeh,
Meri raaton ka ab nahin savera…

Andhere se ab darti nahin main,
Roshni ki dua bhi karti nahin main,
Jaane phir kyon jaltaa raha hai, Puzzled !
Yeh husn mera, Yeh ishq tera…
[/b][/u]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2006, 04:04:19 PM »
Reply with quote
Mashallaaah Jeet ranju and shikha......Superb :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: October 31, 2006, 04:05:56 PM »
Reply with quote
Very Nice All....
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2006, 09:32:43 AM »
Reply with quote
thanks all for your appreciation n replies....


Raat ki sargarmiyon mein
pigalte huye jismon mein
nazuk se angradi,
jaane kya kehr dha gayi

na hosh mein tum
na hosh mein hum
aor sard hawa ke jhoonke
dooriyan sarri mitta gayi

woh jhatakna teri jhulfon ka
nainon ke mithi uljhan ka
haya ki deewar,ankh ka pardha
deewana mujhe bana gayi

machalte rahe hum
ek duje ki bhaaon mein
pyaar mein likhi dastaan
aapna mukaam paa gayi

yeh chand sa husn tera
aor aashiqana IshQ mera
duniya ki har rasm tord kar
humne hasti aapni ban li....
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: November 01, 2006, 02:12:57 PM »
Reply with quote
Jeet, Ranju, HumTum, Shikha......bohot khoob !!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: November 02, 2006, 06:39:22 AM »
Reply with quote
very nice jeet and all

makhmali chandani ki koi raat
us pe mil jaae gar jo tera saath
tere haatho me hojo mera haath
raat ban jaae phir shab e barat

falsafa apna apna hamdam hai
chahaten sabki alag hotin hain
phool jo chahe bas titali ka saath
aarzoo chahe ulfaton ka saath

jaane kin raston pe ham chalte
 manzilen kho chukin safar baqi
rasta phir suhana lagne lage
raah me gar mile jo tera saath

jugnuon ki vo koi basti thi
koi shahzadi vahaan hansati thi
apne dil ke vo sare gham bhi gae
ham vahaan ruk gae the bas ik raat

kahkashaan raah hai ab apni bhi
sare tare bhi saath chalte hain
saari duniya jo kal andheri thi
jagmagai ke tu hai mere saath
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #11 on: November 04, 2006, 07:23:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
very nice jeet and all

makhmali chandani ki koi raat
us pe mil jaae gar jo tera saath
tere haatho me hojo mera haath
raat ban jaae phir shab e barat

falsafa apna apna hamdam hai
chahaten sabki alag hotin hain
phool jo chahe bas titali ka saath
aarzoo chahe ulfaton ka saath

jaane kin raston pe ham chalte
 manzilen kho chukin safar baqi
rasta phir suhana lagne lage
raah me gar mile jo tera saath

jugnuon ki vo koi basti thi
koi shahzadi vahaan hansati thi
apne dil ke vo sare gham bhi gae
ham vahaan ruk gae the bas ik raat

kahkashaan raah hai ab apni bhi
sare tare bhi saath chalte hain
saari duniya jo kal andheri thi
jagmagai ke tu hai mere saath


kya baat hai Tabasssum ji..... har lafz mein khumar chalkta nazar aata hai..... awesome.....

chand ki chandni mein
sanson ka takrana kya baat hogi

chanchal si raat mein
mere hathon ka tujh par machalna kya baat hogi

lub mila kar jab tum madhosh kar jaoge
apne Jism ki shiraan se Ghayal kar jaoge

yeh manzar jab kahwabon se nikal Haqi'Qat banega
mera humdum,meri dhadkan se bhi kareeb hoga,toh kya baat hogi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: November 04, 2006, 07:44:19 AM »
Reply with quote
 thanx jeet aur bahut khoob likha hai aapne   .................

  phir shaam dhali hai dekho na
aur raat palat ke aati hai
din to hamne bas kaat liya
ab yaad tumhari aati hai
kya hoga beeti baaton se
kya ahadon aur iradon se
teri yaad bani zanjeer si hai
jo mujhko jakade rahti hai
meri saanse bhi ab ghutati hain
aur dil bhi kuchh ghabarata hai
sab dekhke hamko hansate hain
kya itna bhi koi chahta hai?
tu sabko zara ye samajha de
ke ye tujhko to janate kab
tu itna achcha sa hai bas
ke mujhko bas tu payaara hai..........
_________________
   
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 04, 2006, 07:26:15 PM »
Reply with quote
good job tabu and jeet
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #14 on: November 05, 2006, 07:01:22 AM »
Reply with quote
thanx pooja ...........
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:52:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer