Yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan...

by -Kashish- on July 16, 2009, 10:28:12 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3533 times)
-Kashish-
Guest
Reply with quote

 ek bahut hi acche dost ki farmaaish par likha hai
yeh nazr hai usi ke liye ...

Jaane kyun aaj ek ajeeb si khanak hai inmein
suno kuch keh rahi hain tumse
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Maine jo pooncha to boli yeh mohabbbat hai tumhari
jo inmein saj rahi hai khil rahi hai

Meri kalaai mein ban kar ishq tumhara
dekho phir mujhe sata rahi hai

Har baar ek naya roop-rang dikhati hain
aur saath tumhari yaad le aati hai

Zara nazuk hain sambhal kar choona inhein
bas aisa hi dil hai mera pyar se saja rakha hai

Kabhi khamosh ho jaati hain to kabhi atkheliyaan bhi karti hain
inke kacche kaanch mein bhi chupa humara saccha pyar hai

Saugaat hai humaari mohabbat ki
dekho khanak kar keh rahi hai

Jaana hai to chale jaao ae mere mehboob
inki "kashish" se tumhe phir mere paas laut aana hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaanch Ke Dil by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
choodiyaan!!!!!!!!!! by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
RANG DO MUJH KO APNE PYAR KE RANG MEIN........ by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
meri jindagi mein rang nahi by saahill in Shayri-E-Dard
Meri mohabbat rang layi! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: July 16, 2009, 10:34:32 AM »
Reply with quote
Wah Kashish ji,bahut khoob,wonderful creation,excellent icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2009, 11:34:03 AM »
Reply with quote
Wow Kashish.. Bahut bahut Bahut Khoooob.. Chooriyon Ki Khanak Ko Lafzon Me Behad Khubsoorati se Utaara hai aapne..!! Ek ek Lafz Mohabbat se Bhara hai.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause

Waqai Chooriyaan Ek Ek Ladki, Ek Aurat Ka Sabse Khubsoorat Gahana Hota Hai.. Aur Lagta hai aapko Bhi Chooriyaan Bahut Pasand hain..!! Daad Kubool karen...!!
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Rang Birangi Chooriyaan Tu, Jab Jab Pahan Ke Aati Hai,
Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..

In Chooriyon Me Mujhe, Mohabbat Teri Aati Hai Nazar,
Jab Chan-Chana Ke Tu Inhe, Saamne se Guzar Jaati Hai….

Chamak Teri Chooriyon ki, Karti hain Deewana Is Qadar,
Ke Inhe Choomne Ki Tamanna, Badhti Hi Chali Jaati Hai….

Kyun Is Qadar Dillagi kar, Pyaas Dil Ki Badaati ho Dilbar,
Soye Jazzbaaton Pe Phir, Ishq Ki Baarish Padh Jaati Hai…..

Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..!!

**~** Mann **~**
Logged
KHILTAGULAB
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2009, 11:54:22 AM »
Reply with quote
KASHISH JI  AUR MAAN BAHUT KHOOB,PAD KAR MAJA AA GAYA
Logged
Shahzad G
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2009, 12:27:40 PM »
Reply with quote
good poetry nice
Logged
smardia
Guest
«Reply #5 on: July 16, 2009, 01:18:52 PM »
Reply with quote
Kashishji bahut khoobsurat rachna hai aapki....
Rang-Birangi choodiyo mai aapne pyaar-ishq ka rang bhar diya hai...padhte-padhte khumaari chha jati hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Man karta hai mai bhi likhu kuchh....

Tu jab choodiyen khan-ka-ke nind se jagati hai mujhe
Priytame teri ye natkhat adaa bahut bhaati hai mujhe
Har pal tu mere aas-pass hai aabhas dilati hai mujhe
Inki khanak-ne ki awaas pal-palpass bulati hai mujhe

 ek bahut hi acche dost ki farmaaish par likha hai
yeh nazr hai usi ke liye ...

Jaane kyun aaj ek ajeeb si khanak hai inmein
suno kuch keh rahi hain tumse
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Maine jo pooncha to boli yeh mohabbbat hai tumhari
jo inmein saj rahi hai khil rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Meri kalaai mein ban kar ishq tumhara
dekho phir mujhe sata rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Har baar ek naya roop-rang dikhati hain
aur saath tumhari yaad le aati hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Zara nazuk hain sambhal kar choona inhein
bas aisa hi dil hai mera pyar se saja rakha hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan
Kabhi khamosh ho jaati hain to kabhi atkheliyaan bhi karti hain
inke kacche kaanch mein bhi chupa humara saccha pyar hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Saugaat hai humaari mohabbat ki
dekho khanak kar keh rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan
Jaana hai to chale jaao ae mere mehboob
inki "kashish" se tumhe phir mere paas laut aana hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009

View Profile
«Reply #6 on: July 16, 2009, 03:20:44 PM »
Reply with quote
Roti hui bohat tumne dekhi hogi aakhe

Veeran kalaii_yo sa nahi dard hain koi....
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2009, 04:50:55 PM »
Reply with quote
Wah wah Kashish Ji wah
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #8 on: July 16, 2009, 04:52:15 PM »
Reply with quote

Waqai Chooriyaan Ek Ek Ladki, Ek Aurat Ka Sabse Khubsoorat Gahana Hota Hai.. Aur Lagta hai aapko Bhi Chooriyaan Bahut Pasand hain..!! Daad Kubool karen...!!
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Rang Birangi Chooriyaan Tu, Jab Jab Pahan Ke Aati Hai,
Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..

In Chooriyon Me Mujhe, Mohabbat Teri Aati Hai Nazar,
Jab Chan-Chana Ke Tu Inhe, Saamne se Guzar Jaati Hai….

Chamak Teri Chooriyon ki, Karti hain Deewana Is Qadar,
Ke Inhe Choomne Ki Tamanna, Badhti Hi Chali Jaati Hai….

Kyun Is Qadar Dillagi kar, Pyaas Dil Ki Badaati ho Dilbar,
Soye Jazzbaaton Pe Phir, Ishq Ki Baarish Padh Jaati Hai…..

Rang Birangi Chooriyaan Tu, Jab Jab Pahan Ke Aati Hai,
Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..!!

**~** Mann **~**

Wah Mann Saheb Maan gaye aapko
Kya khoob likha hai
SARVESH RASTOGI
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2009, 09:33:53 PM »
Reply with quote
Very beautiful lines Mann ji,Smardia ji,Dastbardaar ji,excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: July 17, 2009, 04:55:51 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Khilta Gulab Ji, Sarvesh Ji & Madhu Ji.. Usual Smile Usual Smile

**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: July 17, 2009, 04:05:01 PM »
Reply with quote
Wow Kashish its so beautiful.. sachi Mujhe bahoot bahoot pasand aaya.. Bahoot Khoob Sweetz

Mann Ji aapne bhi Bahoot Hi Umda likha hai, Bahoot Khoob!

Good Work both!

Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: July 17, 2009, 04:30:49 PM »
Reply with quote

 ek bahut hi acche dost ki farmaaish par likha hai
yeh nazr hai usi ke liye ...

Jaane kyun aaj ek ajeeb si khanak hai inmein
suno kuch keh rahi hain tumse
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Maine jo pooncha to boli yeh mohabbbat hai tumhari
jo inmein saj rahi hai khil rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Meri kalaai mein ban kar ishq tumhara
dekho phir mujhe sata rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Har baar ek naya roop-rang dikhati hain
aur saath tumhari yaad le aati hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Zara nazuk hain sambhal kar choona inhein
bas aisa hi dil hai mera pyar se saja rakha hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan
Kabhi khamosh ho jaati hain to kabhi atkheliyaan bhi karti hain
inke kacche kaanch mein bhi chupa humara saccha pyar hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Saugaat hai humaari mohabbat ki
dekho khanak kar keh rahi hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan
Jaana hai to chale jaao ae mere mehboob
inki "kashish" se tumhe phir mere paas laut aana hai
yeh meri rang-birangee kaanch ki choodiyaan

Very beautiful creation...Kashish..Bohot Khoob...mere to kaanon main bajne lagi ye choorhiyaan Winking

Very nice work dear Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: July 17, 2009, 04:32:37 PM »
Reply with quote

Rang Birangi Chooriyaan Tu, Jab Jab Pahan Ke Aati Hai,
Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..

In Chooriyon Me Mujhe, Mohabbat Teri Aati Hai Nazar,
Jab Chan-Chana Ke Tu Inhe, Saamne se Guzar Jaati Hai….

Chamak Teri Chooriyon ki, Karti hain Deewana Is Qadar,
Ke Inhe Choomne Ki Tamanna, Badhti Hi Chali Jaati Hai….

Kyun Is Qadar Dillagi kar, Pyaas Dil Ki Badaati ho Dilbar,
Soye Jazzbaaton Pe Phir, Ishq Ki Baarish Padh Jaati Hai…..

Rang Birangi Chooriyaan Tu, Jab Jab Pahan Ke Aati Hai,
Tujhse Milne Ki Tamanna, Bas Badhti hi Chali Jaati Hai…..!!

**~** Mann **~**

Waah...Bohot Khoob Vicky aapne bhi koi kasar nahin chorhi choorhiyon ko sajane main...Bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: July 17, 2009, 04:33:29 PM »
Reply with quote

Man karta hai mai bhi likhu kuchh....

Tu jab choodiyen khan-ka-ke nind se jagati hai mujhe
Priytame teri ye natkhat adaa bahut bhaati hai mujhe
Har pal tu mere aas-pass hai aabhas dilati hai mujhe
Inki khanak-ne ki awaas pal-palpass bulati hai mujhe

Bohot achcha likha hai aapne Smardia Ji
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:21:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer