Youn Kati ishq me,Ek Shayar ki raat

by karan q on April 24, 2005, 11:16:29 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 787 times)
karan q
Guest
Reply with quote
Youn kati ishq me ek shayar ki raat


Youn Kati ishq me Ek Shayar ki Raat
Kuch Gazalon ke jaam,kuch nazmo ka saath
Youn kati ishq me ek shayar ki raat….

Kuch Khwaab mehmaan rahe khuli aankhon ke
Kuch lafz qaid rahe Band honthon ke picche
Sannaton me goonjte rahe silsile Saanso ke
Raat bhar yaad aate rahe wo benoor Dariche
Jahaan Dhoondho To Ab koi chehra Nahi
Magar Beete Dino ne ajdaad e aas chod rakhi hai
Ek chaand ki Talaash hai jo ab aashkara nahi hai
Ek Dariya hai hadd e nazar or kinaara nahi hai
Bas aise he kuch khyaalon ki nikalti rahee baraat
Youn kati ishq me ek shayar ki raat

Jugnu bhee reh reh ker jamee ke chaand ki yaad dilate rahe
Meri tanhaiyo ke saaye bhee reh rehker mujhe jalaate rahe
Wo nazaren Jo kaheen na ho ker bhee her soo dikhayi di
Humse duur jaati rahi or hum ussko kareeb bulate rahe
Shayar Kehta Hai ki wo Bedaaq nahi hai
Ek karz hai jo Abhee chuka nahi hai
Saanso ka silsila Abhee ruka nahi hai
Teri aisee judaai me bhee koi mazaa nahi hai
Tu gaya hai youn ke gaya nahi Hai
ek baat hai jo labh per Thami hui hai
Sir kat To gaya Per Jhuka Nahi hai
Karan’ marr to gaya per marra nahi hai
Aaj bhee Teri yaad ke Siwa kuch aaya nahi hai
Meri zindgi ka ye dastoor Koi naya nahi hai
Tanhai ke saaye me khudh se mulaqaat
Youn kati ishq me ek shayar ki raat
Kuch gazalon ke jaam,kuch nazmo ka saath
Youn kati ishq me ek shayar ki raat


Karan.q
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fir raat kati by majid in Shayri-E-Dard
duniya by md.ayad in Shairi - E - Zindagi
Kitni mushkil sy kati kal ki meri raat na pooch, by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
RAAT KATI TO SUBH HUI AUR DIN GUZRAA TO SHAAM HUI by pradeep srivastava raunaq in Shayari-e-Parastish
Ishq Husn aur Shayar................(Raashid) by khhanabadosh in Shairi - E - Zindagi
nishita
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2005, 12:10:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "karan q"
Youn kati ishq me ek shayar ki raat


Youn Kati ishq me Ek Shayar ki Raat
Kuch Gazalon ke jaam,kuch nazmo ka saath
Youn kati ishq me ek shayar ki raat….

Kuch Khwaab mehmaan rahe khuli aankhon ke
Kuch lafz qaid rahe Band honthon ke picche
Sannaton me goonjte rahe silsile Saanso ke
Raat bhar yaad aate rahe wo benoor Dariche
Jahaan Dhoondho To Ab koi chehra Nahi
Magar Beete Dino ne ajdaad e aas chod rakhi hai
Ek chaand ki Talaash hai jo ab aashkara nahi hai
Ek Dariya hai hadd e nazar or kinaara nahi hai
Bas aise he kuch khyaalon ki nikalti rahee baraat
Youn kati ishq me ek shayar ki raat

Jugnu bhee reh reh ker jamee ke chaand ki yaad dilate rahe
Meri tanhaiyo ke saaye bhee reh rehker mujhe jalaate rahe
Wo nazaren Jo kaheen na ho ker bhee her soo dikhayi di
Humse duur jaati rahi or hum ussko kareeb bulate rahe
Shayar Kehta Hai ki wo Bedaaq nahi hai
Ek karz hai jo Abhee chuka nahi hai
Saanso ka silsila Abhee ruka nahi hai
Teri aisee judaai me bhee koi mazaa nahi hai
Tu gaya hai youn ke gaya nahi Hai
ek baat hai jo labh per Thami hui hai
Sir kat To gaya Per Jhuka Nahi hai
Karan’ marr to gaya per marra nahi hai
Aaj bhee Teri yaad ke Siwa kuch aaya nahi hai
Meri zindgi ka ye dastoor Koi naya nahi hai
Tanhai ke saaye me khudh se mulaqaat
Youn kati ishq me ek shayar ki raat
Kuch gazalon ke jaam,kuch nazmo ka saath
Youn kati ishq me ek shayar ki raat


Karan.q



greatt
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2005, 03:20:32 PM »
Reply with quote
Wah!!!!!!! Bohat achey Karan....................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:41:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer