ZARRAA - nazm : mohabbat ke 3 raNg

by zarraa on June 22, 2013, 12:57:53 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1989 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
dostoN...aadaab...is baar ek alag koshish ... nazm hai, mohabbat ki, mukhtasar si ...


1
kaha tha maaNg teri taaroN se saja deNge
kaha tha sar pe tere aasmaaN udha deNge
agar falak na ye ut'rega tere aaNgan meiN
zameeN se arsh talak rahguzar bana deNge

(arsh = sky, rahguzar = road)


2
zabaan ishq ke muNh meiN kahaaN hua karti
bas ik jabeen hi hoti hai jo jhuka karti
khata bhi yaar ki lagti hai jaise shokh ada
kami bhi yaar ki yakta use kiya karti

(jabeen = forehead, yakta = unique)


3
wafa meiN ahed-e-wafa to zaroor ho jaata
tawakko jis se magar rak’kho door ho jaata
gunaah-gaar naheeN kaun “zarraa” ulfat meiN
bhala hi karne ko nik'lo kasoor ho jaata

(tawakko = expectations)


- ZARRAA

Logged
nashwani
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2013, 01:27:55 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek bahut achhi koshish hai zarraa sahab..bahut khoob..happy9
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: June 22, 2013, 01:28:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah, bahut hi khoobsoorat nazm hai, dili daad qubool kareiN.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: June 22, 2013, 01:34:39 AM »
Reply with quote
hmmmmmmmmm interesting, zarra saaheb ye naya rang kaun sa hai...?? par jo bhi ho, hai bada gaadha aur jabardast, apaki ye kosish bahut pasand aayi, umeed karta huN yuNhi aage bhi aapke kalam ke aur bhi rang dekhne ko mileNge hume...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 22, 2013, 01:38:46 AM »
Reply with quote
waahhhhhh zarraa ji bade din baad aapko padha lekin sach maza aagaya ye aapki nazm padhkar ... behad dilchasp aur mahobbat se sarabor rahi aapki peshkash.... yunhi mehfil ki ronak bane rahiye.....
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: June 22, 2013, 03:36:20 AM »
Reply with quote
dostoN...aadaab...is baar ek alag koshish ... nazm hai, mohabbat ki, mukhtasar si ...


1
kaha tha maaNg teri taaroN se saja deNge
kaha tha sar pe tere aasmaaN udha deNge
agar falak na ye ut'rega tere aaNgan meiN
zameeN se arsh talak rahguzar bana deNge

(arsh = sky, rahguzar = road)


2
zabaan ishq ke muNh meiN kahaaN hua karti
bas ik jabeen hi hoti hai jo jhuka karti
khata bhi yaar ki lagti hai jaise shokh ada
kami bhi yaar ki yakta use kiya karti

(jabeen = forehead, yakta = unique)


3
wafa meiN ahed-e-wafa to zaroor ho jaata
tawakko jis se magar rak’kho door ho jaata
gunaah-gaar naheeN kaun “zarraa” ulfat meiN
bhala hi karne ko nik'lo kasoor ho jaata

(tawakko = expectations)


- ZARRAA




wah wah wah......!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: June 22, 2013, 09:18:13 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek bahut achhi koshish hai zarraa sahab..bahut khoob..happy9

Nashwani ji, pasand karne ka shukriya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: June 22, 2013, 10:50:20 AM »
Reply with quote
waah waah aapkee mehnat kaamyaab ho
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: June 22, 2013, 11:27:22 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah, bahut hi khoobsoorat nazm hai, dili daad qubool kareiN.


Iftakahar ji .... Is zarranawazee ka shukriya mere dost
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: June 22, 2013, 12:14:17 PM »
Reply with quote

H
hmmmmmmmmm interesting, zarra saaheb ye naya rang kaun sa hai...?? par jo bhi ho, hai bada gaadha aur jabardast, apaki ye kosish bahut pasand aayi, umeed karta huN yuNhi aage bhi aapke kalam ke aur bhi rang dekhne ko mileNge hume...
Haan bhai ... Waqt aur umr ke saath saath sabhi rangon se dosti bana kar rakhni chaahiye, kyunki jaise Ghalib ka misra hai " aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage" ... :)Bhai phir se itni mohabbat se padhne ka aur dariyadilee se daad dene ka bahaut bahaut shukriya Taish bhai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2013, 12:16:48 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
mohabbat se bhari bahut hi khoobsurat nazm pesh ki hai aapne zarraa ji. Is khoobsurat kalaam par hamari hazaron dili daad qubool kijiyega.
Logged
khujli
Guest
«Reply #11 on: June 22, 2013, 12:18:53 PM »
Reply with quote
dostoN...aadaab...is baar ek alag koshish ... nazm hai, mohabbat ki, mukhtasar si ...


1
kaha tha maaNg teri taaroN se saja deNge
kaha tha sar pe tere aasmaaN udha deNge
agar falak na ye ut'rega tere aaNgan meiN
zameeN se arsh talak rahguzar bana deNge

(arsh = sky, rahguzar = road)


2
zabaan ishq ke muNh meiN kahaaN hua karti
bas ik jabeen hi hoti hai jo jhuka karti
khata bhi yaar ki lagti hai jaise shokh ada
kami bhi yaar ki yakta use kiya karti

(jabeen = forehead, yakta = unique)


3
wafa meiN ahed-e-wafa to zaroor ho jaata
tawakko jis se magar rak’kho door ho jaata
gunaah-gaar naheeN kaun “zarraa” ulfat meiN
bhala hi karne ko nik'lo kasoor ho jaata

(tawakko = expectations)


- ZARRAA




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: June 22, 2013, 02:11:29 PM »
Reply with quote
waahhhhhh zarraa ji bade din baad aapko padha lekin sach maza aagaya ye aapki nazm padhkar ... behad dilchasp aur mahobbat se sarabor rahi aapki peshkash.... yunhi mehfil ki ronak bane rahiye.....

Kasak ji ... Achchha laga apka reply dekh kar ... Ji inaayat apne is nazm ko pasand karne ki ... Shukriya
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #13 on: June 22, 2013, 02:12:30 PM »
Reply with quote
WAAH ZARAA JI
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: June 22, 2013, 06:02:51 PM »
Reply with quote

wah wah wah......!


Shukriya Sheba ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 08:35:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer