Zindagi Kho Gai

by Riyaz Ashna on January 22, 2012, 07:12:23 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1595 times)
Riyaz Ashna
Guest
Reply with quote
             GHAZAL
Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai

Riyaz 'Ashna'
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: January 22, 2012, 07:49:32 AM »
Reply with quote
             GHAZAL

Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai

Riyaz 'Ashna'


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: January 22, 2012, 10:46:44 AM »
Reply with quote
             GHAZAL

Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai  Applause Applause Applause Applause

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai Applause Applause hajaro daad is khayaal par vaah

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai Applause Applause

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai Applause Applause bahut umda

Riyaz 'Ashna'

bahut khoob Riyaz saheb
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2012, 11:49:27 AM »
Reply with quote
            GHAZAL

Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai

 Applause Applause Applause Applause

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai

acha sher hai

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai



bahut khoob.....!

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai


 bahut khoob.....!


Riyaz 'Ashna'[/size]


bahut khoob riyaz sahab................!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: January 22, 2012, 12:13:03 PM »
Reply with quote
Riyaz sahab aadaab o salaam!

janab behad khub aur umda kalaam pesh ki hai aapne...

sabhi aashaar masha allah behad khub aur umdaa rahe...

puri kalaam par humari dili daad o mubarakbad kabul kijiye...

likhte rahiye, aate rahiye khush o aabaad rahiye...
khuda hafez...
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #5 on: January 22, 2012, 01:01:26 PM »
Reply with quote
boht khoob riyaz ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2012, 03:59:16 PM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Adil Sahab pasand farmane ka bahot shukriya.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: January 22, 2012, 04:20:46 PM »
Reply with quote
bahut khoob Riyaz saheb
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
mkv ji aapka behad shukriya ke aapne meri hausla afzaari ki.
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #8 on: January 22, 2012, 04:36:44 PM »
Reply with quote
             GHAZAL

Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai

Riyaz 'Ashna'

Bahut badhiya kalaam hai Riyaz Saheb.
Waah!  Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: January 22, 2012, 04:44:45 PM »
Reply with quote

bahut khoob riyaz sahab................!

Sheba ji main tah-e-dil se aapka shukriya adda karta hun ke aapne meri is adna si koshsh ko pasand farmaya. Khush rahiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2012, 05:22:05 PM »
Reply with quote
Riyaz sahab aadaab o salaam!

janab behad khub aur umda kalaam pesh ki hai aapne...

sabhi aashaar masha allah behad khub aur umdaa rahe...

puri kalaam par humari dili daad o mubarakbad kabul kijiye...

likhte rahiye, aate rahiye khush o aabaad rahiye...
khuda hafez...

Parwaz sahab aapka mashkoor hun ke aapne meri koshish ko pasand farmaya. Aapka pasand farmane ka andaaz bahot pasand aaya. Koshish karunga Yo par musalsal aata rahun. Kush Rhiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2012, 05:46:06 PM »
Reply with quote
boht khoob riyaz ji
Saahill ji, pasand farmane bahot bahot shukriya. Ummed aainda bhi nazr-e-inayat bani rahegi.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2012, 06:09:19 PM »
Reply with quote
Bahut badhiya kalaam hai Riyaz Saheb.
Waah!  Applause Applause Applause Applause

Usha ji aapka behad shukriya ke aapne meri is koshish ko pasand farmaya aur hausla afazaai ki.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #13 on: January 22, 2012, 06:57:49 PM »
Reply with quote
Bahot khoob Riyaz Sahab,
Muddaton baad aapki ghazal padhne ko mili dil khush ho gaya..kya kalaam pesh kiya hai dard se labreez har sher apne aap me naayab hai..!!


Aapse mikar bekhudi chha gai,
Jaise sahra men zindgi aa gai.


            GHAZAL
Hasratein mit gaeen, har khushi kho gai
Tum gaye to meri zindagi kho gai

Meri qismat me sahra tha so mil gaya
Haaye wo husn ki ik nadi kho gai

Paas mere khizaan, duur hai wo bahar
Phool murjha gaya, taazgi kho gai

Yaadon ki aag mein jism-o-jaan jal rahe
Kaise paaun sukun, chaandni kho gai

Main khatawaar hun bakhsh de ae khuda
Ishq ki raah mein bandagi kho gai

Riyaz 'Ashna'

Logged
Riyaz Ashna
Guest
«Reply #14 on: January 23, 2012, 02:34:10 AM »
Reply with quote
Bahot khoob Riyaz Sahab,
Muddaton baad aapki ghazal padhne ko mili dil khush ho gaya..kya kalaam pesh kiya hai dard se labreez har sher apne aap me naayab hai..!!


Aapse mikar bekhudi chha gai,
Jaise sahra men zindgi aa gai.

 
Pandey sahab apki zarranawazi hai hai ke aapne ghazal ko pasand farmaya aur hausla afzai ki. Ye sahi hai ke muddat ke bad hazir hua hun. Ab regular rahne ki koshish karunga. Aaka kalam bhi bahot achha laga.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:55:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.278 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer