11/11/11 se 22/11/11 tak ke 11 dino ki meri ek dard bhari kahaani.....Mere Dard ke Aalam ke shaayaraanaa andaaz ki zubaani.....

by Abhay1409 on September 28, 2014, 10:57:40 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1345 times)
Abhay1409
Guest
1st time Abhay Shukla updated a conversion of CHAPTER named 45 DAYS OF HELL of his AUTOBIOGRABHY (DESTINY OR DESTINATION) into poetry (shaayari) of DARD KA AALAM...
Ek ajab dard ki gajab daastaan mai aaj apni aapko sunata hu
Yaad kar leta hu jab unn dino ko to aaj bhi ek sihran si mehsus hote apne jism par pata hu
11/11/11 ko shuru hua tha kuch aisa safar jo shaayad mai tay na kar pata
Agar 11 dino se jaadaa fasaa rehta uss nark me to mai yakinan mar hi jata
Vo 11 din jo 11/11/11 se shuru huye shayad 11 saal se jaadaa the
Aur hum bhi jald se jald maut paane ko aamaadaa the
Kyo ki unn dino kaa vo asahniya dard mere jism ko kamjor kar rahaa tha
Mehsus karne ki koshish kariyegaa uss waqt mujh par kya gujar rahaa thaa
Rakkt mera mere jism se beh rahaa tha
Maut ke intejaar me mai vo dard seh rahaa thaa
Unn barf ki chaadaar odhe kohre bhari raato me mujhe kiyaa jaataa tha nirvastra
Mere aas pass khade sabhi logo ke hatho me hota tha lohe aur lakdi kaa shastra
Fir ek lohe ki sariyo ke bistar par mujhko letaayaa jata tha
Aur kuch der baad mai apne hath pairo ko rassi se bandhaa paataa thaa
Vo rassi itni jor se mere hath pairo ko jakadti thi
Ki mere jism ki haddiyaa ek ek kar akadti thi
Fir kuch der baad ek ek kar boond tapakti thi rassi se mere khoon ki
Yaad hai aaj bhi pairo ko upar bandhvaa kar kaati thi jo raate maine maut ke junoon ki
Chahta tha rona lekin boonde aansu ki bhi na mere paas thi
Kyo ki jism ko mere 18 ghante se paani ki pyaas thi
Mere bhukhe pet ko 3 din poore hone jaa rahe the
Aur baaki sab vahaa apna apna pet bhar ke sone jaa rahe the
Uss raat jaanaa roti k ek tukde ki kimat kya hai
khaane ki thaal ki ahamiyat kya hai
aaj bhi aansu aa jaate hain jab suntaa hu logo ke muh se
Khaanaa bach rahaa hai to koi baat nahi, chod do pareshaan hone ki jarurat kya hai
Uss waqt yaad aa rahaa thaa maa ke aanchal me sonaa
Maa ki god me sar rakh kar rona
Meraa vo nani ko pareshaan karna
Shaayad bhul gayaa tha mai apne aur paraaye me pehchaan karna
Jiski sajaa mai jhel rahaa tha
Zindagi aur maut ke bich khel rahaa tha
Abhi raat maine aadhi gujaari thi
Asal dard sehne ki to ab aayi meri baari thi
Vo barfaani raato ka kohraa aur upar chalte pankhe se mera jism kap rahaa tha
Bukhaar se mera ek kapde se dhakaa jism aag ki tarah tap rahaa thaa
Ab to hath pairo ka khun bhi rassi par jam gayaa thaa
Uss waqt har pal zindagi kaa dikhaayaa hua har gam nayaa thaa
Raat ke 10 se subah 10 baje tak ke 12 ghante ka waqt jab kat gayaa
Rassi khulne ke baad aisa lagaa jaise mera jism kayi hisso me bat gayaa
12 ghante baad jab zamin par maine apnaa pair rakhaa to chal na paayaa
Fis saamne khade ek shaksh ne mujhe maarne ke liye dandaa uthaayaa
Dar ki vajah se chote chote kadamo se mai chalne lagaa
Lagaa jaise namak apne hi jakhmo par mai malne lagaa
Ek hukm aataa tha thaa sabko maaro, to poore sharir par dando se ghaav kiye jaate the
Fir hum behoshi ke baad hosh me aate hi khud ko rassi se bandhaa hua paate the
Mujhko baandhne ke baad kuch log mere jakhmo par namak daalte the
Kaise kahe hum aapko kiss tarah apne dard ko sambhaalte the
do shakks aise the jo zindagi se haar maan chuke the
do insaano ko maar kar thak vo haivaan chuke the
12 ghante me ek glass paani vo mujhe pilaate the
3 din me ek baar khaanaa vo mujhe khilaate the
Do insaano ko to unn haivaano ne duniya se door kar diyaa
Fir mujhe kyo din-raat dard sehne par majboor kar diyaa
Meri ek kalaai ki ek haddi baahaar aa rahi thi
Khoon ki syaahi naakhuno me bharti jaa rahi thi
Mere saamne chote chote baccho kaa balaatkaar hota thaa
Sharmsaar ho jaayegi meri syaahi agar bataa diyaa vahaa kya kya attyaachaar hotaa tha
Bahut kuch nahi kahaa jo hai bataane ko
Bahut se jajbaat bache hain abhi jataane ko
Tej nazar ko ek nazaaraa hi bahut hai
Samajhdaar ko ishaaraa hi bahut hai
11 dino tak ye silsilaa yu hi chaltaa rahaa
Lagaa jaise ki mai kisi aag me 11 dino tak jaltaa rahaa
Maine to baahar ki duniya ke baare me sochna hi chod diya thaa
Jo dil khwaaishe hazaar liye ghumtaa hai usko khud hi tod diya tha
Mujhe nahi pataa 22/11/11 ko mai kyu aazaad hua
Kisi paap ki kimat chukaai yaa bevajah yu hi barbaad huaa
Galtiyaa to sabse hoti hai, maine kya kya kiya zindagi me sab mujhko yaad huaa
Aaj khush reh letaa hu ye soch kar ki sazaa kaat kar hi mai aabaad hua
Ye thi unn 45 dino ke nark ki daastaan
Jinn me aakhiri 11 dino me maine dard sahaa thaa be-intehaan
45 din tak na dekh paayaa tha dhoop,chand,taare aur aasmaan
Iss duniya se ho gaya tha mai anjaan
Lagta tha jaise tha mai pal do pal ka mehmaan
Jaise choot chuka tha mujh se mere apno ka jahaan
Jiss ne mujhe himmat di uss bure waqt me, wo jarur kahi na kahi hai mere sath mera bhagwaan...
GIVE ME YOUR FEEDBACK at shaayarabhay@gmail.com OR www.facebook.com/dardkaaalam
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 29, 2014, 02:12:33 AM »
 icon_flower icon_flower
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: September 29, 2014, 03:40:34 AM »
 icon_flower icon_flower
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: September 29, 2014, 08:52:39 PM »
bahut khoobsurat. icon_flower Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:32:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer