Aabaad na tha ye dil

by qqplus on November 21, 2010, 01:41:29 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1218 times)
qqplus
Guest

aabad na tha ye dil magar veeran nahi tha
tere khayalo me tha ulza magar hairaan nahi tha

kitne azeez the hum kitne kareebtar the
hamdard tha main tera par raazdan nahi tha

muze pata hai tu itni bhi nasamaz nahi thi
maine bhi kuch kaha tha; main bezubaan nahi tha

kitne duur the, apne khwab haqeeqaton se
kya apni zamee nahi thi, kya aasma nahi tha

kyu hamsafar na the hum, kyu hamnaseeb nahi the
kya main hamkhayaal nahi tha, kya tu hamzubaan nahi tha

koi dard bhari ghazal tuze humne bhi sunaai thi
fir der tak tera uspe koi bayaan nahi tha

tu bhi to jaanti hai ke manzil nazar me thi
fir bhi kehte rahe hum ke safar aasan nahi tha

teri aankhon ke aasu shayad ZIYAAD ke naam ke na ho
yu aankho se beh jane ka uska armaan nahi tha
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: November 22, 2010, 06:47:21 AM »
bahut khoob ziyad ji.....
Logged
zarra
Guest
«Reply #2 on: November 22, 2010, 05:09:22 PM »
bahaut acchaa ziyad ji ...

kitne azeez the hum kitne kareebtar the
hamdard tha main tera par raazdan nahi tha

wah !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: November 22, 2010, 05:23:42 PM »
wahhh wahhh wahhhh....
ziyaad ji bht hi umda likha hai aapne.....yunhi likhte rahiye...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: November 22, 2010, 05:29:59 PM »
bahoot umda likha aapne qqplus sahab.....har sher bahoot khoob
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: November 22, 2010, 09:18:39 PM »
bahut badhiya likha hai aapne...

Intezar !
Logged
qqplus
Guest
«Reply #6 on: November 23, 2010, 03:55:07 PM »
Shuqriya!

aab sab hi ka teh-e-dil se shuqriya.
bahot acchha laga ke aapne pasand kiya, saraaha.

shuqriya.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 18, 2024, 02:22:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer