~Aaina~

by Sonia01 on July 15, 2008, 03:12:10 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2215 times)
Sonia01
Guest
Parkhiye mat - parkhne se koi apna nahi rehta
Aaine mein koi bhi chehra , der tak nahi rehta ,
baade logo se milne mein fala rakhiye
jahan dariya - sagar mein mil jaaye
woh dariya nahi rehta !!!(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaina by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Aye but-e-Aaina seema tu abad ke he misaal by khalidrawat in Shayari-e-Parastish
AAINA by ANKIT RAO in Miscellaneous Shayri
!!__-Main Aaina tha -__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAINA by SAMIR SHARMA in Shayri-E-Dard
angel4u
Guest
«Reply #1 on: July 16, 2008, 02:36:24 AM »
True...
Nice sharing dear
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2008, 05:40:17 AM »
Parkhiye mat - parkhne se koi apna nahi rehta
Aaine mein koi bhi chehra , der tak nahi rehta ,
baade logo se milne mein fala rakhiye
jahan dariya - sagar mein mil jaaye
woh dariya nahi rehta !!

Sani baba,,, aajkal badhiya kalaam share ho rahe hain... kya baat hai...


Aap bhi ab bade logon ke jaise ho,,
Kya the kal aaj kaise ho gaye ho,,
Aap jaise doston se lagne laga hai dar,,
Na apna kahte ho na paraya naam dete ho..


|Syed Naami|


Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2008, 05:50:59 AM »
Parkhiye mat - parkhne se koi apna nahi rehta
Aaine mein koi bhi chehra , der tak nahi rehta ,
baade logo se milne mein fala rakhiye
jahan dariya - sagar mein mil jaaye
woh dariya nahi rehta !!

Sani baba,,, aajkal badhiya kalaam share ho rahe hain... kya baat hai...


Aap bhi ab bade logon ke jaise ho,,
Kya the kal aaj kaise ho gaye ho,,
Aap jaise doston se lagne laga hai dar,,
Na apna kahte ho na paraya naam dete ho..


|Syed Naami|

Yeh kya dikhlaya aaina
Jo na they hum aisa chehra dikhlaya

Doston se juda hone ka waqt aaya
Apni pasand sab apno ke saat baantne ka waqt aaya
 tearyeyed
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2008, 06:15:19 AM »
Tere waade teri qasmen,,
Tum ab bhoolte ho kyun,,
Anjaane se lagte ho kyun,,
Meri har baat ko thhukraate ho kyun..
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: July 16, 2008, 06:19:40 AM »
bahot acha sharing hai sonu...
bahut khoob syed ji...


Jab kisi se koi gilaa rakhanaa,
saamane apne aaina rakhnaa,
Yun ujaalon se waasta rakhanaa,
shammaa ke paas hi hava rakhnaa,
Ghar ki taamiir chaahe jaisi ho,
is mein rone ki jagah rakhnaa,
Masjiden hain namaaziyon ke liye,
apne ghar mein kahin Khudaa rakhnaa,
Milnaa jhulnaa jahaan zaroori ho,
milne-jhulne ka hauslaa rakhnaa...NM
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #6 on: July 16, 2008, 06:21:47 AM »
 sad10

Yeh unkahi baathein baltate ho kyu?
Jo nahi hua uska shikayat karte ho kyu?

Aankhein num hai dil hai udas
Apni dil ki aaine main hame basate nahi hai kyu?  sad7
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2008, 06:24:25 AM »
bahot acha sharing hai sonu...
bahut khoob syed ji...


Jab kisi se koi gilaa rakhanaa,
saamane apne aaina rakhnaa,
Yun ujaalon se waasta rakhanaa,
shammaa ke paas hi hava rakhnaa,
Ghar ki taamiir chaahe jaisi ho,
is mein rone ki jagah rakhnaa,
Masjiden hain namaaziyon ke liye,
apne ghar mein kahin Khudaa rakhnaa,
Milnaa jhulnaa jahaan zaroori ho,
milne-jhulne ka hauslaa rakhnaa...NM


Thank you Punam dear. Mera pasandila sher share ki aapne... thank you aap ko jee

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
(NM)
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: July 16, 2008, 06:28:15 AM »
bahot acha sharing hai sonu...
bahut khoob syed ji...


Jab kisi se koi gilaa rakhanaa,
saamane apne aaina rakhnaa,
Yun ujaalon se waasta rakhanaa,
shammaa ke paas hi hava rakhnaa,
Ghar ki taamiir chaahe jaisi ho,
is mein rone ki jagah rakhnaa,
Masjiden hain namaaziyon ke liye,
apne ghar mein kahin Khudaa rakhnaa,
Milnaa jhulnaa jahaan zaroori ho,
milne-jhulne ka hauslaa rakhnaa...NM


Rakhenge aap ko jahan rakhna hoga,,
Fikar karke yahan kya faaida hoga,,
Chale aayege ek din aap ke paas,,
Phir jo hoga Manzoor-e-khuda hoga..


SN
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2008, 06:34:29 AM »
sad10

Yeh unkahi baathein baltate ho kyu?
Jo nahi hua uska shikayat karte ho kyu?

Aankhein num hai dil hai udas
Apni dil ki aaine main hame basate nahi hai kyu?  sad7


Hamen hai aap se shikva,,
Ghair jo ban rahe ho tum,,
Mere dil ka aaina tod kar,,
Barbaad hum ko kar rahe ho tum..


SN
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: July 16, 2008, 06:46:45 AM »

Hamen hai aap se shikva,,
Ghair jo ban rahe ho tum,,
Mere dil ka aaina tod kar,,
Barbaad hum ko kar rahe ho tum..


SN

Humse ab na koyi shikayat kar
Dil se hame yaad na kar

Naseeb se mili thi yaari teri
Yu shikayat karke mujhe dhur na kar

Jee ber ke aaj baat kar lo
Gila shikwe se waqt berbad na kar

Kya pata kal hum ho na ho
Aaj pyar se gale mil aur bida kar
sad5
Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: July 16, 2008, 07:03:08 AM »
Khabar to hum bhi rakhenge,,
Kahin bhi tu basera kar,,

Naseebon se nahin khelo,,
Khud apni taqdeer paida kar,,

Baaten karni thi buhat tumse,,
Magar ab yaad tu hamen bhi kar,,

Kya hoga iski khabar Khuda ko hai,,
Ek bar mere khat ka koi to javaab kar..

SN
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #12 on: July 16, 2008, 07:37:07 AM »
Meri Khabar lene ke liye Kaber mein na aaya kar
Kahi b rahu mai udke mere pass aa jaya kar

Mai khud naseeb se pareshan
Kya khelu apni naseeb se yeh samja kar

Kahi bi rahu mai, dil yaad karta rahega
Tum sirf dil se dua kiya kar

Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: July 16, 2008, 07:54:18 AM »
Achha hua qabar ka havaala de diya,,
Main to dhhoond raha tha tumhen gulistaan men..

Tum naseeb ko badal nahin sakte,,
Par kya rakha hai sirf pareshaan hone men,,

Tum ko dekhte hain yahan roz aur,,
Dua dil se hi dete hain sada tumhen..

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #14 on: July 16, 2008, 08:06:36 AM »
Mere sare sapne ek ek karke dafna gaya
Ek ek sapna se aansoo meri behta gaya

Saat chalte chalte ek tokkar kya lagi
Hum gir gaye fir bi paav chalta gaya

Dil ka dard wahi ka wahi reh gaya
Meri khushiyan aur khwaab dard bankar reh gaya

Ham ab nahi dikhayi denge yahan
Mere sang ab sirf tanhayi reh gaya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:29:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer