Aaj aankhein kyun na lahu royein

by clicksahil on March 01, 2005, 05:05:18 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 643 times)
clicksahil
Guest
Aagosh neend se jagah gaya ek shakhs
Tod ke khwab ko khwab de gaya ek shakhs
Nafrat karta tha jinse kabhi
Palkon pe meri wahi jhalar saja gaya ek shakhs
Tut ke shakhon se kai gul bikhar gaye
Qarib chaman ke gujra jo ek shakhs
Darta tha jin raston se main kabhi
Inhi raston ka mushafir bana gaya ek shakhs
Aaj aankhein kyun na lahu royein
Pataa apna jo galat bata gaya ek shakhs
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
lahu ke ansuu by shyama in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aaj aankhein kyun na lahu royein by clicksahil in Shayri-E-Dard
lahu by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
KUCHH LOGON KE LAHU by babasatyajaunpuri in Shairy-E-Watan
LAZAT LAHU KEE by surindarn in Miscellaneous Shayri
HumTum
Guest
«Reply #1 on: March 01, 2005, 01:08:55 PM »
Quote from: "clicksahil"
Aagosh neend se jagah gaya ek shakhs
Tod ke khwab ko khwab de gaya ek shakhs
Nafrat karta tha jinse kabhi
Palkon pe meri wahi jhalar saja gaya ek shakhs
Tut ke shakhon se kai gul bikhar gaye
Qarib chaman ke gujra jo ek shakhs
Darta tha jin raston se main kabhi
Inhi raston ka mushafir bana gaya ek shakhs
Aaj aankhein kyun na lahu royein
Pataa apna jo galat bata gaya ek shakhs


kya baat hai ..... bahut achey.....

bna ke duaN hamey uda gya Ek shakhs
ke jal rahey they hum, buja gya Ek shakhs

ussi ke tassuvar mein kateY raat din "HumTum"
mein kya tha, aur mujhey kya bna gya Ek shakhs

khuda kush rakhey us Sitamghar ko hamesha
jo har pal hamey rula gya Ek shakhs....... :cry:

HumTum
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: March 01, 2005, 01:49:15 PM »
Quote from: "clicksahil"
Aagosh neend se jagah gaya ek shakhs
Tod ke khwab ko khwab de gaya ek shakhs
Nafrat karta tha jinse kabhi
Palkon pe meri wahi jhalar saja gaya ek shakhs
Tut ke shakhon se kai gul bikhar gaye
Qarib chaman ke gujra jo ek shakhs
Darta tha jin raston se main kabhi
Inhi raston ka mushafir bana gaya ek shakhs
Aaj aankhein kyun na lahu royein
Pataa apna jo galat bata gaya ek shakhs

very nice  Sahil... n nice1 HumTum...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: March 01, 2005, 02:23:47 PM »
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "clicksahil"
Aagosh neend se jagah gaya ek shakhs
Tod ke khwab ko khwab de gaya ek shakhs
Nafrat karta tha jinse kabhi
Palkon pe meri wahi jhalar saja gaya ek shakhs
Tut ke shakhon se kai gul bikhar gaye
Qarib chaman ke gujra jo ek shakhs
Darta tha jin raston se main kabhi
Inhi raston ka mushafir bana gaya ek shakhs
Aaj aankhein kyun na lahu royein
Pataa apna jo galat bata gaya ek shakhs

very nice  Sahil... n nice1 HumTum...


teh dil se Shikriya kabool kijiye...Aryaan ji...:D
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #4 on: March 02, 2005, 02:04:39 PM »
Shukriya doston ... aap ka bahot bahot

Itni taqlif dil par li par kuch hasil na hua
Ek chehra tha kabhi aankh se ojhal na hua
Qatl karke bhi wo qatil mera qatil na hua
Dur he dur raha mere muqabil na hua
Tu mujhe bhul gaya hai to koi baat nahi!
Main teri yaad se ek pal bhi gaafil na hua
Dard de kar mujhe na jane kahan baitha hai
Chhot khakar hamein kuch bhi to haasil na hua
Aise waise to bahot aaye the aye dost
Ek tu he meri mehfil mein shamil na hua
Khelte rehte hain wo aanthon paher jisse SAHIL
Ek khilona he hua dil to mera dil na hua
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:27:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer