Aaj apni mahobbat ka hame ye anjaam mila

by manu1979 on May 31, 2006, 10:12:53 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1155 times)
manu1979
Guest
Aaj apni mahobbat ka hame ye anjaam mila,
Vafa hamne ki aur "Bewafaa" hame naam mila.

Umrabhar kaati raate chand ki talaash mai,
Aur mila to phir vohi khaali aasmaan mila.

Jindgibhar bhatkate rahe jinko dhoondhte hue,
Kabra mai apni hame vohi chain-o-araam mila.

Ask gire jo puchh bethe kaun rahta hai aankho mai,
dil chir k dekha to tera hi paigaam mila,

Phir sadiyo ki judaayi,vohi khamoshi vohi tanhaayi,
Ye dekho dil lagaane ka hame dilnashi inaam mila.

Rah-e-gujar thi teri jinpe ham chalte the,
Aaj hamko ispe apna hi dil-e-nakaam mila.

Khuda se mangaa tha jise duao me,
haatho ki lakiro mai usk na hone ka nisaan mila.

Aarzu dafan kardi hamne apne hi dil ki mitti mai,
Manzil-e-ishk mai silsil-e-nauhagiri hame to hargaam mila.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anjaam by muneeb in Shayri-E-Dard
Maangi thi khushi, Gam mila. Pyar ke badle, Sitam mila by KaMaL in Shayri-E-Dard
Yahan apni apni bari par... by maya01 in Shayri-E-Dard
hame apni julfo me by mkv in Share:Love Poetry
HAMEIN KHUD APNA PATA APNI KHILWATAUN SAY MILA by ismail roushan in Ghazals
nikki
Guest
«Reply #1 on: May 31, 2006, 10:17:39 AM »
superbbb Manu ji....

usko khushi ki dhoop mili
aur humein andhera aasmaan mila
fir bhi koi gila nahi
kyunki yeh to ussi ki mohabbat ka anjaam tha
jo humein bewafa naam mila
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #2 on: May 31, 2006, 10:34:38 AM »
hi niikiji kaisi hai aap ,bahut hi achha laga ap ko meri post par dekh kar,mai chahat hu aap hamesha hosla dete rahegi mujhe isi tarah ,kuchh gham ji jindagi mai milte hai vo dosto se alphaazo mai sher karne ka mazaa aata hai, mujhe yaha ap jaise dosto ko dger saara pyar mila is ke liye shukriya ada karta hu aap sab ka

aur kuchh reply dene ki koshish karta hu aap ke sher par


Meri wafaao ko tum yun thukraaoge kabhi maine ye socha na tha
Yun has ke mere saamne ger ki baaho mai jaage ye socha na tha



Maine rakha hai tumhe dil mai jazbaato ki tarah
dil se takraa ke tut ke bikhar jaaoge ye socha na tha
Zeli hai tere liye zamaanebhar ki rushwaayian maine
mere haalat par yun tum bhi mushkuraaoge ye socha na tha

besabab to na thi mere dil ke dhadakane ki vajah
teri furakt mai vo pal pal mere dil ke tadpane ki vajah
maine socha ke mil jaao lamhabhar to lipat jaau tumse
Hawao ki tarah tum chhu ke gujar jaaoge ye socha na tha
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: May 31, 2006, 10:38:08 AM »
u r always welcome Manu ji.....bahut hi acha likha hai aapne..

meri bebasi ko tum bewafayi samajh baithe ho
kaise bataon majboor thi main aur tum kya se kya samajh baithe ho
saath chalne ka vaad karke raasta tum badal gye
main aaj bhi wahin hun..tum na jaane kahan aur kiske saath chal nikle ho
Logged
manu1979
Guest
«Reply #4 on: May 31, 2006, 10:47:46 AM »
Quote from: "nikki"
you r always welcome Manu ji.....bahut hi acha likha hai aapne..

meri bebasi ko tum bewafayi samajh baithe ho
kaise bataon majboor thi main aur tum kya se kya samajh baithe ho
saath chalne ka vaad karke raasta tum badal gye
main aaj bhi wahin hun..tum na jaane kahan aur kiske saath chal nikle ho


bahut hi khoob likha hai aap ne nikki ji dil mai utar gaya har alphaaz


Meri bebas si udaas raato mai tum hi thi
Shab-e-hijr-gam-e-barsaat mai tum hi thi
tum kya jaano kaise kaata hai tanha safar
Vo khwaabo ki anjuman-e-kaynaat tum hi thi
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2006, 10:50:15 AM »
very nice again...

thi agar mohabbat hum dono ki sachi to yeh judayi kyun aayi
kyun hum taraste hain tumhein dekhne ko
kyun tum kabhi baat bhi nahi karte..jaise tumhein kabhi meri yaad bhi nahi aayi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2006, 02:04:51 PM »
Wakayi Zazbaat aapke bahut acche Manu ji........bahut saaf saaf likha hai sab........its all Marvalous manu and Nikki....mehfil me hum bhi jald hee shamil honge....... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 01, 2006, 03:30:41 AM »
bahut khub Manu and Nikki..............bahut sundar likha hai aapne
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #8 on: June 02, 2006, 05:08:55 PM »
Quote from: "nikki"
very nice again...

thi agar mohabbat hum dono ki sachi to yeh judayi kyun aayi
kyun hum taraste hain tumhein dekhne ko
kyun tum kabhi baat bhi nahi karte..jaise tumhein kabhi meri yaad bhi nahi aayi




hi nikki ji har baar jo kuchh likhti hai kamal ka likhti hai
ye hai aap ka jawaab

Judaayi mai tadapna ek mithi si saza hota hai
Vo bekaraari se milan ka aur hi maza hota hai
ham teri yaad se hi to ab tak jiyaa karte the
Varna is zindagi ka dujaa naam kazaa hota hai

manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #9 on: June 02, 2006, 05:14:49 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Wakayi Zazbaat aapke bahut acche Manu ji........bahut saaf saaf likha hai sab........its all Marvalous manu and Nikki....mehfil me hum bhi jald hee shamil honge....... Usual Smile



mahfil mai aap na jaane kab aaoge ye intzaar mai hai badnaam ji ham to

shayar aaye badnaam mahfil mai kuchh to rang khila kare
hame  dil se likhne ki behtareen kuchh to wajaa mila kare
yun to likhte hai kuch na kuch bewajah is daur-e-mahfil mai
aap aaye  is anjuman mai kuchh ghazalo ka silsilaa kare

regards
manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #10 on: June 02, 2006, 05:24:40 PM »
hi ranjana ji

hame ab bhi intzaar mai ke  aap ko agar meri ye post pasand aayi ho to kuchh likhe

na jane kyun in aankho ko meri bas tera hi  intzaar rahta hai
Kho gaya hai shayad mera tujh mai kahi vo pyaar rahta hai
teri yaade, teri baate, vo lamhe teri khushbu si mulaakate
tere bin na jee sakenge jane kyun dil ko ye aasaar rahta hai

regards
manu
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #11 on: April 02, 2013, 03:14:23 AM »
So nice/
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:38:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer