---- /// Aaj bhi meri maa roti hai /// ----

by klaskar on April 22, 2010, 06:16:07 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 6542 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: April 23, 2010, 02:24:25 PM »

Aapki is nazm ne jaane kitni yaadon ko aankhon main laa diya, Kapil Ji..."Aaj bhi meri Maa roti hai"...Bohot bohot khoob....!!

 Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
roti by Tanha Akash in Shairy-E-Watan
ma roti by biswas_amitabh in Shairi - E - Zindagi
Shama Ab Her Pal Roti Hai by Roja in Shayri-E-Dard
roti ke khwaab by Neel1525 in Shayri-E-Dard
tu roti hai to lagta hai !!! by sarfira in Shayri-E-Dard
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #16 on: April 23, 2010, 02:30:48 PM »
Talat ji main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon ki aapne apne kimti waqt me se kuch waqt nikaal k meri kavita ko diya... kisi beti ki peeda main nahi samajh sakta ... fir bhi ek chhoti si koshish ki hai... aapne pasand kiya jaanke bahut achcha laga... bahut bahut shukriya Talat ji...!!!

Aapki is nazm ne jaane kitni yaadon ko aankhon main laa diya, Kapil Ji..."Aaj bhi meri Maa roti hai"...Bohot bohot khoob....!!

 Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: April 25, 2010, 02:39:31 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lafzon Mein kehna Mushkil Hoga kapil Ji ke Aapki yeh Nazm Sach Maayne Mein Dil Ko Kitna Chuuti Hai..Itni Simplicity se aapne woh baatein likhi Hai Jo Ek ladki Ki Zindagi Ko darshaati Hai..Bahut Hi gehre Aur Haqeeqat Se Juudi Hui Baatein Likhi hai Aapne..

Bahut Ache.. Thumbs UP
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #18 on: April 26, 2010, 11:48:32 AM »
bahut bahut shukriya Khwaish ji... aapne apne kimti waqt me se hamari kavita ko thoda sa waqt diya aur ise saraha ... bahut bahut shukriya Khwaish ji...!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lafzon Mein kehna Mushkil Hoga kapil Ji ke Aapki yeh Nazm Sach Maayne Mein Dil Ko Kitna Chuuti Hai..Itni Simplicity se aapne woh baatein likhi Hai Jo Ek ladki Ki Zindagi Ko darshaati Hai..Bahut Hi gehre Aur Haqeeqat Se Juudi Hui Baatein Likhi hai Aapne..

Bahut Ache.. Thumbs UP

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #19 on: April 26, 2010, 12:59:24 PM »
Wah wah wah kya baat hai Kapil-ji bahoot he dil ko chhune wali kavita hai aapki....Jeevan ki sachayeion se judi hui ek dard bhari rachna....pal pal Maa ko yaad dilati....rulati rulati rulati.... tearyeyed tearyeyed tearyeyed
keep it up...Kapil-ji
 Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause

Maa

Maa ek sukhad ahsaas hai,

Jo apne main hi kuch khas hai,

Jab jab dukh padta khud par,

“ MAA” naam aata jubaan par,

Maa ki gode main swarg lagta hai,

Har maa main rab basata hai,

Maa kaa saaya rahane se,

Bade bhi bcche lagate hain,

Lekin bin maa ke bcche bhi ,

Asamay he Budhe ban jaate hai,

Maa ka pyaar jeewant rakhta hai umer bhar,

Bin maa ke kaat hi nahi pati ek bhi pal,

Aaj phir mann bhar aaya hai kyonki,

MAA ka pyaar phir yaad aaya.

    ---NM-----
Darasal main kuch aur likhne ki koshish kar raha tha kuch aur hi ban gaya. Jo main likhna chah raha tha agar wo ban paaya to baad me pesh karunga. Is kavita me maine us ladki k baare me likha hai jisne apne janam se hi apni maa ko rote dekha hai aur aaj tak ro rahi hai uski maa...

jis din main is duniya me aayi,
roti hui aankhen thi meri maa ki,
ghum k nahi wo khsuhi k the aansun,
aankhen tab nam thi meri maa ki,
us din se roti hai meri maa,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

bachpan me mujhe chalna sikhaya,
maa ne hi maa kehna sikhaya,
mujhe agar kabhi chot lag jaati,
tab meri maa ki aankh bhar aati,
dard se tab meri maa roti thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

jab padhne ko college jaana tha,
aur rehne mujhe hostel jaana tha,
maa ki gili aankhon ne mujhko,
us roz bhi rokna chaha tha,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

jis din main bani thi dulhan,
tha mujhko duje ghar jaana,
saath apni maa ka chhodke,
tha ek naye ghar ko apnana,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

sochti hoon kabhi kabhi main,
kya uska aansu se hai naata,
aaj main usse dur hoon itna,
tab bhi meri maa roti hai,
janam se mere roti rahi hain,
aaj bhi aankhen nam hain uski,

aaj main tere paas nahi hoon,
maa pochhle aaj aansu tu apne,
ek roz mujhe bhi to hai maa banna,
par chahti nahi hoon main yu rona,
ye baat sun k maa fir royi thi,
aaj bhi aankhen nam hain uski...
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #20 on: April 26, 2010, 01:10:30 PM »
wah bahoth qoob kapil sahab .. kya kahene ..kya ahesas diya hai alfas ko jawab nahi .. mubarak baad apko is taqleeq ke liye .. khush rahen hamesha ..


qadeertoopchi
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: April 26, 2010, 02:13:44 PM »
bahut bahut shukriya Koyal ji... koshish ki hai kuch shabdon me ek ladki k dard ko pesh karne ki... bahut achcha laga jaan k ki aapko hamari kavita pasand aayi.... tahe dil se shukriya adaa karta hoon main aapka Koyal ji... bahut bahut shukriya...!!!

aapne bhi bahut khoobsurat poem share kiya hain...!!!

Wah wah wah kya baat hai Kapil-ji bahoot he dil ko chhune wali kavita hai aapki....Jeevan ki sachayeion se judi hui ek dard bhari rachna....pal pal Maa ko yaad dilati....rulati rulati rulati.... tearyeyed tearyeyed tearyeyed
keep it up...Kapil-ji
 Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause

Maa

Maa ek sukhad ahsaas hai,

Jo apne main hi kuch khas hai,

Jab jab dukh padta khud par,

“ MAA” naam aata jubaan par,

Maa ki gode main swarg lagta hai,

Har maa main rab basata hai,

Maa kaa saaya rahane se,

Bade bhi bcche lagate hain,

Lekin bin maa ke bcche bhi ,

Asamay he Budhe ban jaate hai,

Maa ka pyaar jeewant rakhta hai umer bhar,

Bin maa ke kaat hi nahi pati ek bhi pal,

Aaj phir mann bhar aaya hai kyonki,

MAA ka pyaar phir yaad aaya.

    ---NM-----
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: April 26, 2010, 02:16:46 PM »
bahut bahut shukriya Khwaish ji... aapne apne kimti waqt me se hamari kavita ko thoda sa waqt diya aur ise saraha ... bahut bahut shukriya Khwaish ji...!!!


Klaskar Ji,Agar Itni Pyaari kavita Ko Waqt Na Diya Jaye To Phir Kisse Diya Jaaye..

Aapki Likhi Kavita Ti hi Itni Khoobsurat Ke Nazrein Khud Bhar Khud Yahan Jam Gayi Usual Smile

Phir se, Bahut Hi Acha Likha Hai Aapne.. Thumbs UP
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: April 26, 2010, 02:59:08 PM »
bahut bhaut shukriya Qadeer ji...!!!

wah bahoth qoob kapil sahab .. kya kahene ..kya ahesas diya hai alfas ko jawab nahi .. mubarak baad apko is taqleeq ke liye .. khush rahen hamesha ..


qadeertoopchi
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #24 on: April 26, 2010, 03:00:12 PM »
bahut bahut shukriya Khwaish ji...!!!

Klaskar Ji,Agar Itni Pyaari kavita Ko Waqt Na Diya Jaye To Phir Kisse Diya Jaaye..

Aapki Likhi Kavita Ti hi Itni Khoobsurat Ke Nazrein Khud Bhar Khud Yahan Jam Gayi Usual Smile

Phir se, Bahut Hi Acha Likha Hai Aapne.. Thumbs UP

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #25 on: August 20, 2010, 04:58:04 AM »
HAR LINE ME MAA KI AANKHEIN YAAD AA RAHI THI KAPIL.....
WO FEELINGS JISE HUM SAMJHKAR BHI KAI BAR NAHIN SAMJHTE..DEKH KAR ANDEKHA KAR DEE HAIN..AAJ UNN FEELINGS PE GARV MEHSUS HUA...
PEHLE JAB MOM ROTI THI MAIN KEHTI THI KYA MAMMMA JAB DEKHO ROTE HO HAR BAT ME..BE BRAVE AISE NAHINKARTE....
AAJ WAHI FEELINGS MUJHE SUKUN DETI HAI......

YE POEM JARUR UNKO SUNAUNGI...APNI AWAZ ME RECORD KARKE.....SACH UNHE BHT ACHCHA LAGEGA....

THNX KAPIL ..JO MAIN MOM KOHAMESHA KEHNA CHAHTI THI NA KEH PAI AAJ SHAYD KEH DUNGI.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: August 20, 2010, 10:01:50 AM »
shukriya Kasak ji.... mere liye isse jyaada khushi ki baat aur kya ho sakti hai ki meri kavita aapse wo kehelwa rahi hai jo aap barson se nahi keh paayi... meri kavita ki izzat itni jyaada badhaane ke liye main aapka shukriya kin shabdon me adaa karun samajh nahi paa raha hoon...

aap mujhe batana jarur ki aapki mummy ko ye poem kaisi lagi... maine nahi sunaya ab tak apni maa ko... !!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:50:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer