Aaj kal, woh humse, Baat nahin karte hain

by KaMaL on December 06, 2004, 06:37:16 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 59258 times)
KaMaL
Guest
Aaj kal woh humse

Aaj kal, Woh humse, Baat nahin karte hain
Raat-se-din, Aur, Din-se-raat nahin karte hain
Aate rehte hain khayaalon mein harpal
Par asliyat mein, Mulakaat nahin karte hain

Kahan hain, Kaise hain, Aur, Kiss haal mein hain hum,
Bereham, Koi, Sawalaat nahin kartre hain

Ashkon mein doob gayee hain palkein, Aur, Fir zindigi bhi,
Band barasna, Ye, Ashk-E-Zazbaat nahin karte hain

Bhool gaye hain “MUSKAANA”, Aur, Koshish bhi chod dee hai ab to,
Kya karein, Manjoor ye, Haalaat nahin karte hain

Ek dum aa jaayein who saamne, Aur, Lag jaayein seene se
Ishwar(Bhagwan) bhi, Ab koi, Karaamaat nahin karte hain

Pyaar karte hain hum unse sachha, Koi bataye unhein, Uff
Koi kusoor hum, Aji, Huzooraat nahin karte hain

Khafa kyoun hain? Ye pata ho to, Mana lein unko
Par woh to, Koi bhi, Ishaaraat nahin karte hain

“KaMaL” ki patti pe jo shabnam hai, Sookh na jaaye
Kisi ki zindigi, Yoon hi, Barbaad nahin karte hain
Logged
arzoo
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2004, 06:55:46 AM »
nice wordings...kamal
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #2 on: December 06, 2004, 02:12:01 PM »
Thanks  arzoo ji
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: December 06, 2004, 05:40:55 PM »
wahhhhhhhhhhhhhhh

"Bhool gaye hain “MUSKAANA”, Aur, Koshish bhi chod dee hai ab to,
Kya karein, Manjoor ye, Haalaat nahin karte hain "

beautiful lines hai yeh apki!!!!!!!!!!!!
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #4 on: December 06, 2004, 06:14:45 PM »
Quote from: "KaMaL"
Aaj kal woh humse

Aaj kal, Woh humse, Baat nahin karte hain
Raat-se-din, Aur, Din-se-raat nahin karte hain
Aate rehte hain khayaalon mein harpal
Par asliyat mein, Mulakaat nahin karte hain

Kahan hain, Kaise hain, Aur, Kiss haal mein hain hum,
Bereham, Koi, Sawalaat nahin kartre hain

Ashkon mein doob gayee hain palkein, Aur, Fir zindigi bhi,
Band barasna, Ye, Ashk-E-Zazbaat nahin karte hain

Bhool gaye hain “MUSKAANA”, Aur, Koshish bhi chod dee hai ab to,
Kya karein, Manjoor ye, Haalaat nahin karte hain

Ek dum aa jaayein who saamne, Aur, Lag jaayein seene se
Ishwar(Bhagwan) bhi, Ab koi, Karaamaat nahin karte hain

Pyaar karte hain hum unse sachha, Koi bataye unhein, Uff
Koi kusoor hum, Aji, Huzooraat nahin karte hain

Khafa kyoun hain? Ye pata ho to, Mana lein unko
Par woh to, Koi bhi, Ishaaraat nahin karte hain

“KaMaL” ki patti pe jo shabnam hai, Sookh na jaaye
Kisi ki zindigi, Yoon hi, Barbaad nahin karte hain



very nice !!! beautiful
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #5 on: December 07, 2004, 01:26:28 AM »
Thanks all...
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #6 on: December 10, 2004, 12:41:46 AM »
Yoon to kal hi humne unse baat ki thi
Par ye ek din lagta hai jaise ek sadi beet gayee ho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: December 10, 2004, 06:07:46 PM »
wah!!! bahoot acha likha hai apne kamal>> ajkal wo mujse baat nahi karty...bahoot khoob!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2004, 08:47:37 AM »
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!! kamal bhai..........bahot khoob..........
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #9 on: December 11, 2004, 03:14:23 PM »
Shukriyaaaaaaaaaaaaaaaaaaa Pooja ji aur Waheed ji...
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #10 on: December 13, 2004, 03:06:22 PM »
Tanha tum bin zindigi gujaarte chale gaye
Jaise koi gunaah hum karte chale gaye

Ek lamha hi to gujra tha, humaari mulakaat ko
Agle hi pal mein hum bikharte chale gaye

Aate jaate in raahon mein tum milogi kahin
Tumhara in raahon mein intezaar karte chale gaye

Kabhi kisi se poocha, kabhi kisi se kaha
Tere aks ko hum yoon hi pukaarte chale gaye

Aakhir kaar apni kismat mein yahi likha tha shaayad
Apni kismat pe aitbaar karte chale gaye
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2004, 03:14:03 PM »
very nice kamal ji


 tongue3
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #12 on: December 13, 2004, 03:24:46 PM »
Thanks Heart ji
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #13 on: December 15, 2004, 04:39:48 AM »
Humse tum ae jaane wafa, khafa khafa na raho
Rakho na koi shikwa, dil mein hai jo kaho

Kar do ab door tanhaaiyan, mita do saare gile
Ab sehan nahin hote hain, ruswaaiyon ke silsile
Humse tum ae.....

Kaisa hoga socho woh aalam, Hoga jab pyar hi pyar
Na hoga koi dayra dilon mein, na hogi koi deewaar
Humse tum ae.....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: December 15, 2004, 08:22:56 AM »
nice work kamal bhai.......................bahot khoob...........
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:27:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer