Aaj kehte hain…..

by HumTum on January 25, 2005, 10:21:36 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1465 times)
HumTum
Guest
Ek gudiya ya phir ek masoom bacche ki tarah thi….. duniya usne dekhi na thi….ya phir maine hi nahi chaha ki vo is berahm duniye se mile…..har dard har sitam uthate rahe….ki uske hoton par muskaan bani rahe…..

kuch aage bada to pyar ko tolne lag gaya tha shayad, shayad ek tarazu pe khade the…. Aur use uhtaane ke liye main girta gaya….. tarazu ek taraf zhukne laga……pata nahi ki mera pyar bhari pad raha tha aur phir uski wafa kamzor…..


Isi khayal mein kuch bikhre se ashaar jod paaya hoon….apki pesh-e-nazar hain….


Aaj kehte hain…..
Tu kya, tera wajod hai kya…..
Tere pyar se maine paya hai kya…..

Ye to meri kismat thi…..
Jo pahuchi sitaroon tak….
Tu kya banata mujhe….
Tune khud ko banaya hai kya…..

Yeh jheel si aankhon mein…..
Sameta sara samunder maine…..
Apni do boond ashkon ko….
Tu samet paya hai kya…..

Duniya ki har khushi hai….
mehfilon mein mere bahar hai….
Khali tere haath hain aaj…..
Tune mujhe diya hai kya…..

Raftaar meri koi pakad na paya …..
Vakt bhi mere aage bad na paya…..
Tu kya daudna seekhata mujhe….
Do kadam aage bad paya hai kya…..

Hausla dekho, toofaan se takrayi…..
Saahil tak tair ke pahuch aayi…..
Tu kya banta naakhuda mera…..
Apne safine ko bacha paya hai kya…..

Bhoola diya gujra har lamha…..
Bhoola diya ehsaas bhi tera…..
Tu kya sikhata bhoolana mujhe…..
Khud ko bhoola paya hai kya….

Thokar kabhi na khayi maine…..
Makhmal si rah hamesha paayi maine….
Tu to girta raha yunhi ^HumTum^….
Khud ko utha paya hai kya…..

Aaj kehte hain…..


aap ka dost HumTum...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kehte hain by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
isko kehte hain!!!! by Pooja in Miscellaneous Shayri
KEHTE HAIN by nisha00 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Main So Jaaoon Ya Mustafa Kehte Kehte,. by Azeem Azaad in Share:Devotional Poetry « 1 2  All »
Muhabbat ka dawa karte hain - sawaal kehte hain by CIC in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #1 on: January 25, 2005, 10:54:10 AM »
wah bohut khoob
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 25, 2005, 04:51:13 PM »
Nice HumTum!!!
Logged
mohd_i'm
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2005, 08:14:50 AM »
hum tum marjoo tum takleef Q dareho otum kabi ouraath ke dil ke baath nahi samj paahtha looga ?
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2005, 09:16:20 AM »
Quote from: "Pooja"
Nice HumTum!!!



Thanks pooja ji & Amit ji for your good response. kuch lines arz ker paya hoon. umeed karta hoon aapko achi lagengi.


Teri koi khata nahi jo tu Wafa nibha na saki,
Ye to meri taqdeer hi esi hai ke har apna BEWAFA ban jata hai

Yu to main bhi naaz karta tha apni kismat pe,
Par aaj kal to Aksar mera Khuda bhi KHAFA ho jata hai,

Hum kese yakin kar le ki Leharo me dubenge nahi
Meri Kashti har baar Tufaan kinaro se BAHA le jata hai

Ab is nakaam mohhbat me unhe Ruswa kare bhi to kese kare
Jabki unka diya hua har jakham mere liye DAWAA ban jata hai


HumTum
Logged
pandit
Guest
«Reply #5 on: January 26, 2005, 09:31:05 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Pooja"
Nice HumTum!!!



Thanks pooja ji & Amit ji for your good response. kuch lines arz ker paya hoon. umeed karta hoon aapko achi lagengi.


Teri koi khata nahi jo tu Wafa nibha na saki,
Ye to meri taqdeer hi esi hai ke har apna BEWAFA ban jata hai

Yu to main bhi naaz karta tha apni kismat pe,
Par aaj kal to Aksar mera Khuda bhi KHAFA ho jata hai,

Hum kese yakin kar le ki Leharo me dubenge nahi
Meri Kashti har baar Tufaan kinaro se BAHA le jata hai

Ab is nakaam mohhbat me unhe Ruswa kare bhi to kese kare
Jabki unka diya hua har jakham mere liye DAWAA ban jata hai


HumTum


gud one..
unse judai ka aalam ye hai,
unka maasum chehra nazro se door hota nahi hai,
apne dil ko kaise samjau ye samajhta nahi hai,
dil ka dard is kadar hai ki hootho pe aah aajati hai,
jis se ki humne wafa, wo ab bewafaa ho gaye hai. :cry:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: January 26, 2005, 04:12:37 PM »
kuch arz ker paya hoon....

woh nhiN bewaffa, they hum hi kuch na-samaz ke jo,
dil - E - pathar mein, Pyar ka ik moti doondteyN rhey.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: January 26, 2005, 05:13:11 PM »
Quote from: "HumTum"
Ek gudiya ya phir ek masoom bacche ki tarah thi….. duniya usne dekhi na thi….ya phir maine hi nahi chaha ki vo is berahm duniye se mile…..har dard har sitam uthate rahe….ki uske hoton par muskaan bani rahe…..

kuch aage bada to pyar ko tolne lag gaya tha shayad, shayad ek tarazu pe khade the…. Aur use uhtaane ke liye main girta gaya….. tarazu ek taraf zhukne laga……pata nahi ki mera pyar bhari pad raha tha aur phir uski wafa kamzor…..


Isi khayal mein kuch bikhre se ashaar jod paaya hoon….apki pesh-e-nazar hain….


Aaj kehte hain…..
Tu kya, tera wajod hai kya…..
Tere pyar se maine paya hai kya…..

Ye to meri kismat thi…..
Jo pahuchi sitaroon tak….
Tu kya banata mujhe….
Tune khud ko banaya hai kya…..

Yeh jheel si aankhon mein…..
Sameta sara samunder maine…..
Apni do boond ashkon ko….
Tu samet paya hai kya…..

Duniya ki har khushi hai….
mehfilon mein mere bahar hai….
Khali tere haath hain aaj…..
Tune mujhe diya hai kya…..

Raftaar meri koi pakad na paya …..
Vakt bhi mere aage bad na paya…..
Tu kya daudna seekhata mujhe….
Do kadam aage bad paya hai kya…..

Hausla dekho, toofaan se takrayi…..
Saahil tak tair ke pahuch aayi…..
Tu kya banta naakhuda mera…..
Apne safine ko bacha paya hai kya…..

Bhoola diya gujra har lamha…..
Bhoola diya ehsaas bhi tera…..
Tu kya sikhata bhoolana mujhe…..
Khud ko bhoola paya hai kya….

Thokar kabhi na khayi maine…..
Makhmal si rah hamesha paayi maine….
Tu to girta raha yunhi ^HumTum^….
Khud ko utha paya hai kya…..

Aaj kehte hain…..


aap ka dost HumTum...


beautiful!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! brillienttt, bohot hi pasand ayi apki poem mujhe!

 :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: January 26, 2005, 05:35:07 PM »
wow..humtum,its so different and so nice........beautiful. Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: January 27, 2005, 09:58:56 AM »
thanks very much nidhi ji n meena ji.... hope i will keep it up in future. take care n bye ....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 30, 2008, 03:21:22 PM »
Bohat Bohat Khoob,.
Humtum Ji,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:25:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer