aaj ki raat ..... zarraa

by zarraa on May 26, 2016, 06:15:17 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 704 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012

View Profile
azeem shayar majaz lakhnavi ki mashhoor ghazal "dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat" ki zameen par ek ghazal kehne ki himaqat ki hai. is shikastsh koshish ko maazrat ke saath pesh kar raha hoon....

lo mere baam* par ab aayee utar aaj ki raat
chain laayee hai udaasee bhi magar aaj ki raat
(baam = terrace)

phir se bedaari* ko kar di hai nazar* aaj ki raat
jaane kab laayegi paighaam-e-sahar* aaj ki raat
(bedaari= state of being awake, kar di hai nazar = gifted away, paighaam-e-sahar = message of dawn)

phir se lauta kisi paimaana-e-khaalee* ki tarah
phir se maikhaana* bana baitha hooN ghar aaj ki raat
(paimaana-e-khaalee = empty cup of wine, maikhaana = tavern)

hijr ki shab* kise dekheiN kise mehsoos kareiN
chaaNd chhup jaaye hawa jaaye thahar aaj ki raat
(hijr ki shab = night of separation)

aaj keh daala tumheiN jo n kaha tha ab tak
n tasawwur* pe haqeeqat* ka asar aaj ki raat
(tasawwur = imagination, haqeeqat = reality)

shikwe* hote magar itne n ziyaada hote
baith jaate do ghadi paas agar aaj ki raat
(shikwe = complaints)

"zarraa" so jaao ke kal raat bhi jagna hai tumheiN
kam naheeN ye ke gayee to hai guzar aaj ki raat

- zarraa

- zarraa
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2016, 07:54:29 PM »

kam n ye bhi ke gayee to hai guzar aaj ki raat

- zarraa

- zarraa

achi ghazal hai zarra ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: May 27, 2016, 04:06:20 AM »
waah waaah bahoot khoob
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #3 on: May 27, 2016, 08:44:59 PM »
kyaa baat hai bahut khoobsurat Ghazal hai Janaab, dheron daad.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                       Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015

View Profile
«Reply #4 on: May 29, 2016, 06:19:40 AM »
Bahot achey waaaaah waaah  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer