AAJ KUCH TO FAISLA KAR......

by khwaish on March 16, 2008, 07:17:24 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4960 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Aaj kuch to faisla kar
jeene de mujhe apne saath
ya phir mujhe khud se juda kar

Bebasi ki Zindagi na mujhe manzoor hai na tujhe
phir chup se kyon rehte ho,
kuch to kehne ka hausla kar...
aaj kuch to faisla kar...

Manzil jab dono ki ek hi thi to,
alag-alag raahon par aakhir kyon chal pade,
jo hua so hua,ab chal saath mere
dono ki ab ek hi Zameen-Aasman kar...
aaj kuch to faisla kar...

Jahan rukh jaayenge safar mein
usse hi apni manzil samaj lenge
ab  'KHWAISH" se na koi faasla kar...

jaanta hoon is duniya mein
phoolon ki kadar bahut hai par
kabhi to kaanto se bhi pyaar kar...
aaj kuch to faisla kar...

har shaks ki apni apni nazar,apni apni soch hai!!
kaun kya sochega??
aisi baaton  se khud ka na yuh bezaar kar
aaj kuch to faisla kar....

Zindagi ki raahon mein bahut se log milenge tujhe
par kya koi humsa mil paayega???
aaj apne dil se yeh sawaal kar...

jeene de mujhe apne saath
ya phir mujhe khud se juda kar
par aaj kuch to faisla kar......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
faisla by Sonu in Shayri-E-Dard
koi faisla to suna dey by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ab hawaein hi karein gi roshni ka faisla ............... by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
koi faisla to de........ by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga..... by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3 4 »
sarthika
Guest
«Reply #1 on: March 16, 2008, 07:30:04 PM »
uff kaya likha hai khwaish... bahoot ache se dilo ke zajbaat apne apni kavita mai darshaye hai... bahoot hi achi kavita likhi hai apne....

her sawal itna saral nahi hota
kuch baato koi hal nahi hota
dekhein kaya dunia ki azmaish
humse apna hi imtihan pass nahi hota

dard apne se dard hi to de paaye hai
humse ab yah aor nahi hota
chale kaise kisi ke bhi sath hum
humse humara dard kabhi juda nahi hota

her sawal itna saral nahi hota
kuch baato ka koi hal nahi hota................
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 16, 2008, 07:47:09 PM »
BAHUT KHOOOB sarthika....bahut acha likha hai...par

Jaanta hoon har sawaal ka jawaab nahi hota
par agar jawaab na mile,to insaan hamesha hai rota...

koi paas phir bhi aa jaayega par jab insaan
ek baar door ho jaata hai to lakh koshish kare
phir paas hokar bhi paas nahi hota....

kuch to kami reh jaati hai dono ki mohabbat mein
varna woh aaj bhi yuh khuli aankhon se nahi hai sota....

jahan waqt aur majboori insaan ko bebas kare
wahan usse kuch to faisla karna zaroori hai hota....

ek baat yaad rakhna jab koi baat ka hal na nikaal sako
to do kadam chal bhi na sakoge,
aankhon se aansu na gire,
phir aisa koi mausam nahi hota....

"KHWAISH" to kehta reh jaayega
jab ki woh jaanta hai
sirf uske kehte rehne se bhi kuch nahi hai hota.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2008, 07:50:55 PM »
Bohat khoob Khwaish & Sarthika...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2008, 08:02:53 PM »
Khwaish ji aur sarthika bohat acha likha hai aapne.
Logged
sarthika
Guest
«Reply #5 on: March 16, 2008, 08:14:18 PM »
wah kaya baat hai khwaish.. ek ek line bahoot achi likhi hai
Logged
sarthika
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2008, 08:17:09 PM »
kuch sawalo ke jawab dil main rah jaate hai
shabd kahin lubo per aa aa kar ruk jaate hai

ankhia sikh jaati hai is kadar rona
pata bhi nahi chalta, kab ashaq beh jaate hai

pass ho kar bhi jab koi ajnabi sa lage jeevan main
aise kaha phir koi sawal rah jaate hai

kahne ko kahti hai dunia bahoot kuch Sarthika
magar is dil ko chu kar jo nikale, wo bol kaha mil paate hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 16, 2008, 08:34:19 PM »
bahut khoooob sarthika...bahut acha likhte ho aap...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: March 16, 2008, 08:37:07 PM »
Sawaal agar labo par aakar rukh jaaye to,
phir woh zakhm ban jaate hai
aapko reh-reh kar aur rulaate hai...

kuch baatein aisi hoti hai jisse keh deni chahiye,
varna beete waqt ke saath woh baatein hume
man hi man mein tadpaate hai.....

zaroori nahi ki uss shaks ki har baat dil ko chu jaaye
par kahin na kahin uski baatein
tujhe jeena to seekh laate hai....

zindagi mein chalte-chalte,
kabhi peeche bhi mud kar dekhna zaroor!!
tere kadmo ke nishaan to wahi reh jaate hai....

labo se kuch na kaho to bhi
haal-e-dil bayaan ho jaata hai,
lab khamosh ho to kya??
aansuo se bhari aankhein bhi
 bahut kuch keh jaate hai....





Logged
sarthika
Guest
«Reply #9 on: March 16, 2008, 08:46:10 PM »
wah kaya baat hai khwaish... kam app bhi nahi.. takkar ka jawab likhte hai app...

kah de jo to dil se sab nikal na jeeye
basaya hai jo dard ka gharana, wo beh na jaaye

darta hai yah dil, kuch bhi kahne se
zakhmo ka samunder kahin muchal na jaaye

hath thamna hota hai bahoot asaan is dunia main
kahin sath chalte chalte wo bhi bichard na jaaye

Lub kahe ya kahnein ansoo bhari yah ankhein
kuch faislein humesha hi adhure hai rah jaaye

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 16, 2008, 09:05:23 PM »
bahut khoooob sarthika...bahut acha likha hai aapne..

Dil ki har baat jisse kehna aa jayega,
usse iss duniya mein jeena aa jayega...

haath thaamna bhi chaahte ho uska  aur darte bhi ho,
aise mein to woh saathi zaroor bichad jaayega....

zakhmo ka samundar dil mein hi rakhne se kya haasil
aise mein to zakhmo ka samundar
insaan ko hamesha rulaayega....

har ek faisla karoge zaroor uss din
ashko ko jis din se aapko peena aa jaega....

jab dekhta hoon ek shaks ko jo,
tanhai mein rota hai par mehfilo mein,
sab se muskurakar milta hai..
usse dekh kar sochta hoon..
"KHWAISH" ko bhi dard dil mein rakh kar
ek din jeena aa jaayega.....

Logged
sarthika
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2008, 09:16:45 PM »
kisi ki zindagi kabhi koi aor ji nahi sakta
apni zindagi kabhi koi kisi ko de nahi sakta

karoge jo apne faisle kisi aor ki zindagi dekh kar
apni zindagi phir insaan, tu jee nahi sakta

zakhm bataye to bhi bataye kis tarah koi
her zakham shabdo mai utar nahi sakta

zindagi kai baar aa jaati hai us dorahe per
jahan se koi aor rasta, yah dil chun nahi sakta

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 16, 2008, 09:31:32 PM »
Chalne wale ko har raah par sirf tufaan mile
jahan dekho waha log sirf apne dukho se pareshaan mile...

uski nazro ko takhta hi reh gaya "KHWAISH"
kya karta,uski aankhon mein usse apne
jeene ke armaan mile....

har koi chahta hai mujhe zameen mile,mujhe asmaan mile
"KHWAISH"  ki yehi khwaish hai ke usse
sirf uske pyaar ka jahan mile....

ussi mod par hum intezaar karte hai
jahan par humein ek din unke kadmo ke nishaan mile....

khyaal mil jaaye to bahut hai "KHWAISH" ke liye
zaroori nahi ke zubaan mile....

Logged
sarthika
Guest
«Reply #13 on: March 16, 2008, 09:38:20 PM »
wah kaya baat kahin hai... too good khwaish

her koi chahta hai ki usko uske pyar ka jahan mile
mushkil yahi hai ki pyar ke jahan mai na koi aor jahan mile

dil na jaane kyun ussi se pyar kar baitha
jo kisi aor ke jahan mai girftaar mile

khamosh hi rah jaate na kahte lub kuch
magar unki ankhon mai kal ashqo ke tufaan mile

kahe bhi to kahe kin shabdo mai apne dil ki baatein
unke dil mai jab, ajj bhi kisi aor ke armaan mile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 16, 2008, 09:43:12 PM »
BAHUT KHOOOOB SARTHIKA...BAHUT HI ACHA REPLY DIYA AAPNE..BAHUT ACHE...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:19:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer