AAJ KUCH TO FAISLA KAR......

by khwaish on March 16, 2008, 07:17:24 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4959 times)
sarthika
Guest
«Reply #15 on: March 16, 2008, 09:47:28 PM »
shukaria khwaish
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
faisla by Sonu in Shayri-E-Dard
koi faisla to suna dey by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ab hawaein hi karein gi roshni ka faisla ............... by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
koi faisla to de........ by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ab Kuch To Faisla Mujhe Karna Hoga..... by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3 4 »
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: March 17, 2008, 03:43:02 AM »
waah khwwahish ji....ek dard ko ...tees bana ker pesh kiya aapne...daad kabool farmayeiN....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #17 on: March 17, 2008, 03:50:03 AM »
Dil ko chhoo sa gaya aapka ahsaas....bilkul sahi andaaz maiN ahsaas pesh kiye aapne....agar insan apne ahsaas usi tarah doosroN ko samjhane maiN safal hota hai toh kriti safal hoti hai.....likhne ka hunar alag baat......daad kabool farmayeiN...

Sarthika wrote:-

Quote
her koi chahta hai ki usko uske pyar ka jahan mile
mushkil yahi hai ki pyar ke jahan mai na koi aor jahan mile

dil na jaane kyun ussi se pyar kar baitha
jo kisi aor ke jahan mai girftaar mile

khamosh hi rah jaate na kahte lub kuch
magar unki ankhon mai kal ashqo ke tufaan mile

kahe bhi to kahe kin shabdo mai apne dil ki baatein
unke dil mai jab, ajj bhi kisi aor ke armaan mile

Ab to ye haal hai saarthika ji....

Jitna koi saath nibha de bas utna hi upkaar bahoot hai
Jisme din bhar hanste beete bas itna sa pyaar bahoot hai


harash
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 17, 2008, 02:17:32 PM »
Bohot khoob Khwaish and Sarthika ! Nice one Harash !
Logged
ataulla
Guest
«Reply #19 on: March 17, 2008, 03:49:03 PM »
 dua hai ke dil ki aarzo puri hojaye
khwahish ki har khwahish puri hojaye
Dua :clap: :clap: :clap: :sunny:
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: March 18, 2008, 03:31:35 PM »
bahut bahut shukriya ARYAAN,TALAT & HONEY..... icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: March 18, 2008, 03:35:14 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA HARASHJI...
BAHUT BAHUT SHUKRIYA ATAULLA SAAB..DUA KE LIYE SHUKRIYA..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: March 18, 2008, 04:18:25 PM »
Juda mujhse tu ho nahi sakta
Milan bhi apna ho nahi sakta
Sawal ka arth hi nahi rah jaata
Jab jawab uska koi mil nahi sakta

Manjil hai kaya kiski
Yah to waqat batayega
Waqat ke hatho bandha insaan
Khud kuch kar nahi sakta

Kisi ki manjil ko
Kyun apni manjil banaya hai
Phoolo ke hote hue
Kis liye kaanto ko apnaya hai

Sath sath yah chalna
Mere dost ho nahi sakta
Jise khud manjil ka pata na ho
Wo humsafar apna koi kar nahi sakta!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: March 18, 2008, 06:58:42 PM »
Bohat khoob Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 18, 2008, 07:06:01 PM »
Shukaria Aryaan ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 23, 2008, 11:36:37 AM »
Apni majbooriyon ko tere nazron ke saaamne laye kaise?
in aankhon mein ashko ke samundar hai,tere saamne inhe bahaye kaise??

ter liye is dil mein kitni chaahat hai,
yeh chand lafzo mein tujhe batlaaye kaise??

Log kehte hai aur kuch nahi yeh Deewangi hai teri,
par jiske liye deewane hue hai,
usse hi apni yeh deewangi dikhlaaye kaise??

jaise bhi hai "khwaish" khush hai apne aap se,
par duniya ko yeh saadgi bhi manzoor nahi,
ab duniya ke Mutaabik nazar aaye kaise??

Mohabbat "Khwaish" ki yakeenan Aasman se bhi badi hogi,
par tujhe iss baat ka yakeen dilaye kaise??

Jaanta hoon har Faisla apne Haq mein nahi hota,
par yeh Haqeeqat ko khud se roobaroo karaye kaise???
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: April 02, 2008, 04:38:35 PM »
Meri Yaadon mein,aankein aapki bhi ashk barsayegi
mehfilon mein bhi sirf tanhai hi nazar aayegi

aaj meri Zubaani sunlo meri dastaan,
kal duniya isse apni zubaani sunayegi....

jisne kabhi mohabbat ki ha na thi
uspar kabhi duniya ungli nahi uthayegi,
mohabbat karne wala hi logon ke nazar mein deewana hai,
yahan deewano par hi tohmate aayegi....

dooriyan aaj bada bhi lo to sukoon nahi milta
tujhe dhoondne wali nazar,door se bhi tujhe tadpayegi.....

jab tak dil na maane,koi faisla na karna
duniya ka to kaam hai har ek ko samjhaana
woh to samjhaate hi jayegi....

"KHWAISH" ko sirf tere deedar ka intezaar hai
uske baad maut ki kisse parwaah hai,
usse aana hai to aa hi jaayegi....



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: May 12, 2008, 06:56:03 PM »
Juda mujhse tu ho nahi sakta
Milan bhi apna ho nahi sakta
Sawal ka arth hi nahi rah jaata
Jab jawab uska koi mil nahi sakta

Manjil hai kaya kiski
Yah to waqat batayega
Waqat ke hatho bandha insaan
Khud kuch kar nahi sakta

Kisi ki manjil ko
Kyun apni manjil banaya hai
Phoolo ke hote hue
Kis liye kaanto ko apnaya hai

Sath sath yah chalna
Mere dost ho nahi sakta
Jise khud manjil ka pata na ho
Wo humsafar apna koi kar nahi sakta!!!


Bahut khoob pooja..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: May 12, 2008, 06:59:35 PM »
BAHOOT BAHOOT SHUKARIA KHWAISH JI!!

Apne kamal ki kavitaye likhi hai!! Jalad he kuch likhne ki koshish karugi!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #29 on: May 12, 2008, 07:26:50 PM »
Khawaish ji,

aapki har kavita dilchasp hein.bahut accha likhte he. badhai ke patra hein.
 saarthika ji aur pooja ji--accha likha hein aapne bhee.

Prateek
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:59:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer