aisa kya baat dil mein thi jo maine kabhi bhulaya nahi
mere seene aaj mein dard ke siwa kuch bhi nahi
main usko chata raha umar ek pal ke choda bhi nahi
jab "Waheed" chala to rokne waala koi bhi nahi
maine khawabon mein ek taveer dekhi jiske haqeekat mein dekha bhi nahi
sadiyon tak safar karta raha, khud se kabhi poocha tak nahi
aaj aise mod per hum khade hain kuch bhi mere paas nahi
jindagi ki chaah bhi nahi aur maut bhi aati nahi .......... :oops: :oops:
bahut khoob waheed
daasta unko sunani hai, unhe fursat bhi ahi
raaz ki baate kahu kisi aur se izazat bhi nahi
humne mana zindagi jaisi koi nemat bhi nahi
mout bahter jab khila koi gul-e-ishrat bhi nahi
derd manoos hai hum se wo bhala jayega kyun
hum bhi hai kabil wafa ke derd se nafrat bhi ahi
is jaha se us jaha tak faasla jai ek saans
mout kahte hai jise kya, wasl ki saat bh nahi
aa gaye hai tang hum rawish-e-zamana se samnoj
alwida kahde khushi se jeene ki hasrat bhi nahi
main usko chahta raha umer bher choda bhi nahi
jab 'waheed' chala to rokne wala koi bhi nahi
wow wow samnoj.......nikki.............dil ko choo gayee tumhari ghazal........ :oops: :oops:...... main bhi aap sabko reply dene ki kosis karta hoon.........
chod aaye hum uski yaadon ko usi ke shaher mein
na jaayenge hum kabhi hum uske shaher mein
tapish humari wahan mehsoos karenge log sadiyon tak
jab tak uski yaadein jalegi mere jigar mein,
thodi jo mohabbat bhi jo thi uski nigahon mein
shayad utni bhi nahi mere naseeb mein
khud ko mitakar kabhi na dekhna uski tamanna mein "Samnoj"
maine dekha hai bahot dard hota hai dil ki haar mein,
bana na paaya apna aashiyana uske dil mein
main ek muddat tak khada raha uske intizaar mein
ai dost tum bhi banaoge mahal kabhi kisi ke naam ka magar
ek din tujhe rona padega mere intizaar mein..................