####Aaj Mujhe Rokne Waala Koi Bhi Nahi #####

by waheed_rose2004 on July 03, 2005, 06:29:18 PM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3250 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #30 on: July 06, 2005, 06:33:13 PM »
Quote from: "samnoj"
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "samnoj"
Quote from: "waheed_rose2004"
aisa  kya  baat dil mein  thi jo  maine  kabhi bhulaya  nahi
mere  seene aaj  mein  dard ke  siwa  kuch   bhi nahi
main  usko chata raha umar  ek  pal ke choda bhi nahi
jab "Waheed"  chala to  rokne  waala  koi  bhi nahi

maine khawabon mein ek taveer dekhi jiske haqeekat mein dekha bhi  nahi
sadiyon  tak safar  karta raha, khud se  kabhi poocha tak  nahi
aaj  aise  mod  per hum  khade  hain kuch  bhi  mere paas  nahi
jindagi  ki  chaah  bhi nahi aur maut  bhi  aati  nahi .......... :oops:  :oops:


bahut khoob waheed

daasta unko sunani hai, unhe fursat bhi ahi
raaz ki baate kahu kisi aur se izazat bhi nahi

humne mana zindagi jaisi koi nemat bhi nahi
mout bahter jab khila koi gul-e-ishrat bhi nahi

derd manoos hai hum se wo bhala jayega kyun
hum bhi hai kabil wafa ke derd se nafrat bhi ahi

is jaha se us jaha tak faasla jai ek saans
mout kahte hai jise kya, wasl ki saat bh nahi

aa gaye hai tang hum rawish-e-zamana se samnoj
alwida kahde khushi se jeene ki hasrat bhi nahi

main usko chahta raha umer bher choda bhi nahi
jab 'waheed' chala to rokne wala koi bhi nahi


wow  wow  samnoj.......nikki.............dil ko  choo  gayee  tumhari ghazal........ :oops: :oops:......  main  bhi  aap  sabko reply  dene ki  kosis karta  hoon.........

chod  aaye  hum  uski  yaadon ko  usi ke  shaher mein
na  jaayenge  hum  kabhi  hum  uske  shaher  mein
tapish  humari  wahan  mehsoos karenge log  sadiyon tak
jab  tak  uski  yaadein  jalegi mere  jigar  mein,

thodi jo  mohabbat  bhi  jo thi uski nigahon mein
shayad utni  bhi  nahi  mere  naseeb  mein
khud  ko mitakar kabhi na dekhna uski tamanna mein  "Samnoj"
maine  dekha  hai  bahot dard hota hai dil ki  haar mein,

bana  na paaya  apna  aashiyana  uske dil  mein
main  ek  muddat  tak  khada  raha uske intizaar  mein
ai  dost tum  bhi  banaoge  mahal  kabhi kisi ke naam ka magar
ek  din  tujhe rona  padega  mere  intizaar mein..................


bahut khoob

ai barq der na ker aashiyan jalane mein
milega lutf bahut phir se gher banane mein

nahi naseeb me apne bahaar phir aaye
gulo ki yaad maded degi ji lagane mein

kisi ki pyaas mitana hai kaar-e-nek ager
li-to-laal ho kyun saakiya pilane mein

tumhari chasm hai sir chasm-e-nishaat-e-hyaat
na daali boond bhi tu ne mere paimane mein

raah-e-wafa pe chalenge to jaan bhi jayenge
humare kisse kahe jayenge, zamane mein

talaash, farz hai manzil hume mile na mile
khushi milegi samnoj farz ko nibhane me

kaar-e-nek = nek kaam
li-to-laal = aana kaani


wow wow sam........kya jabardast likha hai........main aap ko kal  reply  karta  hoon.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Behte Huwe Paani KO Rokne Me by ashu143zeba in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aane waala hai Toofan Fir .....>> by kittoo in Shairi for Manzar -e- Kudrat
HAR QADAM PAR MUJHE MILTA HAI GIRAANE WAALA by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
fakharenaveed
Guest
«Reply #31 on: July 06, 2005, 08:23:13 PM »

Khuda neh bhi kiya sub sey juda mera mehboob banaya hai

Shishey sa dil diya aur us mein mujhe basaya hai

Aakhoon mein uski tu nah do jiiloo ko samaya hai

Inhi jiiloo kay kareeb mujhe eik ghar mein bithaya hai

Hootoon mein uskay tu nah phooloo ka ras milaya hai

Aur mujhe us phoolo ka sartaj tu neh banaya hai

Haaya di aisi kay nazarein unki kisi per utthi nahi

Per mujhe dekhey kay baad nazarein unki jhukti nahi

Chehre per uska tu nah yeh kaisa hai noor daala

Dekhtey hi usko mein apni zindagi usper haara

Tun neh usko pyar sey mere baare mein samjaya hai

Tabhi to usnhey mujhe apna jeewan sathi banaya hai

Tera mein kaise shukar aada karoon kay tu neh usey milaya hai

Milne kay baad usey mujko tuj per yakin aaya hai

nm

Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #32 on: July 07, 2005, 11:05:28 AM »
thanx waheed
amin ab tak intezaar me hu

bahut ache fareee

nafrat ke rezgar me barsaat le chalo
nazrana dil ka, der ki sougaat le chalo

suraj jaha bhi aag ugalta dikhayi de
bhigi hui si koi waha raat le chalo

khud dabi si ho gayi hai jin aankho ki roshni
unke liye nigah-e-masawat le chalo

andhe jo raaste me bhatakte hue mile
unko bhi rehwan-e-junu saath le chalo

shayed kisi nigah me ho muntazir jawab
apni nigah me apne sawalaat le chalo

kis manzil-e-khirad se guzarna pade 'khumaar'
kuch apne saath masti-e-jazbaat le chalo

nm

rehwan-e-junu= umeed ke sathi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #33 on: July 20, 2005, 07:35:24 PM »
Quote from: "samnoj"
thanx waheed
amin ab tak intezaar me hu

bahut ache fareee

nafrat ke rezgar me barsaat le chalo
nazrana dil ka, der ki sougaat le chalo

suraj jaha bhi aag ugalta dikhayi de
bhigi hui si koi waha raat le chalo

khud dabi si ho gayi hai jin aankho ki roshni
unke liye nigah-e-masawat le chalo

andhe jo raaste me bhatakte hue mile
unko bhi rehwan-e-junu saath le chalo

shayed kisi nigah me ho muntazir jawab
apni nigah me apne sawalaat le chalo

kis manzil-e-khirad se guzarna pade 'khumaar'
kuch apne saath masti-e-jazbaat le chalo

nm

rehwan-e-junu= umeed ke sathi


very  nice  sam..............bahot  accha likha.............nice  naveed.......tongue3
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:14:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer