aaj phir dil udaas hai

by tanha dil tanha safar on January 18, 2005, 12:07:02 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
Print
Author  (Read 13757 times)
sandhaya
Guest
«Reply #30 on: January 28, 2005, 06:59:32 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
koi aur surat jachti nahi in ankho ko,
janeja jubse didar tumahara kar liya,

ab khouf nahi muje judai ka ,
kuch din teri baho mein gujara kar liya;


tanha ji kiska didar kar liya aapne........joking
.....................................nice poetry


ye mahobat kuch din ki baat nahi hoti
ye vo jajba hai jiske bina koi din koi raat nahi hoti
jab ek baar ho jaye unka didar tuh "tanha"
unke chehre ke siva aur koi baat nahi hoti
har roj ho chahye mulakat unse phir bhi
dil ko lagta hai yahi ki unse mulakat nahi hoti
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AAJ PHIR DIL UDAAS HAI (poet: taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
Aaj phir mann na jaane kyon udaas hai by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
{Aisa Lagta Hai, Jaise Chaand Phir Udaas Hai} by angel4u in Shayri-E-Dard
Bichar na jaaye kahein phir udaas kar ke mujhe by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #31 on: January 28, 2005, 08:26:42 AM »
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
koi aur surat jachti nahi in ankho ko,
janeja jubse didar tumahara kar liya,

ab khouf nahi muje judai ka ,
kuch din teri baho mein gujara kar liya;


tanha ji kiska didar kar liya aapne........joking
.....................................nice poetry


ye mahobat kuch din ki baat nahi hoti
ye vo jajba hai jiske bina koi din koi raat nahi hoti
jab ek baar ho jaye unka didar tuh "tanha"
unke chehre ke siva aur koi baat nahi hoti
har roj ho chahye mulakat unse phir bhi
dil ko lagta hai yahi ki unse mulakat nahi hoti


wow sandhya too gud!!!!!

Her insaan kay ache naseeb nahi hote
Her insaan khushiyon kay kareeb nahi hote
kuch aise bhi hain jo patay hai mohabbat
her insaan mujh jaise badnaseeb nahi hote
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #32 on: January 28, 2005, 08:50:35 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
koi aur surat jachti nahi in ankho ko,
janeja jubse didar tumahara kar liya,

ab khouf nahi muje judai ka ,
kuch din teri baho mein gujara kar liya;


tanha ji kiska didar kar liya aapne........joking
.....................................nice poetry


ye mahobat kuch din ki baat nahi hoti
ye vo jajba hai jiske bina koi din koi raat nahi hoti
jab ek baar ho jaye unka didar tuh "tanha"
unke chehre ke siva aur koi baat nahi hoti
har roj ho chahye mulakat unse phir bhi
dil ko lagta hai yahi ki unse mulakat nahi hoti


wow sandhya too gud!!!!!

Her insaan kay ache naseeb nahi hote
Her insaan khushiyon kay kareeb nahi hote
kuch aise bhi hain jo patay hai mohabbat
her insaan mujh jaise badnaseeb nahi hote


thank tanha and nice line too

kyun kahte ho ki  badnaseeb ho tum
kisiki jaan ho tum bahut hi ajeej ho tum
kyun kosate ho apne naseebon ko
yahan pe itne saare dost hai tumhare
maan ki aankhon se dekho kitne khushnaseeb ho tum
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #33 on: January 28, 2005, 08:58:50 AM »
so nice reply sandhya ji!!!!!!!


Teri koi khata nahi jo tu Wafa nibha na saki,
Ye to meri taqdeer hi esi hai ke har apna BEWAFA ban jata hai

Yu to main bhi naaz karta tha apni kismat pe,
Par aaj kal to Aksar mera Khuda bhi KHAFA ho jata hai,

Hum kese yakin kar le ki Leharo me dubenge nahi
Meri Kashti har baar Tufaan kinaro se BAHA le jata hai

Ab is nakaam mohhbat me unhe Ruswa kare bhi to kese kare
Jabki unka diya hua har jakham mere liye DAWAA ban jata hai

nm
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #34 on: January 29, 2005, 05:16:17 AM »
in zakhmoon ko bharne ke liye to abhi hai sari zindagi baki.
ey dard dene wale bol tera shukriya kis tarah se aada karu ??
siney se lagaye baithe hai teri muhobbat ko,
bol thuje yaadon se kis tarah se juda karu ??
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #35 on: January 29, 2005, 06:40:10 AM »
wah....... gr8 all Usual Smile
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #36 on: January 29, 2005, 07:31:16 AM »
thanks salma ji.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #37 on: January 29, 2005, 05:10:43 PM »
wow gr8 tanha......sandhya and everyone.
Logged
pandit
Guest
«Reply #38 on: January 29, 2005, 05:18:32 PM »
aaj phir ek baar phir utha hai dard seene me,
ki yaad aaye hai unki bewafai aur hum bheege hai paseene me,
baat-baat me roote hai aur daete hai dua unko,
ki aisa koi dard na hoo un k seene me.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #39 on: January 30, 2005, 06:13:41 PM »
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Very good job Ajnabee...Yogi...Sandhya...And Tanha too...


thank you JHL sukriya


You are most welcome Sandhya...

Har cheez chahne se nahi milti,
Pyaar ki kali har ek ke liye khilti nahi,
Sachcha pyaar kismat se milta hai,
Par har ek ko aisi kismat milti nahi...
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #40 on: January 31, 2005, 07:47:16 AM »
shukriya nidhi , pandit, jhl .

Halaat-e-zindigi ne muqaddar ko choo liya

Choo kar unhen laga kisi patthar ko choo liya.

 

Uttha dhuaN hai aaj chaman se zara zara

Lagta hai bijliyoN ne mere ghar ko choo liya.

 

Leta hai kaun siskiyaN tanhayi men meri?

Kya dard-e-wafa ne bhi sitamgar ko choo liya?

 

Ae na wuh nazar to nazare bichhar gaye

AnkhoN ne phir taras ke samandar ko choo liya.

 

Naqsh-e-kadam se apke manzil chamak utthi

HathoN se khud tanha  ne rahguzar ko choo liya.

nm
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #41 on: January 31, 2005, 09:35:06 AM »
wah.......bohat khoob likha pandit,tanha nad JHL.
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #42 on: January 31, 2005, 09:40:56 AM »
thanks nidhi.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #43 on: February 01, 2005, 05:48:46 AM »
Quote from: "pandit"
aaj phir ek baar phir utha hai dard seene me,
ki yaad aaye hai unki bewafai aur hum bheege hai paseene me,
baat-baat me roote hai aur daete hai dua unko,
ki aisa koi dard na hoo un k seene me.



very nice pandit ji
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #44 on: February 01, 2005, 06:12:25 AM »
Thank you very much Nidhiji...


Lamha lamha saanse khatam ho rahi hai,
Zindagi maut ke pehlu me so rahi hai,
Us bewafa se naa puchho meri maut ki wajah,
Wo to bas zamane ko dikhane ke liye ro rahi hai...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:54:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer