Aaj Rula Dooga........(Ghayel)

by sajid_ghayel on November 02, 2008, 08:48:50 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1918 times)
sajid_ghayel
Guest
Aaj kabr ki mitti me kuch nami si hain
Ahle kabr ko yaad koi aaya bohat hain

Farishto tumhare sawalo jawab ka aadi hu main
Sari zindagi duniya ne aazmaya bohat hain

Ab to sone do hame sukoon se kabr me apni
Ta umr intezaar ne hame jagaya bohat hain

Ab tak beh rahe hain aasoo bheega hua hain kafan
Dushmano tum dena muje kandha, dosto ne sataya bohat hain

Darta hu koi samaj na bhaithe ise doli dulhan ki
Mere janaze ko logho ne sajaya bohat hain

Ro deta hu jab bhi guzarta hu Ghayel ki mazar se
Kambakht ne jeete jee muje hasaya bohat hain


                            -Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
USKI HANSI NE MUJHE RULA DIYA by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
rula gayi mujhe woh aankhen by salil2002 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Chup reh kar woh hame rula gaye. by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aa phir se rula jaa.. by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Dard -e- Judai
~~~Phir Se Rula Diya~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2008, 09:06:18 AM »
Sajid

Excellent Thumbs UP

Bahut he jazbaati kalam Applause
Logged
peera4u
Guest
«Reply #2 on: November 02, 2008, 09:27:18 AM »
App mujh ko satate bahut hai
Kam hasate rulate bahut hai

 Applause   Applause  nice work sajid
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: November 02, 2008, 11:08:09 AM »
 Applause Applause
 
Bohat khoob Sajid ji... Thumbs UP
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: November 02, 2008, 11:26:59 AM »
Well done Sajid Ji

Jo bahut hansta hai yo baad mein rota hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: November 02, 2008, 01:01:42 PM »
Nice One Sajid Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: November 02, 2008, 01:07:34 PM »
Aaj Apne Dard Bayaan Katke Sabko Rulaa Doonga Main,.
Aag Jo Seene Mein Hai, Wo Is Jahaan Ko Lagaa Doon Main,.

Sab Ke Haaton Mein The Patthar, Jab Mera Ghar Toota Tha,.
Jee Karta Hai Ke, Saare Shehar Ko Hi Mitaa Doon Main,.

Har Ek Ne Saazish Rachaai Thi, Meri Barbaadi Ki, Kis Se Bachta Main,.
Ab Jo Hona Tha Wo Ho Hi Gaya, Sochta Hoon sab Kuch Bhulaa Doon Main,.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: November 02, 2008, 02:55:14 PM »
Izzat bakshne ke liye bohat bohat shukriya dosto and equally good reply janasheen
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 03, 2008, 02:38:08 AM »
really beautiful lines...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: November 03, 2008, 02:39:57 AM »
Mera aashiyaane se ye qabr tak ka safar jo hai,
Kyon lagta itna lamba ye pathrila rasta jo hai,
Rula chala hai kayi aankhon ko ye kafan mera,
kab bujhegi allah jaane rooh ki pyaas jo hai...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: November 03, 2008, 08:49:40 AM »
Mera aashiyaane se ye qabr tak ka safar jo hai,
Kyon lagta itna lamba ye pathrila rasta jo hai,
Rula chala hai kayi aankhon ko ye kafan mera,
kab bujhegi allah jaane rooh ki pyaas jo hai...
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #11 on: November 03, 2008, 09:27:29 AM »
SubhanAllah bohat khoob..
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #12 on: November 03, 2008, 09:52:48 AM »
waah saajid ji kya khoob likha hai  Applause

hasi hasi mei roye hai ham bhi bohut
dosti ki aad mei dushmani jo mili hai aksar
waar khanjar ka hota to seh gaye hote
chubhti hai ab bhi tis jo dil ko baat lagi hai bohut


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: November 03, 2008, 09:57:19 AM »
Izzat bakshne ke liye bohat bohat shukriya dosto and equally good reply janasheen
Shukriya Sajid Paaji,.
Yunhi Likhte Rehna,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: November 03, 2008, 10:00:51 AM »
Rulaa Kar Mujhe Apne Ghamon Mein, Muskuraane Ki Duaa Na De,.
Faisla Ek Jo Kar Diya Tune, Us Par Yunhi Atal Rehna,.

________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:22:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer