AAJ TO RO LENE DO

by Nino on November 09, 2005, 08:38:26 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4125 times)
Nino
Guest
Wo ho kar humse khafa ja ke qaber mein lete hain
use is haal mein dekh ker aaj to ro lene do
unse jaker mein kahe bhi deta hale dil apna aaj
mager jo kabhi nahi chain se soyi use aaj to soo lene do

aaj jo masoomiyet hain unke chehre per
is aftabi noor mein muhjhe khud ko khoo lene do
najane kab se ruke hue hai ye kambakht aansoon
aaj kuch na kehna bas aaj jee bhar ker ro lene do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TENSION LENE KA NAHI SIRF DEENAY KA by Delicate_Doll in SMS , mobile & JOKES
:: HaHa :: HaI rE : MuMbAi GaYeE hAi DeGrEe LeNe :: by myheart_ursonly in SMS , mobile & JOKES
jee lene dije by sshama in Shayri-E-Dard
saans lene se by zaki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ro Lene De Zaalim.......... by Ghayal in Shayri-E-Dard
Nino
Guest
«Reply #1 on: November 09, 2005, 08:42:26 PM »
Kiyu kisi ke dil mein pyaar jagata hai koi
jab pyaar nibhana aatta nahi to kiyu dil lagta hai koi
ghaltiyaan to yahaan har shaqs se hoti hai mager
apni ghalitiyaan maan ker kiya saar jhukata hai koi
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: November 10, 2005, 01:34:31 PM »
gr8 one nino jee
Logged
Princess21
Guest
«Reply #3 on: November 11, 2005, 08:57:20 AM »
Beautiful Ninoooooo!! NIce
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 11, 2005, 04:33:30 PM »
bahot  khoob  Nino...............wb............
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: November 12, 2005, 08:08:41 AM »
THANKS TO ALL OF U
Logged
naaz_81
Guest
«Reply #6 on: November 12, 2005, 10:11:25 AM »
tere pyar ki dastan mujse sun,
kuch nahi to aagaz mujse sun,
anjaam-e-mohbbat kis ne keha hai,
unki khusi main teri khusi ko sun.........................naaz
Logged
Nino
Guest
«Reply #7 on: November 14, 2005, 08:15:24 PM »
Good one naaz ji
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: November 14, 2005, 08:16:46 PM »
Dastan uski jiska koi fasana hota hai
pyaar uska jika koi deewana hota hai
tumne itni aasani se keh diya huma aapna
per hum jaise insaano ka kaha koi thikana hota hai
Logged
Nino
Guest
«Reply #9 on: November 14, 2005, 08:20:10 PM »
maut se darna to hai nahi aadet meri
mager itni jaldi marna shayed nahi kismat meri
kaun kaun se maud per us se mulakat ho jaye
bas ab to jane do ab nahi duniya me koi zaroorat meri
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 14, 2005, 10:54:52 PM »
wah bahoot khoob nino ji!!!
Good one Naz!!!

Kisi ko bewafa kahne se pahle
Payaar ka yah silla dene se pahle
Jo na kahna tha, wo Kahne se pahle
Agar mar bhi. Jaaty, to gilla na karty kabhi hum
Yah sun kar, kaise mare, nahi nikalta is lash ka ab dum!!
Logged
anitha
Guest
«Reply #11 on: November 15, 2005, 02:32:06 AM »
gr88888........nino ji, naz ji aur pooja ji

Ab ye sab sunke hum aur kya kahe
eh hai pyaar jisme hai sab karte gilae

na dekhi kabhi kisiko pyaar mein kush
jisme main bhi hoon na-kush

kyon hai sab paate dil-e-dard is pyaar me
kya hai pyaar ka matlab sirf is dardko paane me

ab na karsakte hain kisise ye gila
ki ab meri pyaar hui ruswaa

kabhi na badduaa nikalthi uspe, uski bewaffai ko dekhke
ab tho sirf nikhalthi hai duaa, hamesha woh aabaad rahe

na hai ab is dil mein koi aasha zindagi pe
na jaane kab paaoongi mukti is zindagi se
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #12 on: November 15, 2005, 04:28:00 AM »
bhulaya na gaya tu na bhule teri  bato ko ..........

tu na kaha tha jo kabhi mei aankho ko.........

jazbato me beh ker jo uthaye the kadam kabhi tere sath milker....

aab taraste hai o bewafa hum purani tanhai pane ko.....
Logged
anitha
Guest
«Reply #13 on: November 16, 2005, 04:06:03 AM »
jab bulaya nahi jaata hamaari baaton ko
tho kyon hai chupaaya in jazbaaton ko

hum tho nahi roote the unsse, na hi huyi bewaffa kabhi
par woh hai karte sirf baatein bewaffa ke abhi

na keh sakthe hain pyaar nahi unhe humpe
par kyon hai ye jataate, ki mile nahi kabhi humse

yahaan hum unki awaaz sunnekeliye tarasthe
par woh hai hume chod chaleye is raasthe

sirf hai unki yaadein banke saath humaare
karthe hai yaad woh koobsurath lamhon ki, jab the  woh saath hamaare
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #14 on: November 16, 2005, 04:15:01 AM »
aaj aapna dard chupa na sakenge ........

magar phir bhi sab kuch bata na sakenge.......

kerte hai tumse wada milenge jo kabhi tumse kahi .....

gam aapna chupa ker hasa hi karenge.......


halaki hoth jalte hai muskurane se.......

phir bhi sikwa nahi hai hume tumse ya zamane se.....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:48:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer