bAHUT SUNDER RACHNA....
MAI SE MEENA SE NA SAAKI SE
DIL BAHALTA HAI MERA AAPKI YE
GUFTGU PADHNE SE......... Aap bhi kaisi baat karti hain Kasak ji... aisa ho sakta hai kya ki aap kuch likhen aur humein pasand naa aaye.. bahut bahut pasand aya humein ye... bahut khoobsurti se aapne likha hai... aapki lekh meri doobti hui kashti ke liye saharaa hai... bahut bahut shukriya Kasak ji...!!!bahut khoob likha hai aapne...!!!
hone laga hai khudpe aetbaar sa ek tere aa jaane se,
chhaane laga hai kuch khumaar sa ek tere aa jaane se,
barso se banjar thi ye bhoomi, khila na ek phool kabhi,
aaj yahaan khili hain bahaarein ek tere aa jaane se,
barso se jo sukhe the baadal, aaj wo baadal baras rahe hain,
usi baarish se mere aansoo bhi dhul gaye ek tere aa jane se,
toofaan me tinko ki tarha bikhar gaya tha main bhi kabhi,
unhi tinko ko fir main jod rahaaa hoon ek tere aa jaane se,
har taraf khaamoshi thi yahaan, chidiyon ki bhi kuk nahi thi,
aaj shor ke saath naach rahe hain mor ek tere aa jaane se,
tanhaa tha main bheed me bhi, sangi na koi saathi tha,
mil gaya hai saara jahaan mujhe aaj ek tere aa jaane se,
dhadkano ko ye shikayat thi ki dhadak rahe the meri marzi bina,
dhadkane bhi meri aaj jhoom rahi hain ek tere aa jaane se,
saanson ko bhi shikayat thi ki unme koi mehek nahi thi,
saansen bhi aaj kuch mehek rahe hain ek tere a jaane se,
tere saath se badhke kuch nahi, isse jyada ab kya main kahun,
maine zindagi ki paribhaasha ko jaana ek tere aa jaane se,
kalam fir khud se chalne lagi hai ek tere aa jaane se,
aaj firse main likhne laga hoon ek tere aa jaane se...