Aajmaish

by jannatjahan on April 13, 2009, 01:40:27 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1734 times)
jannatjahan
Guest
Unke inkaar ko bhi hum ikraar samajhte rahe
wakif the mohabbat se hamari, phir bhi wo hume aajmate rahe,

apni chahat ke liye takaja hume sahi na laga
puri umra wo humse bheekh mohabbat ki mangwate rahe,

gire rahe yun hi unki mohabbat ki raahon me
aur wo hume thokerein pe thokerein marte rahe

socha kabhi to badlenge mijaj Dusman-e-jaan ke
har roj naya nastar wo seene me chubhote rahe,

khwab me hi sahi sang unke banati thi gharaunda
dehleej par kadam rakhne se pehle har baar neend se hume wo uthate rahe,

meri hasratein kabhi labon ko na chu payee
aur wo apni har jidd humse manwate rahe

Jannat ko phir bhi unke mohabbat kejannat ki ummeed thi
har baar meri mohabbat wo apni aajmaish ki aag me jalate rahe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aajmaish by armanjali in Share:Love Poetry
Aajmaish..!! by Áɑѕӈίգ in Miscellaneous Shayri
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 13, 2009, 01:44:12 PM »
Waah Shwetha JI, Kya Khoob Yaar, Bohat Achche LIkha Hai, Aapne Nice One,.

BOhat Achche,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 13, 2009, 01:52:28 PM »

Har Aazmaaish Ke Baad, Bahaaron Ka Mausam Hota Hai,.
Bahaarein Tere Aangan Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

Ab Dekhle Raat Tu Ghamon Ki, Aye Mere Dost,.
Sitaare Khushi Ke Tere Daaman Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

______________________________________-Jaanasheen-



Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #3 on: April 13, 2009, 02:04:29 PM »

Har Aazmaaish Ke Baad, Bahaaron Ka Mausam Hota Hai,.
Bahaarein Tere Aangan Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

Ab Dekhle Raat Tu Ghamon Ki, Aye Mere Dost,.
Sitaare Khushi Ke Tere Daaman Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

______________________________________-Jaanasheen-




Kash is dua me wo asar ho jaye
ki har raat khusiyon ki raat bankar aaye,
wo jo karte hain aajmaish meri mohabbat ki,
unhe bhi is nachiz se pyar ho jaye

Thanks dear azeem
Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: April 13, 2009, 02:32:43 PM »
Unke inkaar ko bhi hum ikraar samajhte rahe
wakif the mohabbat se hamari, phir bhi wo hume aajmate rahe,

apni chahat ke liye takaja hume sahi na laga
puri umra wo humse bheekh mohabbat ki mangwate rahe,

gire rahe yun hi unki mohabbat ki raahon me
aur wo hume thokerein pe thokerein marte rahe

socha kabhi to badlenge mijaj Dusman-e-jaan ke
har roj naya nastar wo seene me chubhote rahe,

khwab me hi sahi sang unke banati thi gharaunda
dehleej par kadam rakhne se pehle har baar neend se hume wo uthate rahe,

meri hasratein kabhi labon ko na chu payee
aur wo apni har jidd humse manwate rahe

Jannat ko phir bhi unke mohabbat kejannat ki ummeed thi
har baar meri mohabbat wo apni aajmaish ki aag me jalate rahe

Bahoot khoob Shweta ji Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 13, 2009, 02:37:06 PM »
Kash is dua me wo asar ho jaye
ki har raat khusiyon ki raat bankar aaye,
wo jo karte hain aajmaish meri mohabbat ki,
unhe bhi is nachiz se pyar ho jaye

Thanks dear azeem


Shukroya Shweta JI,./
Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2009, 02:41:27 PM »
Bahoot Acha Azeem ji Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 13, 2009, 02:45:20 PM »
Bahoot Acha Azeem ji Clapping Smiley

THank U,.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: April 13, 2009, 03:14:38 PM »
wAH BAHOOT KHOOB SHWETA. ( FINALY I GOT UR NAME) Usual Smile

vERY NICE WRITTEN JANASHEEN.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2009, 03:17:09 PM »
wah wah jannat, wah bahut hi khoob. Hamey yakeen hai, yeh kissa bahutoh sey sath gujara hoga ya gujar raha hai, aap ney badey pyare andaaz meh yeh likha hai ... dil koh chooo gayi aap ki yeh poem ... wah bahut khoob ....

jasbir singh
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: April 14, 2009, 04:25:53 AM »
Kya bata hain badi diljali peshkash ki hain JJ.. bohat khoob..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 14, 2009, 07:35:16 AM »
Shukriya Sophi Ji,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 14, 2009, 07:42:43 AM »

Har Aazmaaish Ke Baad, Bahaaron Ka Mausam Hota Hai,.
Bahaarein Tere Aangan Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

Ab Dekhle Raat Tu Ghamon Ki, Aye Mere Dost,.
Sitaare Khushi Ke Tere Daaman Mein Aaye Hum Duaa Karte Hain,.

______________________________________-Jaanasheen-





Kitni pyaari dua di hain Chote.... subhan_allah..
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2009, 08:18:57 AM »

 aapki nazm achchi hai , sirf yeh guzaarish hai aap urdu key alfaaz ko bhi
  agar english main likain to j  aur z main farq rakhain iss sey aap ki gazal aur nazam  auur bhi khili khili lagey gi.

 main lagatar aap ki tehreer padhtaa hoon. aaj ye kahney ki jurrat kar rahaa hoon. agar bura lagaa to mujhey maaf kar dain . really aap ki nazam bahaut sunder hoti hai
   
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: April 14, 2009, 09:09:00 AM »
aapki nazm achchi hai , sirf yeh guzaarish hai aap urdu key alfaaz ko bhi
  agar english main likain to j  aur z main farq rakhain iss sey aap ki gazal aur nazam  auur bhi khili khili lagey gi.

 main lagatar aap ki tehreer padhtaa hoon. aaj ye kahney ki jurrat kar rahaa hoon. agar bura lagaa to mujhey maaf kar dain . really aap ki nazam bahaut sunder hoti hai
  

Bohat khoob Islah ki hain KA very good.....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:26:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer