***aajmayish ka daur thehar kyu nahi jaata***

by kaushikbhawna008 on October 11, 2008, 07:07:20 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1602 times)
kaushikbhawna008
Guest
likhne ko ab talak bohut kuch hai likha
par ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata

katti dhoop bhi hai aur judaai bhi
bas ek saawan ka mausam gujara nahi jaata

mat soch ae-dil un beeti baaton ko
waqt ka ek bhi lamha kabhi lautkar nahi aata

aate aate palko mei sukh hi jaate hain aansu
par dard se nikli aah koi us tak nahi pahunchata

yu to khade hain ham is or saahil par magar
koi lehar mujhe baha le jaaye aisa tufaan bhi nahi aata

thak gayi hoon aaj khud se ladte ladte
na jaane ye aajmayish ka daur thehar kyu nahi jaata
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2008, 07:12:30 AM »
BAS AB KUCH NA KEHNA KARNA NA SHAYRI
TERE LAFZO ME CHUPA DARD MUJSE DEKHA NAHI JATA

                              -SG-
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2008, 07:22:23 AM »
rishton ki aadd mei ham piste hi rahei
kabhi khud se kabhi khuda se ulajhte hi rahe
na samajh paayei ye waqt ka daur
aur ham apni kismat ko hi koste rahe
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2008, 07:49:23 AM »
 Applause Applause

Very nice creation bhawna ... Thumbs UP
Bohat khoob likha hai aapne..

 


 
 


 
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2008, 08:12:25 AM »
bohut bohut shukriya honey ji
Logged
tanhadil
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2008, 11:47:35 AM »
dard hi dard jhalakta hai shabdo me
lagta hai gahri chot khayi hai
koi kyu ho jata hai ishq me begana sabse
ishaq khokar hi dard ne apni jagah banayi hai .......


gar baya hota ishq lafjo se to kya bat thi

aati na tanhai me unki yad to kya bat thi

na aaya hai na aayega aakar jane wala

kambakhat ye dil samjh jata to kya bat thi ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: October 11, 2008, 08:45:49 PM »
likhne ko ab talak bohut kuch hai likha
par ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata

katti dhoop bhi hai aur judaai bhi
bas ek saawan ka mausam gujara nahi jaata

mat soch ae-dil un beeti baaton ko
waqt ka ek bhi lamha kabhi lautkar nahi aata

aate aate palko mei sukh hi jaate hain aansu
par dard se nikli aah koi us tak nahi pahunchata

yu to khade hain ham is or saahil par magar
koi lehar mujhe baha le jaaye aisa tufaan bhi nahi aata

thak gayi hoon aaj khud se ladte ladte
na jaane ye aajmayish ka daur thehar kyu nahi jaata

rishton ki aadd mei ham piste hi rahei
kabhi khud se kabhi khuda se ulajhte hi rahe
na samajh paayei ye waqt ka daur
aur ham apni kismat ko hi koste rahe


Bohot Khoob Bhawna  Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 11, 2008, 08:47:02 PM »
BAS AB KUCH NA KEHNA KARNA NA SHAYRI
TERE LAFZO ME CHUPA DARD MUJSE DEKHA NAHI JATA

                              -SG-

dard hi dard jhalakta hai shabdo me
lagta hai gahri chot khayi hai
koi kyu ho jata hai ishq me begana sabse
ishaq khokar hi dard ne apni jagah banayi hai .......


gar baya hota ishq lafjo se to kya bat thi

aati na tanhai me unki yad to kya bat thi

na aaya hai na aayega aakar jane wala

kambakhat ye dil samjh jata to kya bat thi ...

Nice reply Sajid Ji, Tanha Ji  icon_thumleft
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: October 11, 2008, 08:57:13 PM »
Aazmaish ger khatm ho jaye
To duniya hi khatm ho jaye

Qismat ko koosne se kia mila kisi ko
Natu hi mili, na main hi mila kisi ko



bahut khoob bhawna  saheba



javed
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: October 12, 2008, 05:48:19 AM »
bahut khoob bhawna ji
bahut hi sunder ahsaas




Baadal
Logged
khamosh.larka
Guest
«Reply #10 on: October 12, 2008, 06:32:25 AM »
 acha ha bouth dil ko laga nice
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #11 on: October 13, 2008, 07:09:52 AM »
thnk u everyone    notworthy notworthy notworthy
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:53:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer