Aakhir Kab Tak

by syednaami on April 28, 2008, 08:33:37 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2718 times)
syednaami
Guest
«Reply #15 on: April 30, 2008, 06:29:56 AM »
Sarthika Jee,

Wah wah kya andaz hai aapka, subhanallah aap ka kalaam sun kar phir aapne likhne par majboor kardiya.
Buhat shukriya apni nazm paish karne ka.

S Naami



Quote from: sarthika
Khushi jo bhi mile, usko bhi to apne pass bula le
Dard ho jayege door, jara sa jo tu muskura de

Yeh Misra kamaal ka matlab rakhta. Bravo!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aakhir kyu ?? by charu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aakhir ye dil kya hai.. by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAKHIR KYA MAAJRA HAI YE( NM) by faheem_akayla in Share:Love Poetry
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #16 on: May 01, 2008, 09:41:09 PM »
Bohot umda kalam sab ne pesh kiye.

s.naami ji bohot achchha he.  Applause
sarthika ji hamesha ki tarha bohot umda likha he aap ne.  Applause

pooja ji aap ka kalam haqiqat ke zyada qareeb he, balke khuli huai haqiqat he, log galat fehmi rakhte hen, magar ham dard ke liye dunya ko nahi chhod te balke zindagi ko jeete bhi hen or apne dad ke bhi wafadaar rehte hen, kam az kam ham use thookar nahi marte, door nahi bhagte, khaas kar jab kisi pyare ka diya huwa gam ho to use pyaar karte hen, dulaar te hen, dhutkaarte nahi.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #17 on: May 01, 2008, 09:51:31 PM »
Randeri Muhtaram,
Aap aye to yeh nazam mukammal hui. Tashreef aavari ka mashkoor hun.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: May 01, 2008, 09:57:47 PM »
Sayyid ji,

Dard milte rahe kitne bhi,
zindagi jeene se rukte nahi
chalati hi rahti hai zindagi,
magar yah koi zindagi to nahi


Syed Muhtaram tongue3

Apka jawab is post mai kab ayega!!!

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #19 on: May 01, 2008, 10:22:58 PM »
++++++++
Logged
syednaami
Guest
«Reply #20 on: May 01, 2008, 10:39:01 PM »
Lajawaab kardiya mian

Har dard ka ek maza hota hai
gar ziyada ho to saza hota hai
Diye ki tarah jalen bhi to kya
Jot se bhi to parwana hi jalta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: May 01, 2008, 11:29:16 PM »
wah bahoot khoob Sayyed jii and syid(Sami)jii!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: May 02, 2008, 05:00:18 PM »
Dard nahi hai kaha, yah tu mujhe batla de
Nai zindagi ke janam se, maran tak ka samjha de

Phir kyun ek toote dil per, itani udaas rahti ho
Hai kon puran sukhi, uska pata mujhko bhi batla de

Khushi jo bhi mile, usko bhi to apne pass bula le
Dard ho jayege door, jara sa jo tu muskura de

Sapno mai bhali hai, khayalo ki yah sari baatein
Per haqiqat ko, in khayalo se milana bhoola de

Dil mai dohra, her ek choti se choti khushi ko
Khamoshio mai apni, thori si gungunahat mila de

Dard ke silsillo main, Khushio ko bhi mila de
Sarthika ki is baat ko, Pooja tu dil se apna le!!!

Dard nahi hai kaha, yah tu mujhe batla de
Nai zindagi ke janam se, maran tak ka samjha de.....



Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai

Ek hi dil tha jo toot gaya, ab samjh na kuch ayya hai
Kitna bhi chah kar, yah dil uska moh na chor paya hai

Khushi jab bhi mile, aor uski yaad dila gai
Her khushi main, hota agr wo sath, yahi yaad ayya hai


Sapno main khush hokar he kuch sakoon paaya hai
Mere itne se sakoon per bhi kyun tumne sawal uthaya hai

Khushi nahi hoti gawara, zindagi ko gumo se hi sajaya hai
Jab bhi chaha gungunana, tab tab ek wo hi yaad ayya hai

Khushi ke sillsille main, dard khud akar mil jaate hai
Jitna bhi chaha khushi ko, utna hi dard paya hai

Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #23 on: May 02, 2008, 07:54:45 PM »
Lajawaab kardiya mian

Har dard ka ek maza hota hai
gar ziyada ho to saza hota hai
Diye ki tarah jalen bhi to kya
Jot se bhi to parwana hi jalta hai


+++++++++
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #24 on: May 02, 2008, 07:59:29 PM »

Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai

Ek hi dil tha jo toot gaya, ab samjh na kuch ayya hai
Kitna bhi chah kar, yah dil uska moh na chor paya hai

Khushi jab bhi mile, aor uski yaad dila gai
Her khushi main, hota agr wo sath, yahi yaad ayya hai


Sapno main khush hokar he kuch sakoon paaya hai
Mere itne se sakoon per bhi kyun tumne sawal uthaya hai

Khushi nahi hoti gawara, zindagi ko gumo se hi sajaya hai
Jab bhi chaha gungunana, tab tab ek wo hi yaad ayya hai

Khushi ke sillsille main, dard khud akar mil jaate hai
Jitna bhi chaha khushi ko, utna hi dard paya hai

Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai


Wah pooja ji Waaaah  Applause  icon_salut Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: May 02, 2008, 08:16:37 PM »
BAHOOT BAHOOT SHUKARIA SAYYID JI
Logged
syednaami
Guest
«Reply #26 on: May 02, 2008, 11:06:48 PM »
Superb  Clapping Smiley
Logged
natural
Guest
«Reply #27 on: May 03, 2008, 06:52:05 AM »

Nicely written Syednaami, Pooja & Sarthika.. Keep it up.. Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #28 on: May 03, 2008, 05:14:53 PM »
Thanks a lot Mr. Natural.
So nice of you.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #29 on: May 03, 2008, 05:40:23 PM »

Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai

Ek hi dil tha jo toot gaya, ab samjh na kuch ayya hai
Kitna bhi chah kar, yah dil uska moh na chor paya hai

Khushi jab bhi mile, aor uski yaad dila gai
Her khushi main, hota agr wo sath, yahi yaad ayya hai


Sapno main khush hokar he kuch sakoon paaya hai
Mere itne se sakoon per bhi kyun tumne sawal uthaya hai

Khushi nahi hoti gawara, zindagi ko gumo se hi sajaya hai
Jab bhi chaha gungunana, tab tab ek wo hi yaad ayya hai

Khushi ke sillsille main, dard khud akar mil jaate hai
Jitna bhi chaha khushi ko, utna hi dard paya hai

Dard hai her taraf yah samjh mai ayya hai
Per jisne bhi paya, usko sirf apna hi najar ayya hai

Bahut khoob Pooja didi  Applause

Sarthika jee aap ne b behtarin kalam likha hai  Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:25:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer