*** Aakhiri Raat - (Zaif) ***

by Zaif on November 11, 2013, 01:32:46 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 743 times)
Zaif
Guest
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat..
(* separation)

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..

Husn se jalte honge kaante bhi,
Phir se roya gulaab aaj ki raat..

"Aap_beeti" kahunga phir kabhi,
Mat chhed ye baab aaj ki raat..

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat..

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat..

Hashr ka 'Zaif', kuch to khauf khaa,
Khuda maangega hisaab aaj ki raat..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
°°° Ghazal - Zaif °°° by Zaif in Shairi - E - Zindagi
°°° Ek Sh'er - Majboori °°° -(Zaif) by Zaif in Shayri-E-Dard
°°° Sh'er -(Zaif) °°°° by Zaif in Shayri-E-Dard
°°° Ek pagli -(Zaif) °°°° by Zaif in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal (Zaif) by Zaif in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 11, 2013, 01:40:07 PM »
wonderful wonderful daad hee daad
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #2 on: November 11, 2013, 02:33:45 PM »
bahut bahut aur bahut khoob zaif ji.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: November 11, 2013, 03:38:14 PM »
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat..
(* separation)

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..

Husn se jalte honge kaante bhi,
Phir se roya gulaab aaj ki raat..

"Aap_beeti" kahunga phir kabhi,
Mat chhed ye baab aaj ki raat..

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat..

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat..

Hashr ka 'Zaif', kuch to khauf khaa,
Khuda maangega hisaab aaj ki raat..

waah waah zaif sahab bohut hi umda kalaam pesh hua hai
har ashaar apna hi  mazaa rakhta hai ,
bohut khoob likhte rahiye
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #4 on: November 11, 2013, 04:58:24 PM »
  icon_flower icon_flower
Logged
sidra04
Guest
«Reply #5 on: November 11, 2013, 05:20:58 PM »
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

waahh kyaa haseen matla hai....  laughing4 laughing4

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat

khoob tasawwur o khayaalaat....  Applause Applause

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..


ahhhhhh kyaaa dard bayaani hai...  notworthy notworthy

"Aap_beeti" kahunga phir kabhi,
Mat chhed ye baab aaj ki raat

waaaaaahhhhhh  angel11

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat

superbbbb  hello2 hello2

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat

hahahaha waahhh kya baat hai........  Giggle Giggle Giggle

Hashr ka 'Zaif', kuch to khauf khaa,
Khuda maangega hisaab aaj ki raat..... aaj to hashr ki raat nahi hai  janaab.... haaye allaah !! sach kahiye...  icon_scratch Feared. Feared. Feared.

bahot hi khoobsurat aur aalatareen gahzal pesh ki hai aapne zaif saahab.... waahhhhh har sher pe waahhh kaha hai maine.... behtareen.... ho zore kalam aur bhi zaada..... likhte raheN...

Sidra
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #6 on: November 11, 2013, 05:58:07 PM »
Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat..

Zaif ji kya khoob kalaam pesh kiya hai aapne...

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: November 11, 2013, 06:17:25 PM »
bahut achhi ghazal hai Zaif jiu . dheron daad .
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #8 on: November 11, 2013, 07:36:36 PM »
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat..
(* separation)

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..

Husn se jalte honge kaante bhi,
Phir se roya gulaab aaj ki raat..

"Aap_beeti" kahunga phir kabhi,
Mat chhed ye baab aaj ki raat..

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat..

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat.. Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Hashr ka 'Zaif', kuch to khauf khaa,
Khuda maangega hisaab aaj ki raat.. khuda hashr ke maidaa mein hisaab mange ga
[/b][/i][/color]


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: November 11, 2013, 08:18:07 PM »
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat..

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat..

 Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob Zaif jee

Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: November 11, 2013, 08:23:14 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waaaaaaah Zaif ji kya kehne... zabardastt kalaam aur zabardastttttttt ashaar...aapko bahut bahut bahut mubarak ho...
Logged
nashwani
Guest
«Reply #11 on: November 12, 2013, 01:15:53 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #12 on: November 12, 2013, 07:43:48 PM »
Nikla nahi phir maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain khaab aaj ki raat..

Shab-e-furqat* hai, jal rha hai tan,
Lage barish bhi tezaab aaj ki raat..
(* separation)

Gale lipat kar rone laga chaand,
Hairaan pada taalaab aaj ki raat..

Gam-e-hayaat ab saha nahi jaata,
Mujhe maar do janaab! Aaj ki raat..

Husn se jalte honge kaante bhi,
Phir se roya gulaab aaj ki raat..

"Aap_beeti" kahunga phir kabhi,
Mat chhed ye baab aaj ki raat..

Qaatil! Tu zaroor koi apna hi hai,
Utha to zara naqaab aaj ki raat..

Haule haule mat maar, zindagi!
Seedha galaa daab aaj ki raat..

Hashr ka 'Zaif', kuch to khauf khaa,
Khuda maangega hisaab aaj ki raat..

naaaaaaaaaaaaaice
Logged
Zaif
Guest
«Reply #13 on: April 01, 2014, 09:42:11 AM »
Thnk u !!
Logged
paani
Guest
«Reply #14 on: April 02, 2014, 01:16:11 AM »
nice one Zaif
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:41:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer