aakhiri salam for nishi poo sanj sonu wahi & others

by mateen govindvi on August 15, 2004, 05:46:13 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2993 times)
mateen govindvi
Guest
har lamhe , har ek pal, har baat yaad rakhna
jo waqt saath beete wo waqt yaad rakhna
kismat me agar hogi mulakat fir se hogi
tab tak ke liye ye aakhiri mulakat yaad rakhna
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nishi ke liye party from sam n talat by samnoj in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 8 9 »
TO NISHI N SAM......WITH LOVE!!!!! by Talat in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Aakhiri Chahat by Alam Qazi in Shairi - E - Zindagi
Aakhiri Shaam by harashmahajan in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
>>>>For My Sonu Mom<<<<< by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
nishita
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2004, 06:47:06 AM »
waah

har lamha, har ek pal, har ek baat yaad hai mujhe
asoon diye the jis din woh raat yaad hai mujhe
kaise bhooloongi yeh safar jo tere saath guzra hai
yaad tha yaad hai yaad rahega har mulakat mujhe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2004, 10:27:16 PM »
nice both...
Logged
mateen govindvi
Guest
«Reply #3 on: August 17, 2004, 09:30:42 AM »
thanx pooja
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #4 on: January 13, 2005, 09:59:52 AM »
Quote from: "mateen govindvi"
har lamhe , har ek pal, har baat yaad rakhna
jo waqt saath beete wo waqt yaad rakhna
kismat me agar hogi mulakat fir se hogi
tab tak ke liye ye aakhiri mulakat yaad rakhna



zindagi ka lamha lamha, zindagi berbaad hai
jis trah main ja raha hu rasta dushwaar hai
kuch nahi hai, ek gharonda hai meri zindagi
main jidher bhi dekhta hu, ret ki deewar hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #5 on: January 13, 2005, 10:14:36 AM »
mujhe ek samajh ke sapna, bahter hai bhool jana
na mera intezaar kerna, na mera intezaar kerna

jis dil me pyar nahi aata, wo kabhi paarsa nahi hota
woh to wakt ki tabahi hai, aadmi khud bura nahi hota

na mujhe kabhi yaad kerna, na mera naam lena
mujhe ek samajh ke sapna, bahter hai bhool jana

na kabhi mera zikr karna, na kabhi meri fikr karna
na ashkbaar kerna, na dil ko be karaar karna

mujh ko ek samajh ke sapna, bahter hai bhool jana
na mera intezaar kerna, na mera aitbaar kerna

mujjhe ek samajh ke sapna, bahter hai bhool jana  
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: January 13, 2005, 10:20:55 AM »
wow.........very nice samnoj,nishi.
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #7 on: January 13, 2005, 01:32:10 PM »
ye khat nahi sada-e-dil-e-derd mand hai
isme logon ka pyar lifafe me band hai

socha kare ki leke zamane ki rahate
mujhko tumhari yaad me rona pasand hai

tere hi naksh-e-pa ki badolat sahi magar
dunya ke saamne to mera sir buland hai

kaise kare batao khushiyon ka hum chiraga
ye aandhiyaan ghumo ki phir se buland hai

'anber' ke paas sajda bhi aur ashk ghum bhi hai
ae sahab-e-jamaal tujhe kya pasand hai

. . . . . . . . . . . . . . . . .ANBER
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: January 13, 2005, 03:43:11 PM »
wakt aakhri hai phir na pachtana
do ghadi ke liye tum chale aana

hogi gairo ko khama kha hajamat
apne haatho se tum mujh ko dafnana

kudh ko dekhe hue zamana guzer gaya
apni surat zara mujhe dikha jana

leke do aansu apni ankho me
meri kaber pe phool bersana

dekh le aaj apne 'sadik' ko
inhe phir lout ke hai nahi aana

wakt aakhri hai phir na pachtana
do ghadi ke liye tum chale aana

. . . . . . . . . . . SADIK
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: January 13, 2005, 03:52:09 PM »
superb work sam...........  

too ne phir dunia ke mayaron pe hi jancha mujhe
phir tujhe meri mohabat ka khayal aya nahi


tu ne ye phhool jo baloon mein laga rakha hai
ik dia hai jo andheron mein jala rakha hai


sone chandi ki chamakti hui meezanon me
mere jazbaat ki taskeen nahi ho sakti


manzil ko mere shok ka ehsas jab hua
her zra meri rah me deewar ban gia

Dill ki turbat pe jall uthay hein chiragh
kia kahoon? kis ki yaad aai hey!!!!!!!!!


apne burqoon ki wirasat ko sambhalo warna
apki barish men yeh deewar bhi girjayegi.....  :sad:
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: January 13, 2005, 03:59:08 PM »
jab bhi mila to mil ke dil hi dukha  gaya
bichda to yaad ban ke rago me sama gaya

kitne kareeb tha wo sabhi dooryon ke saath
de ker haseen khawaab wo mujh ko sula gaya

ruswaaiyon ka khouf tha ya ahtiyaat thi
pani pe likha naam to paani hila gaya

uspe yakeen kerke muhabbat hui tabah
hasil tha unko pyaar ki suli chadha gaya

'akhtar' sa khud fareb na hoga na hai koi
haatho se apni hasti ko khud hi mita gaya

. . .. . . . . . . . . AKHTAR
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: January 13, 2005, 04:02:28 PM »
Quote from: "samnoj"
jab bhi mila to mil ke dil hi dukha  gaya
bichda to yaad ban ke rago me sama gaya

kitne kareeb tha wo sabhi dooryon ke saath
de ker haseen khawaab wo mujh ko sula gaya

ruswaaiyon ka khouf tha ya ahtiyaat thi
pani pe likha naam to paani hila gaya

uspe yakeen kerke muhabbat hui tabah
hasil tha unko pyaar ki suli chadha gaya

'akhtar' sa khud fareb na hoga na hai koi
haatho se apni hasti ko khud hi mita gaya

. . .. . . . . . . . . AKHTAR


wah!!!!!!!!!!!!!!  sam excellent...............

apnay mehboob ki judaai ko
dil ka na roag tum bana lena
rona rona faqat hai rona ab
aur roatay mein muskura dena...............................
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #12 on: January 13, 2005, 04:08:09 PM »
na tabeebo ki talab hai, na dawa maangi hai
main to chahe teri zulfo ki hawa maangi hai
dushmano haath uthao ki main jiyu berso
dosto ne mere marne ki duwa maangi hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #13 on: January 14, 2005, 06:51:44 AM »
jo manjoor na tha kishmat ko wo karna chaha
pyar bankar tumhari raahon main bikhrna chaha
kitani maayush hai ye jheel si aankhe tumhari
doobkar in main bhala kisne ubharana chaha
main to ek shak ka samandar hoo mutabik tumhare
koan sa tumne bhi mujh tak hi taherna chaha
tumhare waade ne mujhe rok diya hai sarkar
tumhari tarah jo kabhi jaan se gujarna chaha
kuch aur badh gaye fir kishmat ke andhere
humne jab gum ke samandar se ubharna chaha


. . . . . sameer (poem143s) yoindia member
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #14 on: January 14, 2005, 06:59:01 AM »
Kafan na daalo mere chehre pe,
mujhe aadat hai muskurane ki..
na dafnao meri laash ko yaaro
mujhe ab bhi ummeed hai unke aane ki..!


. . . . . . . . . . . NISHITA (yoindia member)
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:02:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer