Aakhri ilfaaz...!!!

by Sadia Raja on November 15, 2008, 12:51:24 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1398 times)
Sadia Raja
Guest
Gham-e-Hayat ka jhagra mita raha hai koi,
Chaley aao k duniya se ja raha hai koi,
Azal se keh do k ruk jaaye do ghari,
Suna hai anay ka wada nibha raha hai koi,
Woh is naaz se baithey hai laash k paas,
jaisay roothey hue ko mana raha hai koi,
Palat kar na ajaye phir saans jism mein,
Itne haseen hath se mayiat saja raha hai koi..!!!

(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakhri aakhri by mnfardeen in Ghazals
Ek Aakhri Kaalaam Ek Aakhri Khitaab by Ghayal in Shayri for Dard -e- Judai
aakhri khawish by tushar_4u_im in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 ... 8 9 »
Aakhri..PaiGaam by majid in Shayri for Dard -e- Judai
~*~Aakhri Salaam ~*~ by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: November 17, 2008, 03:52:23 PM »
Bahot Badhiya Sadia Ji,.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: November 17, 2008, 04:34:31 PM »
Very Good Sharing Sadia Ji... Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2008, 05:04:06 PM »
NICE SHARING SADIA
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: November 18, 2008, 01:34:36 PM »
Gham-e-Hayat ka jhagra mita raha hai koi,
Chaley aao k duniya se ja raha hai koi,
Azal se keh do k ruk jaaye do ghari,
Suna hai anay ka wada nibha raha hai koi,
Woh is naaz se baithey hai laash k paas,
jaisay roothey hue ko mana raha hai koi,
Palat kar na ajaye phir saans jism mein,
Itne haseen hath se mayiat saja raha hai koi..!!!

(NM)

Ahmad Faraz Sahab ki aakhiri ghazal......Bas dil bohot ranjeeda ho gaya ki ab unke aur khoobsurat kalam padhne ko na milenge......Beautiful Sharing Sadia
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: November 23, 2008, 04:13:38 PM »
Jitna Pardhta Hoon,.
Uthna Hi Dukh Hota Hai,.
Allah Paak Ahmed Faraaz Ji Ko jannat Mein Aaala Mukhaam De,.
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #6 on: November 23, 2008, 05:33:33 PM »
Haan jansheen Faraz ji ku perh kay khuch aaisa he hota hay hamaray sath bhe... Waqai mien bohat aala-0-kamran shayer thay.. bohat tejerbat kiay unhon nay poetry mien...aasan beher mien sada biani un ka he kamal hay..

Muje yad hay ye 1986-87 ki baat hay jub muje un say pehli dafa milnay ka itifaq hua (I was student then), mera aik "Nasam Para" (teraqi pasund tehreeq k teh-hut aik muqabla hua tha jis ki bandish thee k "naser" say koi hawala lay ker Nazmia style mien biyan kia jaay aur kahani ko nia anjam dia jaay. aaisi kawish ko Nasam kaha gia. Baad mien ye movement khatam ho gai aur behter nasam paray takhleeq na ho sakay)jis nay 1st prize lia tha unhay bohat pasand aaia tha.(ju phir kabhi sunaoN ga)unhon nay mujh say kai bar suna aur kaha k tum achay shayer ho gay ager poetry kertay raho tu. Baad mien bhe kai dafa millay per muje usi Nasam para k hawala say pehchantay thay...Mien business mien aa gia un ki naseehat pay pora amal na ker saka...Mager jub say wo hum say juda hoay hien muje un ki batien aur molaqatien aur bhe shidat say yad aanay lagi hien....Khuda un ki magfirit keray bohat baray poet aur bohat beray shayer thay....

Kub kahan khuch lala-o-gul mien numaian ho gaien

Duaago.
Sajid Hadayat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 24, 2008, 01:50:28 PM »
Great Bhaijaan,.
Aap Unko Jab Dekhe,.
Main Jab paida Hi Nahi Hua Tha,.
U Are Lucky,.
Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #8 on: December 05, 2008, 03:20:56 PM »
bohat bohat shukriya Celmira, Pooja, Mahiya and Janasheen g..... Usual Smile



Marhoom Ahmed Faraz g ki shayari hai hi itni khoobsurat aur nayab k tahreef k bina reh nahi sakte wo chahe hamein chor kar chale gaye par unki shayari hameshaa ham me zinda rahe gi...!!!
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #9 on: December 07, 2008, 10:05:08 AM »
Great Bhaijaan,.
Aap Unko Jab Dekhe,.
Main Jab paida Hi Nahi Hua Tha,.
U Are Lucky,.

shukria jaanasheen..
Sajid Hadayat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 07, 2008, 10:26:12 AM »
bohat bohat shukriya Celmira, Pooja, Mahiya and Janasheen g..... Usual Smile



Marhoom Ahmed Faraz g ki shayari hai hi itni khoobsurat aur nayab k tahreef k bina reh nahi sakte wo chahe hamein chor kar chale gaye par unki shayari hameshaa ham me zinda rahe gi...!!!

Sahi Kaha Aapne Raja Ji,.
Kyun Na Hum Is Thread Mein,.
Ahmed Faraaz Ji Ki Shayaris Post Karein,.
Unki Yaad Mein,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 07, 2008, 11:05:41 AM »
'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin

_________________________-Ahmed Faraaz-
Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #12 on: December 08, 2008, 09:13:34 AM »




Sahi Kaha Aapne Raja Ji,.
Kyun Na Hum Is Thread Mein,.
Ahmed Faraaz Ji Ki Shayaris Post Karein,.
Unki Yaad Mein,.



g bilkul aapne sahi kaha
gr8 idea Janasheen g
ham aisa hi karenge..!!!






'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin

_________________________-Ahmed Faraaz-


nice sharing Janasheen g..!!!
Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #13 on: December 08, 2008, 09:22:31 AM »
tujh se mil kar kuch khafa hain hum
be-murawat nahi to kya hain hum

hum gham-e-karwaan mein bethe they
laug samjhe shikasta pa hain hum

is tarha se humein raqeeb miley
jaise mudat ke aashna hain hum

raakh hain hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e-dost aur kya hai hum

khud ko sunte hain iss tarhaa jese
waqt ki aakhri sadaa hain hum

kyun zamane ko dein Faraz ilzaam
woh nahi to be wafa hain hum..!!!


---------Marhoom Ahmed Faraz g-----------
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 08, 2008, 10:28:21 AM »
Shukriya Sadia Ji,.
And Nice Sharing from Ur Side Too,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer