angel4u
Guest
|
Mere Sahir Teri Aankhein, Ye Kaisa Dard Rakhti Hai, Inhe Likhne Ki Chahat Mein, Meri Kalam Thaki Kitna, Inhe Padhneki Chahat Mein, Meri Aankhein Jali Kitna,
Main Likh Likh Kar Teri Aankhein, Sunati Thi Jo Duniya Ko, Zamana Rukti Saanson Mein, Teri Aankhon Ko Sunta Tha, Zamane Doob Jaate The, Jo Tujhko Yaad Rakthe The, Wo Khudko Bhool Jaate The,
Kisi Shab Ek Saa'at Mein, Teri Aankhon Se Soyi Thi, To Jitne Khwab Bhi Dekhe, Main Pehron Inpe Royi Thi, Teri Aankhon Se Takra Kar, To Sapne Toot Jate Hai, Mere Sahir Teri Aankhein, Ye Kaisa Dard Rakhti Hai,
Ye Sapne Aur Bhi Lein To Kisi Tabeer Ka Surat Inhe Sone Nahi Deta, Kisi Shishe Se Manzar Par Teri Aankhein Jo Uth Jayein Wo Shisha Zard Ho Jaye Misaal-E-Dard Ho Jaye,
Teri Aankhon Ki Mehroomi, Kisi Chehre Ki Dualat Se, Kyon Jane Kam Nahi Hoti,
Ye Sadiyon Ka Safar Aur Hai, Larazti Narm Palkon Mein, Zamana Saaz Si Aankhein, Na Jane Kab Se Patthar Hai, Kyon Jane Nam Nahi Hoti,
Ye Socha Tha Kabhi Maine, Yehi Kuch Maine Socha Tha, Ke Chahun To FaQat Ek Lams Dekar Hi, Inhe Phir Se Jaga Dalun, Main Is Gumsum Se Patthar Ko, Mehaz Chhu Kar Rula Dalun, Main In Aankho Mein Likha Dard, Mohabbat Se Mita Dalun,
Magar Jab Roobaroo Paaya, Teri Aankhon Ko Meri Jaan, Teri Aankhein Meri Aankhon Mein, Jaise Jazb Hoti Thi, Main Khudko Bhul Baithi Thi, Mujhe TUM Yaad Rehte The,
Teri Aankhon Ke Dukh Dariya, Meri Aankhon Se Behte The, Meri Aankhein Bhi Ab Bilkul Teri Aankhon Si Lagti Hai, Wohi Hasrat Wohi Wehshat, Wohi Chup Chaap Patthar Si, Ke Jiss Manzar Pe Uth Jayein, Aseer-E-Dard Kar Jayein,
Main Jab Se Soch Mein Gum Hoon, Mujhe Kuch Tu Hi Samjha De, Mere Sahir Teri Aankhein, Ye Kaisa Dard Rakhti Hai??? * * * * *
nm
|