Aankhon Mein Aaj Ek Nami Si Lagti Hai.......

by khwaish on March 04, 2009, 04:01:06 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 6006 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Bahut Din Baad,Shayri-e-Dard Mein Kuch Likh Raha Hoon..Umeed Karta Hoon,Aap Sab Ko Yeh nazm Pasand Aaye..Iss Nazm Ke Aakhri Do Sher Hausla Zaroor Deti Hai..

Dard Mein Bhi Kuch Kami Si Lagti Hai,
Zindagi Ajnabi Si Lagti Hai...

Shikayte Rahi Hai Mujhe Hamesha Meri Taqdeer Se,
Kuch Keh Na Saka, Aur Chup Reh Na Saka,
Zindagi Ek Bejaan Tasveer Si Lagti Hai....

Hauslo Ne Dam Tod Diya,
Aur Phir Bhi Chehre Par Ek Bebas Si Muskaan,
Roya Kabhi Nahi Hoon Main!!!
Par Aankhon Mein Aaj Ek, Nami Si Lagti Hai....

Kuch Fark Nahi Ab Doston Aur Dushmano Mein,
Dushmani Bhi Ab Hume Dosti Si Lagti Hai....

Shamme Hasti Ki Lau Bahut Kam Hai,
Yeh Sehar Aakhri Si Lagti Hai....

Meri Nakaamiyaabi Par Kisi Ka Kehna Ke,
"KHWAISH" Gham Na Kar!!!

"Daana Khaak Mein Milkar Hi Gule-Gulzar Hota Hai."
Iss Baat Par Ab Mujhe Roshni Si Lagti Hai....


Apne Dard-O-Gham Ko Sochkar,
Naa Jaane Kya Likhta Chala Gaya "KHWAISH"!!!
Ab Padhta Hoon To Naa Jaane Kyon,
Yeh Shayari Si Lagti Hai......

         ~~~~~KHWAISH~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aankhon ki Nami _____ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
AANKHON MEIN ABB NAMI NAHI HOTI ................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
Aankhon Mein Nami by Ritesh Modi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aankhon main ek nami si kyon hai by love4u in Share: Poetry of Pain
Teri aankhon ki nami...Raaj by Sunil Malhotra in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 04, 2009, 04:19:03 PM »
Aaj itna dard kyun ? Humesha ki tarah behad achcha likha hai Khwaish Dost .. Bohot Bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #2 on: March 04, 2009, 04:31:15 PM »
waah! sach mein, waise tho puree nazam kabil-e-tareef hai, par waqee aakhree do shaer kamaal hain!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 05, 2009, 05:14:02 AM »
Aaj itna dard kyun ? Humesha ki tarah behad achcha likha hai Khwaish Dost .. Bohot Bohot Khoob Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Talat!!!Dard Ka Kya Kahoon, Kabhi-kabhi Zindagi Ki Haqeeqat Darra Jaati Hai.. sad7
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: March 05, 2009, 06:24:22 AM »
Bhai man gaye apko...kya khoob likha hai... Applause Applause
every single line touched my heart deeply but the last stanza was awesome...superb dear...

padkar tujhe Khwahish hum toh tere deewane hogaye,
meri zindagi teri shayari ki pyaasi lagti hai,
itna acha likha hai tune ke pehli baar kehgaya Rahim ,
aaj toh meri shayari bhi tere samne mamuli si lagti hai...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: March 05, 2009, 06:26:20 AM »
 Applause  Applause   Clapping Smiley
Bahut Bahut Bahut Khoob Khwaish Ji,
Sach me bahut hi dard bhara likha hai,

Shally.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: March 05, 2009, 07:46:17 AM »
Bohat khoob Khwaish.....muje to last ki do line bohat sachchi aur achchi lagi. Ghayel ki shayri ki buniyaad hain tumhari last ki do line....

Ek shayer ko pagal na kaho dosto
Uski halet pe na tum haso dosto
Jab gum me tum bhi mub_tila ho jaoge
Jab apni hi zindagi se tum ghab_raoge
Apne paraye tumko jab dege daga
Jab apni mohabbat banegi bevafa
Jab aakho se aasu behne lagege
Logh tumko bhi pagal kehne lagage
Baat GHAYEL ki us dum tujhe yaad aayegi
Har aah me teri shayri nazar aayegi

-SG-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: March 05, 2009, 10:58:45 AM »
Bohat khoob Khwaish.....muje to last ki do line bohat sachchi aur achchi lagi. Ghayel ki shayri ki buniyaad hain tumhari last ki do line....

Ek shayer ko pagal na kaho dosto
Uski halet pe na tum haso dosto
Jab gum me tum bhi mub_tila ho jaoge
Jab apni hi zindagi se tum ghab_raoge
Apne paraye tumko jab dege daga
Jab apni mohabbat banegi bevafa
Jab aakho se aasu behne lagege
Logh tumko bhi pagal kehne lagage
Baat GHAYEL ki us dum tujhe yaad aayegi
Har aah me teri shayri nazar aayegi

-SG-
Applause Applause Wah wah Ghayel saheb..kamal ka likha hai apne...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: March 05, 2009, 11:25:10 AM »
mashaallah kya khoob likha hai Khwaish ji bahoot hi khubsurati se byan kiya hai ...

Sajid ji, Kaash & Dead Heart .. kya baat hai bahot khoob likha hai aapne sab ne bhi.

Ak koshish meri taraf se bhi

chaha tha jisko , wahin dur ho gaye
Meri aankho mea sirf nami si thi
kyun badal gaya unka nazariyan hamare liye
sayad mere pya mea hi kuch kami si thi

Toot gai thi mea, Jab rutha tha woh
Mere paon tale nikli jamin si thi
Manana chaha unne hamne har tarah se
par unke paas mere liye,wakt ki kami si thi





Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: March 05, 2009, 04:22:42 PM »
Bahut Khoob Khwaish Ji...

Meri Har Shayri Jab Dard Mein Lipat Jayegi,
Teri Bhi aankhon se kuch ladiyan nikal aayegi,
Sawal Chahat Ka Nahi raha ab na hi tujhse naata,
kar rahe hai gunaah jiski saza zindagi paayegi...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 05, 2009, 06:06:40 PM »
waah! sach mein, waise tho puree nazam kabil-e-tareef hai, par waqee aakhree do shaer kamaal hain!

Bahut Bahut Shukriya  aapke Hausle-afsaai Ka Sidra...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 05, 2009, 06:08:24 PM »
waah Khawish ji behad acha likha hai aapne... Applause Applause

bahot ache ehsasaat... Applause Applause

danishta kinara mila to bhi hum lahar me kho gaye
aarzoo khud se hi kar lete par vo bhi daayre kho gaye

aasra bus sitamon ka hi raha hai aise
khushi milte hi tadap ki haseen vaadi me kho gaye



Bahut Bahut Shukriya Kaashji..

Aur aapne bhi Khoob Likha.. Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 05, 2009, 06:17:11 PM »
Bhai man gaye apko...kya khoob likha hai... Applause Applause
every single line touched my heart deeply but the last stanza was awesome...superb dear...



Bahut Bahut Shukriya Rahim Bhai..iss nazm ne aapke Dil ko chua,yeh jaankar behad khushi hui..



padkar tujhe Khwahish hum toh tere deewane hogaye,
meri zindagi teri shayari ki pyaasi lagti hai,
itna acha likha hai tune ke pehli baar kehgaya Rahim ,
aaj toh meri shayari bhi tere samne mamuli si lagti hai...

Rahim Bhai,Koi Bhi shayari mamuli nahi hoti,kyonki isme shayar ke Jazbaat Base hote hai..aapne itni izzat bakshi jiske amin laayak nahi..Teh Dilse Shukriya aapka.. icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 05, 2009, 06:18:57 PM »
Applause  Applause   Clapping Smiley
Bahut Bahut Bahut Khoob Khwaish Ji,
Sach me bahut hi dard bhara likha hai,

Shally.

Bahut Bahut Shukriya Shally..Aapko Bhi Yahan Par Dekh Kar Acha Laga..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 05, 2009, 06:28:45 PM »
Har Saans Mein Chupi Kuch Bebasi Si Lagti Hai,
Zindagi Ajnabi Si lagti Hai...


Khwaishe Hazaaro Panap Rahe Hai Iss Dil Mein,
Par Naa Jaane Kyon,
Ab Khwaishe Bhi Kuch Dabi-Dabi si Lagti Hai....


Zakhmo Ke Nishaan rakh Kar Bhi Muskurata Hoon Main,
"Khwaish" AB Tujhe Zakhmo Ki Aadat Si Lagti Hai...

Aur Koi Nahi Par Mere Apno Ne Mera Har Kadam Par Saath Diya,
Qurbaan Jaata Hoon Main,
Mere Mehboob Ki Uss Baat Par,

"Khwaish" Agar Tu Mere Saath Hai To,
Dhoop Bhi Mujhe Chaandni Si Lagti Hai.."
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:17:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer